Pages

Tuesday 9 July 2013

Mohsin Naqvi Urdu Poetry




















Wo Humsafar Tha Magar Us Sey Hum Nawayi Na Thi

"Wo Humsafar Tha Magar Us Sey Hum Nawayi Na Thi
K Dhoop Cchao'on Ka Aalam Raha Judai Na Thi"

"Adawatein Thi, Taghaful Tha ,Ranjishen Thi,Magar
Bicharne Wale Main Sab Kuch Tha Be_Wafai Na Thi"

"Bicharte Waqt Un Aankhon Main Thi Hamari Ghazal
Ghazal Bhi Wo Jo Kabhi Kisi Ko Sunayi Na Thi"

"Kisay Pukaar Raha tha Wo Doobte Huey Din
Sada To Ayi Thi Lakin Koi Duhaayi Na Thi"

"Kabhi Ye Haal K Dono Main Yak-Dili Thi Mohsin
Kabhi Ye Marhala Jaise K Aashnayi Na Thi"
______________________________________________

Hon Gay Juda Hum Is Tarah, Imkan To Na Tha

"Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha"

"Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha"

"Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia
Ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha"

"Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha"

"Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa Bohat
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha"

______________________________________________

Junon_E_Ishq Ki Rasmen Ajeeb Kya Kehna

"Junon_E_Ishq Ki Rasmen Ajeeb Kya Kehna
Main Un Se Door Wo Mere Qareeb Kya Jehna"

"Ye Tairgi Musalsal Mein Aik Waqfa Noor
Ye Zindagi Ka Tilsam Ajeeb Kya Kehna"

"Jo Tum Ho Barq Nasheman To Main Nasheman Barq
Ulajh Pare Hein Hamare Naseeb Kya Kehna"

"Laraz Gayee Teri Lau Mere Dagmagane Sy
Charag Gosha Koye Habib Kya Kehna"
______________________________________________

Wo Larki Bhi Aik Ajeeb Paheli Thi

"Wo Larki Bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Payase Hont Ankh Samandar Jesi Thi"

"Soraj Us Ko Dekh K Pela Perhta Tha
Wo Surma Ki Dhoop Mein Dhul Ker Nakalti Thi"

"Us Ko Apne Saye Se Dar Lagta Tha
Soch K Saye Mein Wo Tanha Hirni Thi"

"Ate Jate Mousam Us Ko Daste Thay
Hanste Hanste Palko Se Ro Perhti Thi"

"Adhi Raat Ganwa Deti Thi Chup Reh Ker
Adhi Raat K Chand Se Batain Kerti Thi"

"Dard K Ujray Mandar Jesa Ghar Uska
Wo Apne Ghar Mein Akloti Devi Thi"

"Moum Se Nazuk Jism Sehar Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab Bhar Aap Pighalti Thi"

"Tayz Hawa Ko Rook Ker Apne Anchal Per
Sokhay Phool Ikathay Kerti Phirti Thi"

"Sub Per Zahir Ker Deti Thi Bhed Apna
Sub Se Ik Taseer Chupaye Rakhti Thi"

"Kal Shab Chikna Choor Howa Tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Wo Khul Ker Roi Thi"

"Mohsin Kaya Jane Kiyn Dhoom Se Be Perwa
Wo Apne Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi"

______________________________________________

Abhii Kyaa Kahe.N Abhii Kyaa Sunaayen

"Abhii Kyaa Kahe.N Abhii Kyaa Sunaayen
Ke Sar-E-Fasiil-E-Sukuut-E-Jaa.N"

"Kuf-E-Roz-O-Shab Pe Sharar Numaa
Vo Jo Harf Jarf CharaaG Thaa"

"Use Kis Havaa Ne Bujhaa Diyaa
Kabhii Lab Hile.Nge To Puuchhanaa"

"Sar-E-Sahar-E-Ahad-E-Visaal-E-Dil
Vo Jo Nikahato.N Kaa Hujuum Thaa"

"Use Dast-E-Mauj-E-Firaaq Ne
Tah-E-Khaak Kab Se Milaa Diyaa"

"Kabhii Gul Khile.Nge To Puuchhanaa
Abhii Kyaa Kahe.N Abhii Kyaa Sunaaye.N"

"Yuu.N Hii Khvaahisho.N Ke Fishaar Me.N
Kabhii Be-Sabab Kabhii BeKhalal"

"Kahaa.N Kaun Kis Se Bichha.D Gayaa
Kise Kis Ne Kaise Ga.Nvaa Diyaa"

"Kabhii Phir Mile.Nge To Puuchhanaa"
______________________________________________

Hamaaraa Kyaa Hai Ke Ham To ChiraaG-E-Shab Kii Tarah

"Hamaaraa Kyaa Hai Ke Ham To ChiraaG-E-Shab Kii Tarah
Agar Jale Bhii To Bas Itanii Raushanii Hogii"

"Ke Jaise Tund Andhero.N Kii Raah Me.N Juganuu
Zaraa Sii Der Ko Chamake Chamak Ke Kho Jaaye"

"Phir Is Ke Baad Kisii Ko Na Kuchh Sujhaa_ii De
Na Shab KaTe Na SuraaG-E-Sahar Dikhaa_ii De"

"Hamaaraa Kyaa Hai Ke Ham To Pas-E-Gubaar-E-Safar
Agar Chale Bhii To Bas Itanii Raah Tay Hogii"

"Ke Tez Havaao.N Kii Zard Maa_il Naqsh-E-Qadam
Zaraa Sii Der Ko Ubhare Ubhar Ke Mit Jaaye"

"Phir Us Ke Baad Na Raastaa Na Rah_guzar Mile
Hadd-E-Nigaah Talak Dasht-E-Bekinar Mile"

"Hamaarii Simt Na Dekho Ke Ko_ii Der Me.N Ham
Qabiilaa-E-Dil-O-Jaan Judaa Hone Vaale Hai.N"

"Base Basaaye Huye Shahar Apanii Aa.Nkho.N Ke
Misal-E-Khaanaa-E-Viiraan Uja.Dane Vaale Hai.N"

"Havaa Kaa Shor Ye Hii Hai To Dekhate Rahanaa
Hamaarii Umar Ke Kheme.N Ukha.Dane Vaale Hai.N"

______________________________________________

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi

"Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi"

"Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi"

"Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi"

"Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi"

"Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi"
______________________________________________

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain

"Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain"

"Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain"

"Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain"

"Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain"

"Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain"

"Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain"

"Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain"
______________________________________________

Kahan Itni Sazaen Thi Bhala Is Zindgani Mein

"Kahan itni saza’en thi bhala is zindgani mein
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN"

"Faqat ik lafz “MOHABBAT” ki hum ne bheek mangi thi
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN"

"Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN"

"Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN"

"Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan
Main kaise bhool paƶn ga teri har ik adaa MOHSIN"

"Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN"

"Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN"
______________________________________________

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

"Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra"

"Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra"

"Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra"

"Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra"

"Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra"

"Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra"

"Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra"

"Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra"

"Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi "Mohsin"
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?"
______________________________________________

Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind

"Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind"

"Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind"

"Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind"

"Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind"

"Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kia Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind"

"Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind"

"Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind"

______________________________________________

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

"Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi"

"Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi"

"Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi"

"Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi"

"Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi"
______________________________________________

Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

"Ankho Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta
Ye Dil K Muje Chain Se Marne Nahi Deta"

"Bicharay To Ajeeb Payar Jatata Hai Khato Mein
Mil Jaye Tu Phir Had Se Guzarne Nahi Deta"

"Wo Shakas Khiza Rut Mein Bhi Muhtat Rahay Kitna
Sokhay Hoye Pholo Ko Bikharne Nahi Deta"

"Ik Roz Teri Payas Khariday Ga Wo Ghabro
Pani Tuje Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta"

"Wo Dil Mein Tabasam Ki Kiran Gholne Wala
Rothay To Roto Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta"

"Mein Us Ko Manao K Gham E Dehar Se Uljhon
Mohsin Wo Koi Kaam Bhi Kerne Nahi Deta"
______________________________________________

Bharkaye Meri Payas Ko Aksar Teri Ankhain

"Bharkaye Meri Payas Ko Aksar Teri Ankhain
Sehra Mera Chehra Hai Smandar Teri Ankhain"

"Phir Kon Bhal Dad E Tabasm Unhain Day Ga
Royen Gi Bohat Muj Se Bichar Ker Teri Ankhain"

"Bhojal Nazar Ati Hein Bazahir Muje Lakin
Khilti Hein Bohat Dil Mein Uter Ker Teri Ankhain"

"Ab Tak Meri Yaado Se Mitaye Nahi Mitna
Beghi Hoi Ik Shaam Ka Manzar Teri Ankhain"

"Mumkin Ho To Ik Taza Ghazal Our Bhi Keh Lon
Phir Urh Na Lain Khawab Ki Chadar Teri Ankhain"

"Youn Dekhte Rehna Usay Acha Nahi Mohsin
Wo Kaanch Ka Paykar Hai To Pathar Teri Ankhain"
______________________________________________

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha

"Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha"

"Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha"

"Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha"

"Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha"

"Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha"
______________________________________________

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain

"Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain"

"Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain"

"Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain"

"Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain"

"Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain"
______________________________________________

Bazaahir Log Kitne Mehrbaan The


"Bazaahir log kitne mehrbaaN the
Magar dukh banTne wale kahaan the"

"LaboN per muskurahat ki dhanak thi
Lahoo lathre sukhan zer E zubaN the"

"Jo manzil aashna the wo musafir
Pus e khak e ghubaar e karvaaN the"

"Mai aise shahr ka baasi bana hooN  
MakiN patther the, shishe k makaN the"

"Jala jab aashyaaN to hum ne jana  
K tinke bhi hawa ke raazdaaN the"

"Kisi ne haal tak puchha na ‘Mohsin’
Hum ahl e dil bhi kitne rayegaaN the"
______________________________________________

Kabhi Jo Ccher Gayee Yaad-E-Raftagaan Mohsin

"Kabhi jo cheR gayee yaad-E-raftagaaN Mohsin
Bikhar gayee haiN nigaaheN kahaaN kahaaN Mohsin"

"Hawa ne raakh urraaii to dil ko yaad aayaa
K jal bujheeN mere khaabon ki bastiyaaN Mohsin"

"Kuch aaise ghar bhi miley jin meN ghooNgatoN k iwaz
Hui haiN dafn dopattoN meN larrkiyaaN Mohsin"

"KhaNdar hai ahd-E-guzishta na chhu na chheR isay
KhuleN to band na hoN is ki khirrkiyaaN Mohsin"

"Bujha hai kaun sitaaraa k apni aankh k saath
Huey haiN saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin"

"Nahi k us ne ganwaaye haiN maah O saal apne
Tamaam umr kaTi yuun bhi raaegaaN Mohsin"

"Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
SameiTna theeN jisay meri kirchiyaaN Mohsin"

"KahiN se us ne bhi toRa hai khud se rabt-E-wafa
Kahin se bhool gaya maiN bhi daastaaN Mohsin"
______________________________________________

Aahat Si Howi Thi Naa Koi Barg Hilaa Tha


"Aahat Si Howi Thi, Naa Koi Barg Hilaa Tha
Main Khud Hi Sar-e-Manzil-e-Shab Cheekh Para Tha"

"Lamhon Ki Faseelein Bhi Mere Gird Khari Thien
Main Phir Bhi Tujhe Shaher Mein Awaara Laga Tha"

"Tune Jo Pukaara Hai Tou Bol Uthaa Hoon, Warna
Main Fikar Ki Dehleez Pe Chup Chaap Khara Tha"

"Phaili Thi Bhare Shaher Mein Tanhai Ki Baaten
Shayad Koi Deewar Kay Peeche Bhi Khara Tha"

"Ab Is Kay Siwaa Yaad Nahi Jashn-e-Mulaqaat
Ek Maatmi Jugnu Meri Palkon Pe Sajaa Tha"

"Ya Barish-e-Sang Ab Kay Musalsal Na Howi Thi
Ya Phir Main Tere Shaher Ki Raah Bhool Gaya Tha"

"Ek Jalwa-e-Mehboob Se Roshan Tha Mera Zehn
Wajdaan Yeh Kehta Hai Wohi Mera Khuda Tha"

"Weraan Na Ho Is Darja Koi Mosam-e-Gul Bhi
Kehte Hain Kisi Shakh Pe Ek Phool Khila Tha"

"Ek Tu Kay Gurezaan Hi Raha Mujh Se Beher Tor
Ek Main Kay Tere Naqsh-e-Qadam Choom Raha Tha"

"Dekha Na Kisi Ne Bhi Meri Simt Palat Kar
“Mohsin” Main Bikharte Howe Sheeshon Ki Sadaa Tha"
______________________________________________

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha

"Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha"

"Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha"

"Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha"

"Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha"

"Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha?"

"Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha"
______________________________________________

Rait Par Likh K Mera Nam Mitaya Na Karo

"Rait Par Likh K Mera Nam Mitaya Na Karo 
Ankhen Sach Bolti Hain Pyar Cchupaya Na Laro"

"Log Har Bat Ka Afsana Bana Letey Hain 
Sab Ko Halaat Ki Rudad Sunaya Na Karo"

"Ye Zaruri Nahi Har Shakhs Masiha Hi Ho 
Pyar K Zakhm Amanat Hain Dikhaya Na karo" 

Shahar-E-Ehsas Main Patthar Bohat Hain 'Mohsin'
Dil Lo Shishe Ke Kharonko'on Main Sajaya Na Karo" 
______________________________________________

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski

"Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski"

"Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski"

"Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski"

"Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski"

"Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski"


Read More..

0 comments:

Post a Comment