Pages

Friday 12 July 2013

Romantic Urdu Poetry














Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

"Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye"

"Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye"
________________________________

Wo Guftugu Mein Un Dekha Jaal Rakhta Tha

"Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha
Wo shakhs lehja barha ba kamal rakhta tha"

"Hansi labon pe dil mein malaal rakhta tha
Ajeeb shakhs tha sheeshey mein baal rakhta tha"

"Tera firaaq hamesha azaab e jaan tha magar
Tera wisaal bhi mujh ko nidhaal rakhta tha"

"Kissi ke chehra e pur noor ka jawab nahin
Andheri raat mein sooraj nikaal rakhta tha"

"Wo barson baad milla bhi to es tarah se milla
Labon pe chup thi nazar mein sawaal rakhta tha"

"Bulandion se gira hoon to ye maloom hooa
Urooj apney hi ander zawaal rakhta tha"

"Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha"

"Tera sunehri tassawur, tera sunehri khyaal
Na janey kyoon meri aankhon ko laal rakhta tha"

"Mera wehem dabota raha har baar mujhey
Mera yaqeen hamesha uchaal rakhta tha"
________________________________

Ye Meri Anaa Ki Shikast Hai

"Ye meri anaa ki shikast hai
Na dawa karo na dua karo"

"Jo karo tu bas ye karam karo
Mujhe merey haal pe chor do"

"Wo jo aik tarkash-e waqt hay
Abhi us main teer bohat sey hain"

"Koi teer tum ko na aa lagey,
Merey zakhm-e dill pe na yoon hanso"

"Na main kohkan hoon na Qais hon
Mujhe apni jaan aziz hai"

"Mujhe tark-e ishq qobool hay,
Jo tumhain yaqeen-e wafa na ho"

"Jo tumhaarey dil main shokook hain
Too ye eh'hadd name fozool hain"

"Jo merey khotoot hain phaar do,
Ye tumhaari khat hain samait lo"

"Jo kisi ko koi sataay ga
Too gila bhi hontoo.n pe aay ga"

"Ye too ik asool ki baat hai
Jo khafa hai mujh sey koi too hoo"

"Mujhe abb sadaoo.n sey kaam hai
Mujhe khaal-o khad ki khaber nahi"

"Too phir is farib sey
Faida ye naqaab abb too utaar do"

"Mujhe apney fuq'r pe naaz hai
Mujhe is karam ki talab nahi"

"Main gada nahi hon faqeer hon
Ye karam gadaoo.n main bant do"

"Ye faqat tumhaarey sawal ka
Mera mukhtasar sa jawaab hai"

"Ye gila nahi hai kholoos hai
Meri guftugu ka asar na loo"

"Ye udh'horey chand ki chandni bhi
Andh'hairi raat main kum nahi"

"Kahi ye bhi saath na chor dey
Abhi roshni hai chaley chalo"
________________________________

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain

"Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain
Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain"

"Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai
Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain"


"Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai
Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain"


"Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai
Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain"


"Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen
Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain"


"Daagh Daman K Hon' Dil K Hon' Ya Chahre' K FARAZ
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain"
________________________________

Bhoolta Kon Hai

"Bhoolta Kon Hai"

"Waqt K Gha'oo Ko"

"Hijar K Tand'o'Tufan Ki Bai'yaqeen Laher Main
Wasaal K Khuwab Ki Dob'tee Naa'oo Ko
Bhoolta Kon Hai"

"Bhoolta Kon Hai"

"Apne Qateel K Qateel'Kha'Doo'Khaal Ko
Dukh Utha'te Dinoon Or Maa'hoo'Saal Ko
Bhoolta Kon Hai"

"Bhoolta Kon Hai"

"Omeer Ki Shaak Par Kheel'nee Wali Us Aa'wale Shaam Ko
Hum Pee Bai'Sabab Jo Laga Hai''Us Elzaam Ko
Bhoolta Kon Hai"

"Phir Tere Naam Ko
Bhoolta Kon Hai"
________________________________

Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai

"Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye Tou Khuwab Hai Kisi Aankh Ka"

"Jissy Jaagne Ki Saza Mili
Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai"

"Wo Azzab
Jisne Mila Diya Hai Gulaab Lamhoun Ko Khaak Main"


"Ye Jo Chand Hai, Ye Jawaab Hai
Kisi Is Tarha Ke Sawal Ka
Ke Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Mai"


"Ye Jo Chand hai
Ye To Baab Hai kisi Dard ka
Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka
Kisi Zard Zard Si Fasl Ka"


"Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Kabhi Ban Pare To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna
Issey Gehri Gehri Si Neend Se
Bhala Kisne a Ke Jaga diya?
Issey Rog Kisne Laga diya?"
________________________________

Chaman Ka Haal To Ye Hai K Khaak Urrti Hai

"Chaman ka haal to ye hai k khaak urrti hai
Kidhar sey ho ke bahaaroN ke kaarwaaN guzrey"

"Dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
Qadam, qadam pe naya dey ke imtehaaN guzrey"

"Saba bhi aai to phooloN ke muNh jhulsa ke gai
YahaaN sey abr bhi barsaa ke bijliyaaN guzrey"

"Kabhi to waar raqeeboN ke de gaey the mazaa
Kabhi to pyar azeezoN ke bhi giraaN guzrey"

"Aey dil sambhal ke kisi ko hisaab deyna hai
Ke zindagaani ke lamhey kahaN kahaN guzrey"
________________________________

Main Mohabbat Hun Mohabbat Karke Dekh

"Main Mohabbat Hun Mohabbat Karke Dekh
Main Mohabbat Na Dun To Kehnaa"

"Main Muskurahat Hun Mujhe Hansa Kerr Dekh
Na Sajun Tere Honton Per To Kehna"

"Taluq torta hun to mukam'mal toor deta hun
Jise main chor deta hun muk'kamal chor deta hun"

"Muhabat ho k nafrat,bhara rehta hun shid'dat se
Jidher se aye yeh derya,udher hi mor deta hun"

"Yqeen rkhta nahin hun main kisi kache taluq pr
Jo dhaga tutne wala ho is ko tor deta hun"

"Mere daikhe hue khwaab lehren na le jaen
Gheronde rait kay tameer kr k chor deta hun"

"Adeem abh tk wohi bachpan,wohi takhreeb kari hai
Qafas ko tor deta hun , prinde chor deta hun"

"Main Khushbu Hun Mujhe Mehsus Karke Dekh
Na Mehkun Teri Zindagi Main To Kehnaa"

"Main Dil Hun Mujhe Sun Kerr Dekh
Na Dharkun Tere Dil Main To Kehnaa"

"Main Phul Hun Mujhe Lagaa Kerr Dekh
Na Mehkun Din Raat To Kehnaa"

"Main Mohabbat Hun Mujhe Apna Karke Dekh
Na Banu Main Teri To Kehnaa"
________________________________

Hum Log Zameen Kay Rehnay Walay

"Hum log zameen kay rehnay walay
Phirty rahay asmaan sambhalay"

"Aay mjhse khitab karny walay
Chehry se naqaab to hata lay"

"Sahir se bicharr gaye musafir
Darya main hain kashtiyon k halay"

"Ik bheed hai dostoon ki laikin
Tanhai ny bun diye hain jalay"

"Hum mujrim e raftaan e shab thy
Tasdeeq na kar saky ujalay"

"Duniya tjhy chortay hain hum bhi
Ja tu bhi ab apna raasta lay"

"Soraj hai zameen pe girnay wala
Mumkin ho to saye ko bacha lay"
________________________________

Kisi Din Meray Ghar Aao

"Kisi Din Meray Ghar Aao "

Meray kamray main baitho

Aur aik aik shay ko ghour say dekho

Bookshelf main pari hooi kitaabain aur diarian

Guldaan main murjahay hooay phool

Daraaz main mojood cassettes

Devaaron par khuday hooay horoof

Aur bister par naqash-e bay qarari

Tum par aayan karay gi


Kay meri aarzoun nay kis tarha tumhaari aarzoo ki


Aur kaisay meray khawaabon nay tumhaaray khawaab dekhay


Agar ho sakay to !!

"Kisi Din Meray Ghar Aao"
________________________________

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

"Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye"

"Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye"

"Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye"
________________________________

Wo Mujse Beysabab Uljha Nahi Tha

"Wo Mujse Beysabab Uljha Nahi Tha
Wo Pehle To kabhi Aisa Nahi Tha"


"Bohat Aala Tha Us Ka Zarf Lakin
Wo Meri Zaat Ko Samja Nahi Tha"


"Wo Jitni Berukhi Se Chal Dia Tha
Mai Itna Bhi Gaya Guzra Nahi Tha"


"Usay Mai Kyun Bura Thehraon
Wo Acha Tha Faqat Mera Nhi tha"
________________________________

Ijz_E_ Khaksaari Kyun Fakhr_E_Kajkulahi kya

"Ijz e khaksaari kyun fakhr e kajkulahi kya
Jab mohabbatain ki hai phir koi gawahi kua

"Hum rutooN k mujrim hain per hawa ki nazroon main
Teri parsai kya meri be-gunahi kya"

"Wasl ka koi lamha raiygaaN nahin laikin
Jo alag na karta ho aisa rastaa hi kya"

"Tum to aankh walay thay aks mil gaya hoga
Main sada ka be-chehra mera aaina hi kya"

"Shab guzeedah logoN ko neend se ulajhna hai
Raat ki musafat main razme subh gahi kya"

"Janay kab bigar jaiN janay kab sanwar jaiN
Dast e kozah gar main hain apna aasraa hi kya"

"Tum Saleem shair ho shoratooN pe mat jao
Masnade faqeeri per khabt e baadshahi kya"
________________________________

Tu Wafa kar Wafa ka Sila Jane Khuda Jane

"Tu Wafa kar Wafa ka Sila Jane Khuda Jane
Tum Diya Jalate Rehna Hawa Jane Khuda Jane"

"Khizaan Ka Khoof Mali ko Buzdil nai kar Sakta
Chaman Abaad Rakh Baad-e-Saba jane Khuda jane"

"Mareez-e-Ishq Dawa-e-Dil Samjha Dilbar ko
Marz Jane Dawa Jane Shifa Jane Khuda Jane"
________________________________

Wo Dilawar Jo Siyah Shab K Shikari Nikle

"Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle"

"Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle"

"Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle"

"Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle"

"Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle"

"Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle"

"Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle"
________________________________

Read More..

0 comments:

Post a Comment