Pages

Tuesday, 9 July 2013

Mohsin Naqvi


















KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
"KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA"

"TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH'SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA"

"MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA"

"MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA"
  _____________________________________

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
"Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra"
"Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra"
"Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra"
"Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra"
"Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra"
"Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra"
"Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra"
"Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra"

"Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi "Mohsin"
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ? "
_____________________________________

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
"KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA"
"TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH'SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA"
"MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA"

"MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA"
_____________________________________

Kahan Itni Saza'en Thi Bhala Is Zindgani Mein

"Kahan itni saza'en thi bhala is zindgani mein
Hazaron ghar huwe roshan jab mera dil jala MOHSIN"
"Faqat ik lafz "MOHABBAT" ki hum ne bheek mangi thi
Taras gaye khushi ko hum mili hai ye saza MOHSIN"
"Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila MOHSIN"
"Toota huwa ye dil le kar main kis k paas jaonga
Hai kaun wo karay ga jo mere dil ki dawa MOHSIN"
"Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan
Main kaise bhool paƶn ga teri har ik adaa MOHSIN"
"Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna MOHSIN"

"Nahi qaabil tere lekin munasib jo agar samjho
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja MOHSIN"
_____________________________________

Kuch To Ae Yaar Elaj-E-Ghum-E-Tanhai Ho
"Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho"
"Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho"
"Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho"
"Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho"
"Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho"

"Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho"
_____________________________________


Loogon Ke Lye Saahib-E-Kirdaar Bhi Mein Tha
"Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha"
"Kyun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha"
"Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha"
"Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha"
"Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha"
"Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha"
"Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha"
"Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha"
_____________________________________

Diya Khud Se Bujha Dena

"Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?"

"Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena"

"Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena"

"Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena"

"Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena"

"Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena"

"Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena"

"Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena"

"Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena"
 _____________________________________


Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai

"Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai"

"Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai"

"Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai"

"Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai"

"Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai"

"Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai"

"Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai"
_____________________________________


Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon

"Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon"

"Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha
K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon"

"Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada
Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon"

"Na Churwa sakoge kabi Haath Apna
Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon"

"Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon"

"Juda kar Na Payega Ab koi “MOHSIN”
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon"
_____________________________________

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey

"Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey"

"Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey"

"Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey"

"Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey"

"Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi ,,Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey"
_____________________________________


Ujre  Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar

"Ujre  Hue Logon Se Gurezaa Na Hua Kar
Halaat K Qabron K Ye Kutbey Bhi Parha Kar"

"Kia Janye Kiun Taiz Hawa Soch Men Ghum Hai
Khuwabaida Parindon Ko Darakhton Se Uraa Kar"

"Us Shakhs K Tum Se Bhi Marasim Tou Honge
Who Jhoot Na Boly Ga Mere Samney Aakar "

"Ab Dastaein De Ga Tu Kahan A Gham-E-Ehbaab
Men Ne Kaha Tha K Mere Dil Men Raha Kar "

"Wo Aaj Bhi Sadiyo Ki Musafat Pe Khara Hai
Dhudha Tha Jisay Waqt Ki Diwaar Gira Kar"

"Ae Dil Tujhe Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaraan Men Bhi Muhtat Raha Kar"

"Men Mar Bhi Chuka ,Mil Bhi Chuka Mouj-E-Hawa Men
Ab Rait K Seenay Pay Mera Naam Likha Kar"

"Pehla Sa Kahan Hai Ab Meri Raftaar Ka Aalam
A Gardish-E-Doraan Zar Tham Tham K Chala Kar"

"Is Rutt Men Kahan Phool Khilen Ge Dil-E-Nadaan
Zakhmon Ko He Wabasta Zanjeer-E-Saba Kar "

"Ik Rooh Ki Faryad Ne Chonka Diya Mujh Ko
Tu Ab Tou Mujhe  Jism K Zindaan Se Reha Kar "

"Har Waqt Ka Hasna Tujhe Barbad Na Kar De
Tanhai K Lamhon Men Kabhi Ro Bhi Liya Kar"

"Is Shab K Muqaddar Men Sehar Hi Nahi Mohsin
Dekha Hai Kai Charagon Ko Bujha Kar"

_____________________________________



Wo Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi


"Wo Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi
Piyase Hont The Ankh Samundar Jaisi Thi"

"Suraj Is Ko Dekh Ke Peela Parta Tha
Who Sarma Ki Dhoop Mai Dhul Kar Nikli Thi"

"Is Ko Apne Saaye Se Dar Lagta Tha
Suraj Ke Sehra Mai Who Tanha Hirnee Thi"

"Aatay Jaatay Mousam Iss Ko Daste The
Hanstay Hanstay Palkon Se Ro Parti Thi"

"Aadhi Raat Ginwa Deti Thi Chup Rah Kar
Aadhi Raat Ke Chaand Se Baatain Karti Thi"

"Door Se Ujray Mandar Jaisa Ghar Tha Uss Ka
Who Apney Ghar Mai Ikloti Devi Thi"

"Mom Se Nazuk Jism Sahar Ko Dukhta Tha
Diye Jala Kar Shab Bhar Aap Pighalti Thi"

"Taiz Hawa Ko Rok Ke Apnay Aanchal Par
Sookhay Phool Ikathaty Karti Phirti Thi"

"Sab Par Zahir Kar Deti Thi Bhed Apna
Sab Se Ek Tasweer Chupaye Rakhti Thi"

"Kal Shab Chikna Choor Hua tha Dil Uss Ka
Ya Phir Pahli Baar Wo Khul Kar Roi Thi"

"Mohsin Kia Jaanay Kyun Dhoop Se Be Parwa
Wo Apnay Ghar Ki Dahleez Par Baithi Thi"

_____________________________________


Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey 

Bhi Thi

"Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat usey Bhi Thi
Meri Tarha Kisi Se Muhabbat usey Bhi Thi"

"Mujh Ko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat usey Bhi Thi"

"Us Raat Dair Tak Wo Raha Mahw-e-Guftagu
Masroof Main Bhi Kam Tha Fursat usey Bhi Thi"

"Sunta Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan
Taaza Rifaqton Ki Zarorat usey Bhi Thi"

"Mujhse Bichar Ke Shehar Main Ghul Mill Gaya Wo Shakhs
Halan Ke Shehar Bhar Se adawat usey Bhi Thi"

"Wo Mujhse Bhar Ke Zabt Ka Aadee Tha Jii Gaya
Warna Her Ek Saans Qiyamat usey Bhi Thi"


_____________________________________


Tu Mera Naam Na Poocha Ker

"Tu Mera Naam Na Poocha Ker"

"Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon"

"Main Teri Soch Main Shamil Hoon"

"Main Teri Neend Ka Qissa Hoon"

"Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon"

"Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon"

"Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon"

"Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon"

"Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon"

"Jazby Ka Koi Naam Nahi"

"Tu Mera Naam Na Poocha Ker"
_____________________________________

Mosam-e-qarb-e-intazaar bhi jhoot

"Mosam-e-qarb-e-intazaar bhi jhoot
Dil na manay tu wasl-e-yaar bhi jhoot"

"Ay mout teri talab bhi larzish-e-lab
Ay zindagi tera aitbar bhi jhoot"

"Wus'at-e-dastaan-e-shoq ghalat
Koshish-e-harf-e-ikhtasar bhi jhoot"

"Sirf us ka jhoot sach hai MOHSIN
Mera pyar bhi,aitbaar bhi jhoot"

_____________________________________

Woh Jiska Naam Bhi Liya Paheliyon Ki
Oat Mein

"Woh Jiska Naam Bhi Liya Paheliyon Ki Oat Mein
Nazar Parri To Chhup Gayi Saheliyon Ki Oat Mein"

"Ruky Gi Sharam Say Kahan Ye Khal_o_Khad Ki Rosnhi

Cchupay Ga Aaftab Kya Hatheliyon Ki Oat Mein"

"Tery Mery Milap Par Voh Dushmano Ki Sazshain
Voh Saanp Reengty Hue Chambeliyon Ki Oat Mein"


"Wo Tere Ishtayk Ki Hazar Heela Saziyan
Wo Mere Iztraab Yaar Baliyon Ki Oat Mein"


"Chalo Ke Ab Bujhe Bujhe Say Ghar Ka Marsiya Kahein
Wo Chaand To Utar Gaya Haweliyon Ki Oat Mein"




Read More...

0 comments:

Post a Comment