Pages

Tuesday, 16 July 2013

Mohabbat Poetry




















Muhabbat Oos Ki Surat 

Muhabbat Oos Ki Surat
Piyasi Asnkhari Ke Hont Ko Serab Karti Hai
Gulo Ki Astino Me Anokhe Rang Bharti Hai
Muhabbat K Dino Me Dasht Bhi Mehsos Hoti Hai
Kisi Firdos Ki Surat
Muhabbat Oos Ki Surat"

Muhabbat Abar Ki Surat
Dilo Ki Sar_Zamen Par Ghir K Ati Aur Barasti Hai
Chaman Ka Zrra Zrra Jhomta Hai Muskurata Hai
Azal Ki Be_Nam Mitti Me Sabza Sar Uthata Hai
Muhabbat Un Ko Bhi Abad Aur Shadab Rakhti Hai
Jo Dil Hain Qabar Ki Surat
Muhabbat Abar Ki Surat"

"Mohabbat Aag ki Surat 
Bujhe Seenon Mein Jalti Hai To Dil Bedaar Hota Hai
Mohabbat Ki Tapish Mein Kuch Ajab Israar Hota Hai
K Jitna Ye Bharakti Hai Aroos-E-jaan Mehaktii Hai
Dil K Sahilon Par Jamma Hoti Aur Bikharti Hai
Mohabbat Jhaag Ki Surat
Mohabbat Aag ki Surat"

"Muhabbat Khuwab Ki Surat
Nigaho Me Utarti Hai
Kisi Mehtab Ki Surat
Sitare Arzo Ke Is Tarha Se Jagmagate Hai
Ke Pehchane Nahi Jate
Dil_E_Betab Ki Surat
Muhabbat Ke Shajar Par Khuwab Ke Panchi Utarte Hai
To Shakein Jaag Uthti Hai
Thake Haarey Sitarey Jab Zamen Se Baat Karte Hain
To Sab Ki Muuntazar Ankho Me Shamaien Jaag Uthti Hai
Muhabbat Un Mein Bhi Jali Hai
Chirag_E_Aab Ki Surat
Muhabbat Khuwab Ki Surat"

"Mohabbat Dard ki Surat 
Guzishta Mousmon Ka Ista'aRa Ban K Rehti Hai
Shobaan-E-Hijjar Mein Roshan Sitara Ban K Rehti Hai
Munderon Pay Charaghon Ki Loyen Thar-Tharaati Hein
Nagar Mein Na-Umeedi Ki Hawaien SanSanaatii Hein
Gali Mein Jab Koi Aahat Koi Saya Nahi Rehta
Dukhe Dil K Liye Jab Koi Bhi Dhoka Nahi Rehta
Ghamon K Bojh Say Jab Tootne Lagtey Hein Shaaney To
Ye Un Pay Haath Rakhti Hai
Kisi Hamdard Ki Surat
Guzar Jaate Hein Saare Qafile Jab Dil Ki Basti Say
Fiza Mein Teirti Hai Dair Tak Ye Gird Ki Surat
Mihabbat Dard Ki Surat"
________________________________

Asar Dil Pr Karay Shikwa

"Asar Dil Pr Karay Shikwa
Shikayat Ho To Aisi Ho"

"Galay Lag Kr Koi Roye
Nadamat Ho To Aisi Ho"

"Yehi Mehsus Ho Jaisay
Kai Sadiyan Guzari Hain"

"Faqat Ek Pal Ki Furqat Mein
Aziat Ho To Aisi Ho"

"Mujhe Kanta Chubhay Aur
Us Ki Ankhon Sat Lahu Tapke"

"Ta'aluq Ho To Aisa Ho
MUHABAT Ho To Aisi Ho"
________________________________

Chalo Tum Saath Mat Daina

"Chalo Tum Saath Mat Daina
Mujhey Beshak Bhula Daina"

"Naye Sapnay Saja Laina
Naye Rishtay Bana Laina"

"Bhula Daina Sabhi Waday
. Sabhi Qasmain Sabhi Natay"

"Tumhain Jana Ijazat Hy
Jo dil Chahay Wo Sab Karna"

"Magar Ab Tum Kisi Say Bhi
Anokha Pyar Mat Karna"
________________________________

Mohabbaton Main Hawas

"Mohabbaton Main Hawas
K Aseer Hum B Nhi"

"Ghalat Na Jaan K Itne
Haqeer Hum B Nhi"

"Humari Doobti Nabzon Sy
Zindagi Tou Na Maang"

"Sakhi Tou Hain Lekin Itny
Ameer Hum B Nhi"

"Humain Bujha De Yun
Humari Anaa Ko Qata Na Kr"

"K Be-Zarar Sahi MOHSIN
Be-Zameer Hum B Nhi"
________________________________

Mujh Say Pehli Si Mohabbat Mere Mehboob Na Maang

"Maine samjha tha ke tu hai to daraKhshaan hai hayat
Tera Gham hai to Gham-e-dehar ka jhagRa kya hai
Teri soorat se hai aalam mein bahaaroon ko sabaat
Teri aankhon ke siva duniya mein rakha kya hai
Tuu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main ne faqat chaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki raahat ke siva"

"Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang"

"Unginat sadiyon ke tareek bahimana talism
Resham-o-atlas-o-kam-Khvaab mein bunvaaye huhe
Ja-ba-ja bikte huhe koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithaRe huhe Khoon mein nahlaaye huhe
LauT jati hai udhar ko bhi nazar kya keejiye
Ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya keejiye
Aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
Raahatain aur bhi hain vasl ki raahat ke siva"

"Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang"
________________________________

Ik Saal Purana Qissa Hai

"Ik Saal Purana Qissa Hai
Ik Larka Tha Deewana Sa
Karta Tha Manmana Sa"

"Wo Shokh Shokh Chanchal Sa
Mehka Mehka Pagal Sa"

"Ik Roz Muhabbat Ker Betha
Or Ab K Sal Ka Qissa Hai
Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai"

"Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya
Or Apne Aap Ko Maar Gya
Sare Jag Se Jeet Gya
Bas Apne Aap Se Haar Gya"
________________________________

Tere Ikhlaas Say Mohabbat Ki Hai

Tere Ehsas Sy Mohabbat Ki Hai
Tu Mere Paas Nahi Hy Phir Bhi
Main Ny Teri Yaad Sy MOHABBAT Ki Hy
Kabhoi Tu Ny Bhi Mujhy Yaad Kia Hoga
Main Ny Un Lamhat Sy MOHABBAT Ki Hy
JinMain Hon Sirf Teri Aur Meri Baatei?n
Main Ny Us Waqt Sy MOHABBAT Ki Hy
Aur Jo Mehalty Hon Teri MOHABBAT Sy
Main Ny Un Jazbat Sy MOHABBAT Ki Hy
Tujh Sy Milna Tou Ab Haqiqat Sa Lagta Hy
MainNy Tere INtizar Sy MOHABBAT Ki Hy
________________________________

Kaho Mujh Say Muhabbat Hai

Kaho Mujh Say Muhabbat Hai
Mohabat Ki Tabiyat Mein
Yeh Kaisa Bachpana Qudrat Nay Rakha Hai
K Yeh Jitni Purani Jitnii Bhi Mazbot Ho Jaye
Isay Taiee_E_Tazaa Ki Zarorat Phr Bhi Rehti Hai
Yaqin Ki Akhri Hadoon Tak Diloon Mein Lehlahati Ho
Nigahon Say Tapakti Ho Lahu Mein Jagmagati Ho
Hazaroon Tarha K Dilkash Haseen Haalay Bnaati Ho
Esay Izhar K Lafzon Ki Hajat Phr Bhi Rehti Hai
Mohabat Mangtii Hai Yuon Wawahi Apny Hony Ki
K Jaisay Tefl_E_Sadah Sham Ko Ek Beij Boye
Aur Shab Mein Baarhaa Uthay,Zameen Ko Khood Kr Deikhay
K Poda Ab Lahan Tak Hai?

Mohabat Ki Tabiyat Mein Ajab Takrar Ki Khoo Hai
Keh Yeh Iqrar K Lafzon Ko Sun’nay Say Nahi Thakti
Becharnaay Ki Ghari Ho Ya Koi Milny Ki Sa'at Ho
Esy Bas Aik Hi Dhun Hai
Kaho Mujh Say Mohabat Hai?
Kaho Mujh Say Mohabat Hai
Tumhain Mujh Say Mohabat Hai
Samandar Say Kahien Gehri,Sitaroon Say Siwa Roshan
Hawaon Ki Tarha Daaim, Paharon Ki Tarha Qaaim
Zameen Say Aasman Tak Jis Qadar Achay Nazaray Hain
Mohabat K Kanaay Hain wafa K Esta’aray Hain
Hamary Hain
Hamary Wasty Ye Chandni Ratain Sanwerti Hain,Sunehra Din Nikalta Hai
Mohabat Jis Tarf Jaye Zamana Sath Chalta Hai
Kuch Aisi Besakoni Hai Wafa Ki Sar Zamenoon Main
K Jo Ehl_E_Mohabat Ko Sada Bechain Rakhti Hai
K Jaisy Phol Main Khushbo, K Jaisy Hath Main Paraa
K Jaisy Sham Ka Tara
Mohabat Krny Waloon Ki Sehar Ratoon Main Rehti Hai
Gumaan K Shakhchoon Main Aashiyaan Banta Hai Ulfat Ka
Ye Aien Wisl Mein Bhi Hijr K Khadshon Mein Rehti Hai
Mohabat K Musafirr Zindagi Jab Kaat Chukty Hain
Thakan Ki Kirchiyaan Chuntay Wafa Ki Ajrakain Pehny
Samy Ki Rahguzar Ki Aakhri Sarhad Pay Rukty Hain
To Koi Dobti Sanson Ki Dori Tham Kr
Dhery Say Kehta Hai,Yeh Sach Hai Na?

Hamari Zindage Ek Dosry K Nam Likhi The
Dhundalka Sa Jo Aankhoon K Qareb_O_Door Phela Hai
Esi Ka Naam Chahaat Hai
Tumhain Mujh Say Mohabat Thi
Tumhain Mujh Say Mohabat Hai
Mohabat Ki Tabiyat Mein
Yeh Kaisa Bachpana Qudrat Nay Rakha Hai
________________________________


Mohabbat Hee Naa Jo Samajhey Wo Zaalim Pyaar Kyaa Jaaney

 "Mohabbat Hee Naa Jo Samajhey Wo Zaalim Pyaar Kyaa Jaaney
 Nikalati Dil Ki Taaron Say Jo Hain Jhankaar Kyaa Jaaney"

"Use To Qatl Krnaa Aur Tadapaanaa Hee Aataa Hai
 Galaa Kis Kaa Kataa Kyun Kar Kataa, Talawaar Kyaa Jaaney"

 "Dawaa Say Faayadaa Ho Gaa, K Ho Gaa Zehar-E-Qatil Say
 Marja K Kyaa Dawaa Hai, Ye Koee Bimaar Kyaa Jaaney"

 "Karo Fayraad Sar Takaraao Apanee Jaan Day Daalo
 Tadapatay Dil Ki Haalat  Husan Ki Diwaar Kyaa Jaaney"
________________________________

Mohabbat Humse Na Hogi

"Mohabbat Humse Na Hogi
Suna Hai Is Mohabt Main Bohat
Nuksan Hota Hai
Mehakta Jhoomta Jevan
Ghamo K Naam Hota Hai
Suna Hai Chain Kho Kr Wo Sehr
Say Sham Rota Hai
Mohabbat Jo B Krta Hai Bohat
Bdnaam Hota Hai
Mohabbat Humse Na Hogi
Suna Hai Is Mohabbat Mein Kahin
B Dil Nahi Lagta
Bina Uski Nigahon Main Koi Mosam
Nahi Jachta
Khfa Jis Say Mohabbat Ho Wo Jevan
Bhr Nahi Hansta
Bohat Anmol Hai Jo Dil
Ujjar Kar Phir Nahi Basta"

"Mohabbat Humse Na Ho Gi"
________________________________

Zindagi Sirf Mohabbat Nahi

"Zindagi Sirf Mohabbat Nahi
Kch Aur Bhi Hy"

"Zulf-o-Rukhsar Ki Jannat Nahi
Kch Aur Bhi Hy"

"Bhool-o-Aflas Ki Is Maari
Hui Dunya Main"

"Ishq Hi Ek Haqiqat Nahi
Kch Aur Bhi Hy"
________________________________

Safar Mein Apne Hisse Ki Musafat Yaad Rehti Hai

"Safar Mein Apne Hisse Ki Musafat Yaad Rehti Hai
Kahin Abaad Honay Par Bhi Hijrat Yaad Rehti Hai"

"Wo Chahe Dosti Ho Dushmani Ho Ya Muhabbat Ho
Yahan Har Haal Mein Apni Zarurat Yaad Rehti Hai"

"Kisi Sehra Ko Pyasa Chorr Jata Hai Kabhi Darya
Kabhi Pyase Ko Darya Ki Sakhawat Yaad Rehti Hai"

"Ye Sach Hai Pehla Pyaar Hi Basa Rehta Hai Sanson Mein
Ye Sach Hai Umer Bhar Pehli Muhabbat Yaad Rehti Hai"
________________________________

Mujhe Mohabbat Hui Hawaon Say

“Mujhe mohabbat hui hawaon se

Hawaon ne rukh badal diya

Mujhe mohabbat hui chand se

Wo her rat doobta raha

Mujhe mohabbat hui sapnon se

Woh bikharne Lage

Main ne apni mohabbat khuwahishat ke nazar ki

Wo hasrat ban ne lagi

Ab jan chuka hoon main

Sub jhooth hai yeh

Mohabbat kuch bhi nhain
________________________________

Na Koi Soch Lafz Banti Hai


"Na koi soch lafz banti hay
Na koi khwab yaad rehta hay
Na koi baat guzray waqton ki
Dil ko gheray rehti hay
Na mohabbat sajhai deti hay
Na mohabbat dikhae deti hay
Na mohabbat sunai deti hay
Na koi ashq dil main girta hay
Na koi dard muskarata hay
Aur judai ki har aziyat bhi
Aik kitabi si baat lagti hay
Ik ajab bekali c rehti hay
Dil ki baton main dil nahe lagta
Sham ka lamss kuch nahe kehta
Chaand raton main dil nahe lagta
Qisa-e-wasl likh nahe sakte
Hijr ki baat keh nahe sakte
Ishq say dor ho ahe sakte
Ishq k sath reh nahe sakte
Es tarha bebasi k alam may
Sach kahon to main esay mosam main
Khas chehra bhi aam lagta hay
Shair kehna bhi kalm lagta hay"
________________________________

Ajab Pagal Si Larki Hai

"Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe me yaad ati hoon?
Meri baaten satati hain?
Meri neenden jagati hain?
Meri aankhen rulati hain?
Falak k sab sitaroon ko meri baaten sunate ho?
Kitabbon se tumhare ishq me koi kami ayi?
Ya meri yaad ki shiddat se ankhon mai nami ayi?
Ajab pagal si larki hai
Mujhe har khat me likhti hai
Jawab youn uss par likhta hoon
Meri masrofiyat dekho
Subha se shaam Office mai chiragh-e-umr jalta hai
Phir uss k baad duniya ki kai majbooriyan paoun me beriyan daal deti hain
Mujhe chahat se bhare sapne nahi dikh’te
Tehalne jaagne ronay ki mohlat hi nahi milti
Sitaroon se mily arsa hua
kitaboon se shagaf mera abhi wesa hi qaaim hai
Farq itna para hai ab unhain arse me parhta hoon
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
K me khud ko bholne ki musal’sal justaju me hoon
Tumhein na yaad aane ki musal’sal justaju me hoon
Magar ye justaju meri bahut nakaam rehti hai
Mere din raat me ab bhi tumhari shaam behti hai
Mere lafzoon ki har maala tumhare naam rehti hai
Tumhe kis ne kaha pagli tumhe me yaad karta hoon
Unhain ham yaad karte hain jinhe ham bhool jate hain
Ajab pagal si larki ho
Tumhein dil se bhulaon to tumhari yaad aye na
Tumhe dil se bhulane ki mujhe fursat nahi milti
Aur iss masroof jevan main tumhare khat ka ek jumla
“Tumhe main yaad aati hoon”?
Meri shiddat main
kami hone nahi deta
So agli baar khat main ye jumla nahi likhna
Ajab pagal si larki hai
Mujhe phir bhi ye likhti hai
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhe me yaad aati hoon….?"
________________________________

Sitaray Jo Chamakte Hain


Sitaray jo chamakte hain
Kisi ki chashm-e-hairan mein
Mulaqatain jo hoti hain???
Jamal-e-abr-o-baran mai
Ye na-aabad waqton mai
Dil-e-nashaad mai hongi
Mohabbat ab nahi hogi
Ye kuch din baad mai hogi
Guzer jayenge jab ye din

"YE UNKI YAAD MAI HOGI"
________________________________

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar K

"Dono jahan teri mohabbat meiN haar ke
Wo ja raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke"


"VeeraaN hai maikada Khum-o-saaGar udaas hai
Tum kya gaye ke rooTh gaye din bahaar ke"


"Ek fursat-e-gunaah mili, wo bhi chaar din
dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke"

"Duniyaa ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-fareb haiN Gham rozgaar ke"

"Bhoole se muskuraa jo diye the wo aaj ‘Faiz’
Mat pooch val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke"
________________________________

Apni Muhabbat K Afsane Kab Tak Raaz Banao Gay

"Apni Muhabbat ke Afsane Kab Tak Raaz Banao Gay?
Ruswai Se Darnay Walo Baat Tum He Phailao Gay"

"Us Ka Kya Hai Tum Na Sahi To Chahne Wale Or Bohat
Tark-e-Muhabbat Karne Walo ! Tum Tanha Reh Jao Gay"

"Hijr K Maaron K Khush Fehmi ! Jaag Rahe Hain Pehron Se
Jaise Yun Shab Kut Jaye Gi, Jaise Tum Aa Jao Gay"

"Zakhm-e-Tamana Ka Bher Jana Goya Jaan Se Jana Hai
Is Ka Bholna Sehal Nahi Hai Khud Bhi Yaad Aao Gay"

"Chohro Ehd-e-Wafa Ki Baaten Kyun Jhote Iqrar Karen
Kal Main Bhi Sharminda Hon Ga Kal Tum Bhi Pachtao Gay"

"Rehne Do Ye Pand-o-Naseehat Hum Bhi FARAZ Se Waqif Hain
Jis Ne Khud So Zakham Sahe Hon Us Ko Kia Samjhao Gay?"
________________________________

Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain 

"Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha?Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.
Main To Ek Khamosh Sa Sha?Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha?Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati"
________________________________

Hum Ahl-E-Mohabbat Pr Woh Waqt B Aye Hein

"Hum ahl-e-mohabbat par woh waqt bhii aaye hein
Khud qatl huwey aur qaatil kahlaaye hein"

"Roye to hai ruswaai chup rahne pe dam TooTe
Phoolon ke ewaz hamnein woh zakhm bhii khaaye hein"

"Apnon ki mohabbat kii itni sii haqiqat hai
Jitna bhii gale miliye utne hii paraye hein"

"Is daur mein Mohsin bach kar bhii kahan jaayein
Jo aag baraste hein woh apnon ke hii saaye hein"
________________________________

Bohat Si Be-sabab Baatain

"Bohat Si Be-sabab Baatai’n
Faqt Tehmeed Hoti Hyn
Jo Aksar Tum Sy Kehty Hyn
Suno !!!
Aur Kese Ho ?
Suno Sardi Bohat Hy Na
Nahi Mausam Tou Acha Hy
Chalo Acha
Hum Chalte Hyn
Dobara Phone Karo Ge
Ye Saari Baatai’n !!!
Faqt Tehmeed Hoti Hy
Aur Is Tehmeed Main Jaan’an
Guzar jate Hyn Jab Lamhey
Tou Phir Hum Sohtey Hyn k
Zara Si Baat Hi Tou Hy
Tumhai’n Jaldi Sy Keh Denge
Humai’n Tum Se Mohabbat Hy"
________________________________

Mohabbat Na Rahe Tou Phir

"Mohabbat Na Rahe Tou Phir
Raha Kuch Bhi Nahi Kerta"

"K Itni Taiz Aandhi Main
Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta"

"Wo Mujh Ko yaad Rakhna
Ab Gawara Hi Nahi Kerta"

"Main Jis Ko Yaad Rakhne
K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta"

"Kaha Tha Tujh Se Nadaan
K Zulm Ki Taiz Baarish Main"

"Siwaye Kachy Makano’n k
Gira Kuch Bhi Nahi Kerta"
________________________________

Mohabbat Kr K Yeh Dhoka B Mujhe Khana Tha
"Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha
Karke Wafa bhi bewafayi ka ilzam mujhe utthana tha"

"Hamesha rahi main jis ke Pyaar ki panahon main
Aaj us ki bahon main kisi aur ka thikana tha"

"Zara si baat per hua tha woh khafa mujh se
Kyun ki aaj us ne mere Pyaar ko aazmana tha"


"Jab kuch na kaha us ne to chup rahi main bhi
Mujhe bhi thi bohat jaldi usse bhi Ghar ko jaana tha"


"Mohabbat ka haseen Rishta itne aram se toota
Hui ghalti mujh se Dil main kisi ko nahi basana tha'
________________________________

Read More..

1 comment: