Pages

Wednesday, 17 July 2013

Mohabbat Rog Hai Jaana
















Mohabbat Rog Hai Jaana 

"Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"

"Baray Borhay(Elders) Batatay Thay
Kai Qisay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Yeah Sab Kuch Jaantay Kab Thay
Yeah Baatein Zikir Ke Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay"

"Anna Ke Takht Per Bethay
Humein Maloom He Kab Tha
Anna Ke Takht Se Oper
Bohat Sari Bulandi Per
Kehin Pariyoon Ke Jurmat Mein
Tere Pairon Ki Payal Mein
Tere Chhotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chand SoOraj
Walehana Raqs Kerte Hein"

"Humein Maloom He Kab Tha
Tere Qadmon Ki Aahat Per
Gulabi Muskrahat Per
Tere Honton Ki Jumbish Per
Tere Sar Ke isharay Per
Sada-e-Dilbrana Per
Nigah-e-Qaatilana Per
Jafa-e-Mehermana Per
Adaa-e-Kaafirana Per
Chamun Ke Phool Saray
is Tarah Se Dheeyaan Dete Hein
Zara Se Wasl Ke Jhansay
Mein Apni Jaan Dete Hein"

"Humein Kab Ilim Tha Jaana
Tere Pekar Se Dhul Ker
Chandni Her Su Bikharti Hai
Shab-e-Mehtaab Ki Doshezgi
Kaisay Nikharti Hai
Teri Payal Ki Chhun Chhun
Mann Mein Kia Ghanti Bajaati Hai
Teri Awaz Veeranay Mein
Kia Jaadu Jagati Hai
Tere Naghmay Faza Mein
Kis Tarah Jaltrang Bajatay Hein
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jaatay Hein"

"Humein Idraak He Kab Tha
Humein Kamil Bhrosa Tha
Humaray Saath Kisi Soorat
Bhi Aisa Nehin Ho Ga
Dil-e-Naadaan Kabhi
Qaboo Se Be-Qaboo Nehin Ho Ga
Yeah Duniya Daar
Duniya Daar Se Saadhoo Nehin Ho Ga"

"Magar!!!
Magar Phir Yoon Hua Jaana
Najaanay Kyon Hua Jaana
Bara Afsoon Hoa Jaana
Jigar Ka Khoon Hua Jaana"

"Tere Abru Ki ik Junbish
Se Ghaail Ho Gaye Hum Bhi
Baray Be-Multafit Phirtay Thay
Maail Ho Gaye Hum Bhi
Sakhawat Kerne Aaye Thay
Aur Sail Ho Gaye Hum Bhi
Baray Borhoon Ki in Baatoon Ke
Qaail Ho Gaye Hum Bhi

"K"

"Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeah Kaisa Jog Hai Jaana"

2 comments: