Pages

Saturday 13 July 2013

Wo Thaka Hua Meri Bahon Mein Zara So Gaya Tha To Kya Hua















Wo Thaka Hua Meri Bahon Mein Zara So Gaya Tha To Kya Hua

"Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
 Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua"

"Jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
 Kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua"

"Kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
 Koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua"

"Mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
 Mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua"

"Wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
 Kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua"

"WOhi shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
 Magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua"

"Mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
Ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua"

0 comments:

Post a Comment