Pages

Sunday 14 July 2013

Mohabbat Poetry












Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Tum Jahan Peh Beth K Jati Ho
Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon
Main Aisi Mohabbt Karta Hoon"

"Tum Jis Se Huns K Milti Ho
Main Us Ko Dost Banata Hoon"

"Tum Jis Rustay Par Chalti Ho
Main Us Say Aata Jata Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Tum Jin Ko Dekhti Rehti Ho
Wo Khuwab Sarhanay Rakhta Hoon
Tum Say Milnay Julnay K
Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho "

"Tum Jahan Bhi Beth K Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho
Main  Waheen Peh Baytha Rehta Hoon
Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon"

"Main Aisi Mohabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho"

"Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main
Palkon Say Moti Chunta Hoon
Koi Lums Agar Choo Jaa A To
Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon"

"Sawal-E-Muhabbat"

"Tum Jehan Bhi Beth Ker Jati Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagata Hoon
Main Waheen Per Baitha Rehata Hoon
Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karta Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Karti Ho"

"Jis Bagh Main Subh Tum Jaati Ho
Jis Sabzay Par Tum Chalti Ho
Jo Shakh Tumhein Choo Jati Hai
Jo Khushbu Tum Ko Bhaati Hai
Wo Oas Tumharay Chehray Par
Jo Qatra Qatra Girti Hai
Wo Titli Choom Kay Phooloan Ko
Jo Tum Sai Milnay Aati Hai
Wo Tum Ko Choomnay Aati Hai"

"Jawab-E-Muhabbat"


"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Tum Kaisi Muhabbat Kartay Ho"

"Tum Jab Bhi Ghar Per Aatay Ho
Aur Sab Sai Batein Kartay Ho
Main Oat Sai Parday Ki Jaanah
Bas Tum Ko Daikhti Rehti Hoon
Ik Tum Ko Daikhnay Ki Kahtir
Main Kitni Pagal Hoti Hoon"

"Jab Darwazay Par Dastak Ho
Ya, Ghanti Phone Ki Bajti Ho
Main Sab Kuch Chore Kay Bhagti Hoon
Aur Tum Ko Jo Na Paon To
Ji Bhar Kay Ronay Lagti Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon
Mehfil Main Kaheen Jab Jana Ho
Kaproan Ka Selection Karna Ho
Rung Bahut Sai Samnay Bikhray Hoon
Us Rang Pai Dil Ajata Hai
Wo Rung Tum Ko Bhata Hai"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon"

"Rozana Apnay College Main
Kisi Aur Ka Lecture Suntay Huay
Ya, Break Kay Khali Ghantay Mein
Sakhion Sai Batein Kartay Huay
Mairiay Dehaan Main Tum Aajatay Ho
Main, Main Nahi Rehti Jaanah
Main Tum Mein Gum Ho jati Hoon
In Ankhoan Main Kho Jaati Hoon
Bas Tum Mein Gum Ho Jati Hoon"

"Main Aisi Muhabbat Karti Hoon"
________________________________

Mohabbat Rog Hai Jaana 

"Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana 
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"

"Baray Borhay(Elders) Batatay Thay 
Kai Qisay Sunatay Thay 
Magar Hum Mantay Kab Thay 
Yeah Sab Kuch Jaantay Kab Thay 
Yeah Baatein Zikir Ke Qabil 
Bhala Gardantay Kab Thay"

"Anna Ke Takht Per Bethay 
Humein Maloom He Kab Tha 
Anna Ke Takht Se Oper 
Bohat Sari Bulandi Per 
Kehin Pariyoon Ke Jurmat Mein 
Tere Pairon Ki Payal Mein 
Tere Chhotay Se Gaaon Mein 
Ghani Zulfon Ki Chaaon Mein 
Sitaray Chand SoOraj
Walehana Raqs Kerte Hein"

"Humein Maloom He Kab Tha 
Tere Qadmon Ki Aahat Per 
Gulabi Muskrahat Per 
Tere Honton Ki Jumbish Per 
Tere Sar Ke isharay Per 
Sada-e-Dilbrana Per 
Nigah-e-Qaatilana Per 
Jafa-e-Mehermana Per 
Adaa-e-Kaafirana Per 
Chamun(Garden) Ke Phool Saray 
is Tarah Se Dheeyaan Dete Hein 
Zara Se Wasl Ke Jhansay 
Mein Apni Jaan Dete Hein" 

"Humein Kab Ilim Tha Jaana 
Tere Pekar Se Dhul Ker 
Chandni Her Su Bikharti Hai 
Shab-e-Mehtaab Ki Doshezgi 
Kaisay Nikharti Hai 
Teri Payal Ki Chhun Chhun 
Mann Mein Kia Ghanti Bajaati Hai 
Teri Awaz Veeranay Mein 
Kia Jaadu Jagati Hai 
Tere Naghmay Faza Mein 
Kis Tarah Jaltrang Bajatay Hein 
Bohat Pukhta Iraday 
Kis Tarah Se Toot Jaatay Hein"

"Humein Idraak He Kab Tha 
Humein Kamil Bhrosa Tha 
Humaray Saath Kisi Soorat 
Bhi Aisa Nehin Ho Ga 
Dil-e-Naadaan Kabhi 
Qaboo Se Be-Qaboo Nehin Ho Ga 
Yeah Duniya Daar 
Duniya Daar Se Saadhoo Nehin Ho Ga" 

"Magar!!! 
Magar Phir Yoon Hua Jaana 
Najaanay Kyon Hua Jaana 
Bara Afsoon Hoa Jaana 
Jigar Ka Khoon Hua Jaana"

"Tere Abru Ki ik Junbish 
Se Ghaail Ho Gaye Hum Bhi 
Baray Be-Multafit Phirtay Thay 
Maail Ho Gaye Hum Bhi 
Sakhawat Kerne Aaye Thay 
Aur Sail Ho Gaye Hum Bhi 
Baray Borhoon Ki in Baatoon Ke 
Qaail Ho Gaye Hum Bhi 

"K"

"Mohabbat Rog Hai Jaana 
Ajab Sanjog Hai Jaana 
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"
________________________________

Baray Masoom Jazbon Say

Baray Masoom Jazbon Say
Wo Apnay Shokh Haathon Par

"Wafa Ki Surkh Mehndi Say
Usi Ka Naam Likhti Hai"

"Jisay Wo Pyaar Karti Hai"

"Magar Wo Na_Samajh Larki
Abhi Tak Ye Nahi Samjhi"

"K Sapnay Toot Jaatay Hain To Bohot Barbaad Krtay Hain"

"Ye Uljhay Rang Haathon Par
Kabhi Thehra Nahi Kartay"

"Mohabbat To Haqeeqat Hai
Koi Sapna Nahi Hota"

"Kisi Ka Naam Likhnay Say
Koi Apna Nahi Hota"
________________________________

Mohabbat Ho Bhi Sakti Hai

"Pighal Patahr B Sakty Hain 
Ulat Darya B Sakty Hain
Koi Awaara Sa PanCchi 
Palat Kr Aa B Sakta Hai

Jo Shab

Mujh Pay Hansti Hai
Wohi Shab Ro B Sakti Hai
Mohabbat Ho B Sakti Hai"
________________________________

Mohabbat Jeet Hoti Hai

"Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai"

"Kabhi Dil Soz Lamhun Se
Kabhi Bekar Rasmoon Se"

"Kabhi Taqdeer Walun Se
Kabhi Majboor Kasmoon Se"

"Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Har Jati Hai"

"Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhool Jaisi Hai"

"Kabhi Ye Chand Jaisi Hai
Kabhi Ye Dhoop Jaisi Hai"

"Kabhi Masroor Karti Hai
Kabhi Ye Rog Daiti Hai"

"Kabhi Le Par Jati Hai
Kabhi Ye Mar Jati Hai"

"Mohabbat Jeet Hoti Hai!
Magar Ye Har Jati"
________________________________

Mohabbat Cheez Aisi Hai

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Kabhi Hoti Hai Apnon Se 
Kabhi Anjaan Rahoon Sy 
Kabhi Gumnaam Rahon Sy"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Kabhi Hoti Hai Phoolon Sy 
Kabhi Bachpan Ky Jhoolon Sy "

"Kabhi Be-Ikhtiyaari Mein 
Kabhi Pakke Usoolon Sy"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"

"Mohabbat Bas Mohabbat Hai 
Mohabbat Ik Sadaqat Hai"

"Mohabbat Cheez Hi Aisi Hai"

"Dukhon Mein Rool Deti Hai 
Dard Anmool Deti Hai 
Zehar Bhi Ghool Deti Hai"

"Mohabbat Cheez Aisi Hai"
________________________________

Mohabbar Chup Nahi Rehti

"Woh Boli, Phir Palat Aye,Chalay To Phir Palat Aye
Main Bola, Band Koochay Ka Safar Hay Zindagi Apni"

"Woh Boli, Har Sarrak Jati Hay Gham K Shehar Ki Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apney Dil Mein Ho To Phir?"

"Woh Boli, Gham Hamesha Sath Deta Hay Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehro Mujhay Kuch Ghor Se Dekho"

"Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhay Tum Sath Hi Rakhtey?
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata?"

"Woh Boli, Aa Gaya Hay Raitla Mausam Judayi Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Nord Mutaqil Thehra"

"Woh Boli, Rait Urrti Hay To Aankhon Mein Bhi Parti Hay
Main Bola, Dard Ki Maari Hui Aankhon Ko Iss Se Kya"

"Woh Boli, Soch Lo Iss Dhoop Mein Kantey Barastey Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hay Bohut Par Phool Mehkein Ge"

"Woh Boli, Raat Zakhmon Par Bohut Teesein B Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Par Zakhmon Ko Seh Janey Ki Aadat Hay"

"Woh Boli, Aarzooun K Lahu Ka Zaiyeqa Kya Hay?
Main Bola, Talkh Hay Meetha Hay Karrwa Hay Raseela Hay"

"Woh Kehti Hay, K Main To Maang Mein Suraj Sajaon Gi
Main Kehta Hoon, K Suraj Ki Wazahat Ho Magar Pehaley"
________________________________

BADNAM ZAMANY MEI MOHABBAT NAHI KARTY

"BADNAM ZAMANY MEI MOHABBAT NAHI KARTY
DIL WALY TO DUSHMAN SY B NAFRAT NAHI KRTY"

"IK BAR JISY CHAHA SADA IS K RAHAY PHR
HM LOG AMANAT MEI KHAYANT NAHI KRTY"

"TANHAI MEI KAR LETY HEN YAD ANSON BAHA KR
ZAHIR HUM APNI EBADAT NAHI KRTY"

"WAQT AANY PAR MALOOM YE HO JAE GA TM KO
HUM SIRF DIKHAWAY KI MOHABBAT NAHI KRTY"

"LIKHTY HEIN FAQT IK TUMHARY LIYE GHAZLAIN
HR SHAKS PAR HUM AESI ENAYAT NAHI KRTY"
________________________________


Mohabbat Seekh Kr Krna

"Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat ka safar dushwar hota hai
Gareeban tar hota hai
Kabhi inkar hota hai, kabhi iqrar hota hai
kay bin seekhe mohabbat to sarabon ki kahani hai
Dukhon ki raaj dhani hai
Jo kal ban jaye ga badal
Yeh wo dariya ka pani hai"

"Mohabbat seekh ker karna"

"Kay bin seekhey mohabbat to azab-e-zindagi thehri
Sarab-e-zindagi thehri
Na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri"
________________________________

Pareshan Tum Nhi Hona

"Pareshan Tum Nhi Hona
Mere janey pe
Ae Jaana’n"

"Pareshan Tum Nhi Hona
Kabhi Chup Kr Nhi Rona"

"Judai Zeher Hoti Hy
Mjhy Maloom Hy"

"Lekin"

"Firaq-O-Hijr Ka Mausam
Yaqeenan Beet Jayega"

"Yaqeenan Wasl k Lamhy
Dobara Laut Aayen Gy"

"Wohi Shaamein, Wohi Raatein
Wohi Qissey, Wohi Baatein
Wohi Phir Dastaan Hogi"

Mohabbat Meherban Hogi
________________________________

Read More..

0 comments:

Post a Comment