Tumhain Bhi Ishq Karnay K Hunar Aanay Lagay Hain
"Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
To kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain?"
"Na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
Ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain"
"Tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
Udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain"
"Bisaat_e_assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
Saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain"
"BayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
Hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain"
"Abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
Abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain"
"Abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
Abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain"
________________________________
"Khwab Marte Nahin
Khwab Dil Hain Na Ankhen Na Sansein K Jo
Reza-Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge"
"Khwab Marte Nahin"
"Khwab To Roshni Hain, Nava Hain, Hava Hain
Jo Kale Paharron Se Rukte Nahin
Zulm K Dozakhon Se Bhi Phukte Nahin
Roshni Aur Nava Aur Hava K Alam
Maqtalon Main Pohanch Kar Bhi Jhukte Nahin"
"Khwab To Harf Hain"
"Khwab To Noor Hain"
"Khwab Suqraat Hain"
"Khwab Mansoor Hain"
________________________________
Phir Taaron Bhari Raatain Hain
"Phir taaron bhari raatain hain"
Phir khushboo ki baratein hain"
"Phir raat ka thanda anchal hai
Aur aik bhatakta badal hai"
"Phir sawan toot k barsa hai
Aur phir dil itna tarsa hai"
"Phir duniya k jhamelon mai
Phir zindagi k mailon main"
"Ap ki yaad ki shehnai hai"
Bus mani aur meri tanhai hai"
"Bus main aur meri tanhai hai"
________________________________
Barishain Tham Gayein Dukh Barasnay Lagay Aainay Dhul Gaye Aur Hawa Chal Pari
"Barishain tham gayein dukh barasnay lagay aainay dhul gaye aur hawa chal pari
Neend main dagmagaty huway saye khwaboN main chlny lagy aur hawa chal pari"
"Chand se aik bichri kirn baam o dar ki udaasi pe ik naam likhti rahi
Raat bhr khirkiyaaN band karky yunhi loog sooty rahay aur hawa chal pari"
"Koi aahat huwi, aany waly musafir ko dekha nahi, dhool urnay lagi
Deep phailay huway rastooN per abhi to jalay bhi na thy aur hawa chal pari"
"Ab k badal bhari bastiyooN ki hadooN se guzrty huway janay kya keh gaye
Shaak dar shaakh bethay parinday bhi ghar chooR kr uR gaye aur hawa chal pari"
"Door jaty mawaishi galay main paRi ghantiyooN ki sadaaoN pe hansty rahay
Us purani haveli main jaga koi, wo dareechay khulay aur hawa chal pari"
"Meray khaitooN main sona ugalti huwiiN saari faslain teh e khaak jalnay lagi
BarishooN ki dua maangny k liye hath uThay hi thy aur hawa chal pari"
"Jany kya baat thi hum kitabooN k safhay ultay rahay, habs barhta raha
Phir achanak kisi naam per be-iradah hi lab rakh diye aur hawa chal pari"
________________________________
Aj Jane Ki Zid Na Karo
"Youn hi pahlu main baithe raho
Haaye! mar jayenge, ham to lut jayenge
Aisi baten kiya na karo"
"Tum hi socho zara kyun na roke tumhen
Jan jati hai jab uthke jate ho tum
Tum ko apni kasam jan-e-jan
Bat itni meri man lo"
"Waqt ki qaid main zindagi hai magar
Chand ghariyan yahi hain jo azad hai
In ko kho kar abhi jan-e-jan
Umar bhar na taraste raho"
"Kitna masum-o-rangin hai ye sama
Husan aur ishq ki aj meraj hai
Kal ki kisko khabar jane-jan
Rok lo aj ki rat ko"
"Gesou'on ki shikan hai abhi shabnami
Aur palkon k saye bhi madahosh hain
Husn-e-masum ko jane-jan
Bekhudi main na rusva karo"
________________________________
Panion Panion Jab Chaand Ka Haala Utraa
"Panion panion jab chaand ka haala utraa
Neend kee jheel pe, ik khawab purana utraa"
"Aazmaish mein kaha’N, ishq bhi poora utraa
Husn ke aagy to, taqdeer ka likha utraa"
"Dhoop dhalne lagi, deewar se saya utraa
Sat’ha hamvaar hue, payar ka daria utraa"
"Yaad se naam mitta, zehan se chehra utraa
Chand lamho’N mein nazar se teri, kya kya utraa"
"Aaj kee shab mein paresha’N hoon to yn lagta hy
Aaj mahtaab ka chehra bhi hy, utraa utraa"
"Meri vehshat, ram-e-aahoo se kahi’N barh kar thi
Jab meri zaat mein tanhai ka sehraa utraa"
"Ik shab-e-gham ke andhery pe nahe hy mokoof
Tu ne jo zakhm lagaya hy, wo gehra utraa"
________________________________
Apney He Habe-e-Haal Mangti Hoon
"Apney he habe-e-haal mangti hoon
Bas dua-e-wisaal mangti hoon"
"Teri qurbat main jo guzar sako,
Main wohi maah-o-saal mangti hoon"
"Jiski tabeer mil sake mujhko,
Khuab sa ik khyaal mangti hoon"
"Mere hathon ko bas hina dedey,
Tujh se main zar na maal mangti hoon"
________________________________
Udte Baadal, Buzurgon Ki Shafqat Bane, Dhoop Mein Ladkiyan Muskurati Rahin
"Udte baadal, buzurgon ki shafqat bane, dhoop mein ladkiyan muskurati rahin
Jab se jana ki ab koi manzil nahin manzilen raah mein ati jati rahin"
"Raat, pariyan, farishtey, hamara badan mangkar barf meinjal rahe they megar
Kuchh shabihein, kitabon key bujhte diye, kaghazi maqbaron meinjalati rahin"
"Saare din ki tapi sahili ret par do tadapti huyi machhliyan so gayin
Apne milne ki wo akhiri shaam thi lahren ati rahin lahren jati rahin"
"Nange paon farishton ka ek taifa aasman se zamin par utarne laga
Sar barehna falak zadiyan arsh se aansuon key sitare girati rahin"
"Ek dareeche do mein ansuon ka safar raat ke raston ki tarah kho gaya
Nann mitti pe girti huyi pattiyan soney walon ko chadar chadhati rahin"
________________________________
Wo Chandni Ka Badan Khushbuon Ka Saaya Hai
"Wo chandni ka badan khushbuon ka saaya hai
Bahut aziz hamein hai magar paraya hai"
"Utar bhi aao kabhi aasman key zeene se
Tumhen khuda ne hamare liye banaya hai"
"Kahan se aayeye khushboo ye ghar ki khusboo hai
Is ajnabi key andhere mein kon aaya hai"
"Mahak rahi hai zamin chandni ke phoolon se
Khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai"
"Use kisi ki mohabbat ka eitbar nahin
Use zamane ne shayad bahut sataya hai"
"Tamaam umr mera dam isi dhuen mein ghuta
Wo ek chiragh tha maine use bujhaya hai"
________________________________
Wo Thaka Hua Meri Bahon Mein Zara So Gaya Tha To Kya Hua
"Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua"
"Jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
Kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua"
"Kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
Koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua"
"Mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
Mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua"
"Wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
Kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua"
"WOhi shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
Magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua"
"Mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
Ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua"
________________________________
Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai
"Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezaar Guzari Hai
Talaash Mein Hai Seher, Baar Baar Guzari Hai"
"Junoon Mein Jitni Bhi Guzari Bakaar Guzari Hai
Agarche Dil Pe Kharaabi Hazaar Guzari Hai"
"Huyi Hai Hazrat-E-Naaseh Se Guftagu Jis Shab
Woh Shab Zaroor Sar-E-Ku-E-Yaar Guzari Hai"
"Woh Baat Saare Fasaane Mein Jiska Zikr Na Tha
Woh Baat Unko Bahut Naagvaar Guzari Hai"
"Na Gul Khile Hain, Na Unse Mile, Na May Pee Hai
Ajeeb Rang Mein Ab K Bahaar Guzari Hai"
"Chaman Pe Gaarat-E-Gulcheen Se Jaane Kya Guzari
Qafas Se Aaj Saba Beqaraar Guzari Hai"
________________________________
Sisakate Aab Mein Kis Ki Sada Hai
"Sisakate aab mein kis ke sada hai
Koi dariya ke tah mein ro raha hai"
"Savere meri in aankhon ne dekha
Khuda charo taraf bikhara hua hai"
"Sameto aur sine mein chupalo
Ye sannata bahut phaila hua hai"
"Pak gehu,n ke khushbu chikhati hai
Badan apna sunehara ho chala hai"
"Haqiqat surkh machali janati hai
Samandar kaisa budha devata hai"
"Hamari shakh ka nau-khez patta
Hawa ke honth aksar chumata hai"
"Mujhe un nili aankhon ne bataya
Tumhara naam pani par likha hai"
________________________________
Ghazlon Ka Hunar Apni Aankhon Ko Sikhayenge
"Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aansu nahin ayenge"
"Kah dena samandar se ham os key moti hain
Darya ki tarah tujh se milne nahin ayenge"
"Wo dhoop key chhappar hon ya chhaon ki deewaren
Ab jobhi uthayenge mil jul key uthayenge"
"Jab saath na de koi aawaz hamein dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi uthayenge"
________________________________
In Ankhon Ki Masti Ki Mastane Hzaron Hain
"In ankhon ki masti ke mastane hazaron hain
In ankhon se wabasta afasane hazaron hain"
"Ik tum hi nahi tanha ulafat may meri rusawa
Is shahar may tum jaise diwane hazaron hain"
"Ik sirf ham hi may ko ankhon se pilate hain
Kahane ko to duniya may maikhane hazaron hain"
"Is shamm e farozan ko andhi se darate ho
Is shamm e farozan ke parawane hazaron hain"
________________________________
Woh Kehti Hai Muje Mayosiyan Rasta Nahi Deti
"Woh kehti hai muje mayosiyan rasta nahi detin
Main kehta hoon ke yeh mayosiyan taqat bhi hoti hain"
"Woh kehti hai buht tanha hoon main is puri dunia mein
Main kehta hoon ke yeh ihsas tou hoga khuda ko bhi"
"Woh kehti hai ke muje per shehar ke wehshi lapkatay hain
Main kehta hoon ke tum kardar ko sinna super karlo"
"Woh kehti hai hajoom-e-budrosh se khof aata hai
Main kehta hoon muje ujari hui galiyan durati hain"
"Woh kehti hai muje behiss zamane se shikayat hai
Main kehta hoon ke yeh shikwa shikayat raiga hai sab"
________________________________
Us Ke Bina Ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hai
"Us Ke Bina Ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hai
Khamoshi Se Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai"
"Jis Hasti Ki Yaad Mein Din Bhar Aansoo Behte Hain
Saamne Us Ke Kuch Na Kehna Acha Lagta Hai"
"Mil Ker Us Se Bichar Na Jaon Darti Rehti Hoon
Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai"
"Janti Hoon Ke Chahat Mein Bas Aansoo Milte Hain
Kuch Bhi Ho Ab Is Zehar Ko Peena Acha Lagta Hai"
"Jee Chahe Sab Khushiyan Le Ker Us Ko De Doon
Us Ke Pyaar Mein Sab Kuch Khona Acha Lagta Hai"
________________________________
Ghari Bhar K Liye Tujh Se Juda Rehna Bhi Mushkil Hai
"Ghari Bhar K Liye Tujh Se Juda Rehna Bhi Mushkil Hai
Magar Ye Bat Sub K Samnay Kehna Bhi Mushkil Hai"
"Har Ek Shay Tham Gai Hai, Sans Bhi Ankhon Ka Pani Bhi
K Ab To Ansoo Ka Ankh Se Behna Bhi Mushkil Hai"
"Baja Hai Zulum Hai Tera, Magar Ay Sheher Ke Hakim
Sitam Haad Se Guzar Jaye To Phir Sehna Bhi Mushkil Hai"
"Hai Dor e Maslehat Har Su , Gharz ka Dor Doura Hai
Galat Ko Is Zamany Main Galat Kehna Bhi Mushkil Hai"
"Lutairoooon K liye Aye Roshni Jannat Hai Ye Dharti
Yahan Hasas Insan K Liye Rehna Bhi Mushkil Hai"
________________________________
Rehna Tha Mujh Ko Teri Nazar K Kmaal Mein
"Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein"
"Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein"
"Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein"
"Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein"
"Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein"
"Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein"
"Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein"
________________________________
Mohabbat Ki Aseeri Se Rahayi Mangtay Rehna
"Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna"
"Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna"
"Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna"
"Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bewafai mangtay rehna"
"Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navai mangtay rehna"
"Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehai mangtay rehna"
________________________________
Ansu’oon Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna
"Ansu’oon ! Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna
Dob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna"
"Us Ki Aadat Wohi Her Baat Adhori Karna
Aur Phir Baat Ka Mafhom Badaltay Rehna"
"Aaj Se Seekh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne
Bujh Bhi Jana To Bari Dair Tak Sulagtay Rehna"
"Jany Kis Umer Main Jaye Gi Ye Aadat Us Ki
Rothna Khud Se To Auron Se Ulajhtay Rehna"
________________________________
Mere Liye Sogwar Rehna Udhas Rehna
"Mere lye sogwar rehna, udhas rehna
Khushi millay nhi to derd sehna, udhas rehna"
"Sajjay ga tujh pr ye matmi perahin ghazab ka
Khud apne kajal k sath behna, udhas rehna"
"Tere tabasm ka sakht dushman hai ek zamana
Koi rollay to phr na kehna, udhas rehna"
"Nai dulhan ko wo jatay waqt keh gia tha
Yehi uddasi hai tera gehna, udhas rehna"
"Najanay kis jurm ki saza mill rahi hai natiq
Fazool din raat shear kehna udhas rehan"
________________________________
Muhabbat B Ajab Shay hai Bari Takleef Deti Hai
"Muhabbat bhi ajab shay hai bari takleef deti hai
Isi mein lutf hain saare yahi takleef deti hai"
"Yahi dastoor hai shaayad wafaadari kii duniya ka
Jise jee jaan se chaaho wahi takleef deti hai"
"Shikaayat kar rahaa tha aasmaan se aik sehra kal
Mujhe khawaabon mein aksar ik naddi takleef deti hai"
"Palak bhar ka milan hota hai do anjaan chehron mein
Magar phir umr bhar ye ik ghari takleef deti hai"
"Kazaa ka khauf lekar jee rahe hain sab zamaane mein
Haqiiqat mein sabhi ko zindagi takleef deti hai"
"Kabhi mauka-b-mauka ho to koii sabr bhi kar le
Magar aathon pehar kii bekhudi takleef deti hai"
"Savaa neze pe jab aa jaayega sooraj to kya hoga
Hmein to garmiyon kii loo bari takleef deti hai"
"Zaraa kachche makaanon kii taraf bhi tum nazar dalo
JahaaN baarish kii har teekhee jhari takleef deti hai"
"Adaavat ke jinhon ne har taraf parcham uraaye the
UnheN ab dostoN kii berukhi takleef deti hai"
"Numu hote hi jiske baaghbaan hasrat se taktaa hai
Kaii kaanton ko wo taazaa kalii takleef deti hai"
"Bhulaane kii tago-dou mein jalaa daale hain khat mere
Magar usko usii kii diary takleef deti hai"
"Nazar aaye jahaan se roshnii masloob aankhon kii
Bayaaze-dil ko aisii shayri takleef deti hai"
________________________________
Deti Hai Sukoon Rooh Ko Kaanton Ki Chubhan B
"Deti hai sukoon rooh ko kaanton ki chubhan bhi
Khushbu se kabhi hoti hai seenay mein jaln bhi"
"Aansoo hi nahi haasil-e-izhar-e-gham-e-dil
Honton se larzti hai tabbassum ki kiran bhi"
"Ehsaas ke andaz badal jatey hein warna
Aanchal bhi usi taar se banta hai, kafan bhi"
________________________________
Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Bad
"Kaise Sukoon Paun Tujhe Dekhne Ke Baad
Ab Kya Gazal Sunaun Tujhe Dekhne Ke Baad"
"Aawaz De Rahi Hai Meri Zindagi Mujhe
Jaun Main Ya Na Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad"
"Kaabe Ka Ehtaraam Bhi Meri Nazar Mein Hai
Sar Kis Taraf Jhukaun Tujhe Dekhne Ke Baad"
"Teri Nigah-E-Mast Ne Deewana Kar Diya Hai
Kya Maikade Ko Jaun Tujhe Dekhne Ke Baad"
"Nazron Mein Taab-E-Deed Hi BaaQi Nahi Rahi
Kisse Nazar Milaun Tujhe Dekhne Ke Baad"
________________________________
Is Dard K Bad Koi Dard Dard Nahin Lagta
"Is dard kay baad koi dard, dard nahin lagta
Kay shidat-e-dard ki inteha hoti hai mohabbat"
"Nahi uthti woh aankhain phir kisi pai
Ke jin aankhon main yeh fanna hoti hai mohabbat"
"Umar bhar jin ka aazala na kar pai
Bas aik aisi hi khata hoti hai mohabbat"
"Jo mil jae tou bas phir kya kehna
Warna aik musalsal saza hoti hai mohabbat"
"Log mujh say har baar yeh hi poochtay hain
Tum nay us main daikha kya"
"Main har baar yehi kahta hoon
Bewaja hoti hai mohabat"
________________________________
Tumhare Bad Sapne Bun Rahi Hai
"Tumhare baad sapne bun rahi hai
Udasi se kia rakh chun rahi hai"
"Zara ahista bol aae yad-e-yaran
Meri tanhai sab kuch sun rahi hai"
"Tumhare qurb ki pur kaif leh per
Meri dharkan abhi sir dun rahi hai"
________________________________
Tumhare Khuwab Sajane Mein Lutf Ata Hai
"Tumhare Khuwab Sajane Mein Lutf Ata Hai
Apne ApKo Jalane Mein Lutf Ata Hai"
"Khuda Se Apne Liye Mangta Hu Jab Tum Ko
Mujhe Yeh Hath Uttane Mein Maza Ata Hai"
"Tumhari Yaad Mein Bus Jagta Rahu Shab Behr
Khud Apni Neend Churane Mein Lutf Ata Hai"
"Tumhari Zaat Se Hai Be_Panah Pyaar Mujhe
Tumhare Naaz Uttane Mein Lutf Ata Hai"
________________________________
Tere Khayal Se Aankhain Milane Wali Hon
"Tere Khayal Se Aankhain Milane Wali Hon
Naye Saroop Ka Jado Jagane Wali Hon"
"Main Seent Seent K Rakhe Howe Lihafon Se
Tumhari rooh Ki Garmi Churane Wali Hon"
"Kaho K Chaon Meri Khud Samait Le Aa Kar
Main Ab Ghata Ka Paranda Hilane Wali Hon"
"Jahan Pe Aam Ki Ghutli Dabi Thi Bhobhal Mein
Wahain Pe Apne Dukhon Ko, Tapane Wali Hon"
"Is Algani Pe Akele Larzte Qatre Ko
Bana K NENAA Main Surma Lagane Wali Hon"
________________________________
Suno logo
Meri aankhain khareedo ge
Bohot majboor haalat mein
Mujhe neelaam karni hain
Koi mujh se naqd le le
Main thoray daam kar doon ga
Jo pehli boli de de ga
Usi ke naam kar doon ga
Mujhay bazaar vaalay keh
Rahay hain kam aql taajir
Aray sunsaan logo nahin hoon main hirs ka khwahaan
Nafa nuqsaan ki shatranj
nahin main khelnay aaya
Koi mujh ko kahay na
manchala sa behunar taajir
Bata paaoon tumhain kesay kis tashveesh mein rakkhoon
Suno logo
Bari mehboob tar hain mujh
ko meri neem tar aankhain
Magar ab bechta hoon keh
Mujhay ik khaab ka taavaan bharna hai
"Suno logo
Meri aankhain khareedo ge
Bohot majboor haalat mein
Mujhay neelaam karni hain"
________________________________
Parho Ge Khat Kabhi Mery Kabhi Tasveer Dekho Ge
"Parho Ge Khat Kabhi Mery Kabhi Tasveer Dekho Ge
Kabhi Haathon Mein Jo Likhi Hai Wo Tehreer Dekho Ge"
"Likho Ge Kuch Hatheli Par Parho Ge Kuch Kitabon Mein
Nazar Aayen Ge Hum Tum Ko Sawalon Mein Jawabon Mein"
"Kabhi Aansu Bahao Ge Kabhi Tum Muskurao Ge
Kisi Se Kuch Kaho Ge Tum Kisi Sy Kuch Chupao Ge"
"Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungnao Ge
Hum Utna Yaad Aayen Ge Humen Jitna Bhulao Ge"
________________________________
0 comments:
Post a Comment