Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai
"Main Hon Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai
Dil Dard Say Nidhal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Ankhon Main Chub Gaen Teri Yadon Ji Jirchiyan
Kandhon Pay Gham Ki Shaal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Dil Toor K Khamosh Nizaron Ka Kia Mila?
Shabnam Ka Ye Sawal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Phir Titliayan Si Urraanay Lageen Dashat Khawab Main
Phir Khawaish-E-Wasaal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Campas Ki Nehar Par Hai Tera Hath Mery Hath Main
Mosam Bhi Laa-Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Har Ik Kali NAy Orrh Liya Matami Libas
Har Phol Par Malal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Meri To Poor Poor Main Khushbu Si Bus Gayi
Us Par Tera Khyal Hai Aur Chand Raat Hai"
"Chalka Sa Parh Raha Hai WASI Wehshaton Ka Rang
Har Zheez Pay Zawaal Hai Aur Chand Raat Hai"
________________________________
Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai
"Ab K Phir Eid Ka Din Aa Puhncha Hai
Neelay Akaash Pay Nikla Hai Abhi Fid Ka Chand"
"Bakhat Waloon K Liye Eid Ka Sandes Liye
Bhujti Ankhoon K Liye Deed Ka Sandes Liye"
"Saray Chehroon Say Thakan Door Hui Jati Hai
Hijar Waloon Ki Chuban Door Hui Jati Hai"
"Chand Nikla Hai Shab-E-Wasl Ka Sandes Liye
Kehkashan Bakhat Musafir K Paltnay Ki Naveed"
"Her Kiran Hath Main Thamay Ayee
Chand Nikla Hai
Mager Hasrat Say
Chand Ki Simat Meri Ankhien Taki Hati Hain"
"Chand Akaash Say Takta Hai Magar
Ankh Chura Laita Hai"
"Meri Ankhoon Ki Nami Aur Sawaloon Ki Chuban
Us Say Dekhi Nahi Jati Shayad"
"Meri Go-Yaee Maira Sath Nahi Day Paati
K Main Us Say Teri Babat Pochoon"
"Us Say Pochoon K Bata Mairay Muqadar K Najoom
Kin Andheeroon Main Hoye Toot K Reeza Reeza"
"Chand Ankhoon Ko Chura Ker Mujhe Say
Janne Kyun Tall Raha Hai Yeah Sawal"
"Kia Mairay Bakhat Main Ab K Bhi Nahi
Eid Ka Lamha??Wasaal"
"Kiya Palat Kr Nahi Aye Ga Wo Jannay Wala
Kia Meri Eid Faqat Ab K Bhi Ik Aur Naya Din Ho Gi?"
"Din Bhi Aisa Jo Qayamat Sa Ghuzarta Hai Sada
Durd K Rang Meri Ankhoon Main Jo Bharta Hai Sada"
"Ba-Kali, Dard, Jalan, Aur Sulagti Yadien
Dard Lo Aur Jaga Detien Hain"
"Karab Ko Aur Bharha Detien Hain
Meri Be-Rang Hatheeli Pay Dua Ki Titli"
"Akhri Saans Ki Had Pr Pohanchi
Meri Umeed K Saray Jugnu"
"Bhujti Ankhoon Main Bhujhay Jatay Hain
Hont Hansnay K Huner Say Aari"
"Dil Dharknay Ki Riwayat Say Juda
Ankh Say Khawab Alag"
"Mar Gaye Harf-E-Dua
Tooti Sansoon K Hontoon Pr"
"Faqat Sard See …Aaah
Dobtay Dil Say Bikharti See Sada Ati Hai"
"Kash…. Aye Kash K Yeh Eid Ka Chand
Apnay Hathoon Yeh Sandes Deta"
"Mujh Say Kehta K Huwa Hijer Tamam
Aye Mairay Chand Teri Eid Ki Shab Mairay Naam"
"Ab Faqat Mairay Naam
Lash Yeh Sandes Millay"
"Kash !! "
"Neelay Akash Pay Nikla Hai Abhi Eid Ka Chand
Dil K Akash Pay Doobay Ga Abhi Eid Ka Chand"
"Dil K Aakash Say Tootay Ga Abhi Eid Ka Chand"
________________________________
Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga
"Ab K Soch Rakha Hai Yun EID Manaon Ga
Dard Se Dil Tanhaiyun Se Ghar Sajaon Ga"
"Log Hain Muntazir Chaand K, Mujhe Intizaar Tumhara Hai
Logon Ki EID Chaand Se Main Tumein Dekh Kar EID Manaon Ga"
"Log Mil Kar Galay Muskuratay Hain
Main Bahon Mein kho Kar Teri Phir se Ashq Bahaon Ga"
"Ab To Aa Jao K Main Bhi EID Manna Lon
Tum Na Aaye To Main Yeh dunia Hi Chhor Jaon Ga"
________________________________
Chand Ko Daikh Kr
"Chand Ko Daikh Kr
Tmhhain Sochna AcCha Lagta Hai"
Tmhhain Sochna AcCha Lagta Hai"
"Pholon Ki Khushbu Main
Teri Khushbu Mehsos Krna AcCha Lagta Hai"
"Saahil Ki Geeli Rait Par
Tmhara Naaam likhna Accha Lagta Hai"
"Main Tmhari Hun
Mjhy Kehna Acha Lagta Hai"
________________________________
Chand Kabhi To Taron Ki Bheer Say Niklay
"Chand Kabhi To Taaron Ki Bheer Say Niklay
Aur Meri Khirki Main Aaye"
"Bilkul Tanha Aur Akaila
Main Usko Banhon Main Bhar Lou"
"Aik He Sans Main Sub Voh Batain Kr Lu
Jo Mery TaaluU Say Chimti"
"Dil Main Simti Rehti Hain"
"Sub Kch Aisay Ho Jeye,Jab Hai Na
Chand Meri Khirki Mian Aaye Tab Hai Naa"
________________________________
Kaho Kesay Guzarti Hai Tumhari Zindagi Paagal
"Kaho Kesay Guzarti Hai
"Kaho Kesay Guzarti Hai
Tumhari Zindagi, Paagal
Suna Hai, Ab To Eidein Bhi
Woh Pehlay Si Nahin Karty"
"Kisi K Ghar Nahin Jatey
Kisi Say Bhi Nahin Miltey
Kisi Ki Ek Nahin Suntey
Kisi Say Kuch Nahin Kehtey"
"Na Koi Gift Letey Ho
Na Koi Gift Detey Ho
Kabhi Khul Kar Na Hanstey Ho
Kabhi Khul Kar Na Rotey Ho"
"Bohat Bekal Bohat Upset
Bohat Be-Chain Hotey Ho
Suna Hai Chaand Raton Mein
Bohat Be-Mood Dikhtey Ho"
"Woh Kaghaz Phaarr Detey Ho
Kisi K Wastey Jin Par
Bohat Say Shair Likhtey Ho
Na Jeetey Jo Na Martey Ho"
"Suno Yeh Zindagi Pagal
Bassar Kis Taraha Kartey Ho?"
Kaho Kaisay Guzarti Hai?
________________________________
Suna Hai Chand Nikla Tha
"Suna Hy Chand Nikla Tha
Suna Hy EID Bhi Hogayi"
"Humein To Aasman Pe Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikha Tha"
"Kahan Wo Chand Nikla Tha
K Jis K Wasty Hum Ney"
"Kabhi Palkein Nahi Jhapki
Wo Jis Ka Rasta Takty
Hai Guzri Zindagi Apni"
"Nahi Kuch Bhi Khabar Ke Wo
Nikly Ga To Kab Aakhir…..??"
"Humari Muntazir Aankhon Ko
Us Ki Deed Kab Hogi?"
"Abhi Tum Hum Se Mat Pucho
Humari EID Kab Hogi"
________________________________
0 comments:
Post a Comment