Pages

Tuesday, 9 July 2013

Mohsin Naqvi Poetry



















Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

"Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha"

"Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha"

"Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha"

"Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha"

"Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha"
_____________________________________

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jesa Hai

"Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai"

"Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai"

"Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai"

"Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai"

"Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai"

"Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai"

"Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai"
_____________________________________


Usne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Sey Pukara Mohsin

"Usne jab jab bhi mujhe dil se pukara mohsin
Me ne tab tab yeh bataya ke tumhara mohsin"

"Log sadyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin"

"Jab agiya ho ye yaqin ab woh nahin aega
Gham aur anso ne diya dil ko sahara mohsin"

"Woh tha jab pas to jeene ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahin hota guzara mohsin"

"Usko pana to muqadar ki lakeron men nahin
Uska khona bhi karen kaisa gavara mohsin"
_____________________________________

Aankhain Khuli Rahain Gi Toh Manzar B Aayengai

"Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai"

"Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai"

"Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai"

"Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai"

"Aye shehr yaar dasht say fursat nahi ? magar
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai"

"Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai?"
_____________________________________

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

"Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah"

"Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah"

"Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah"

"Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah"

"Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah"

"Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah"
_____________________________________

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra



"Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra"

"Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra"

"Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra"

"Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra"

"Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra"

"Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra"

"Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra"

"Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra"

"Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?"
_____________________________________

Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait



"Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait"

"Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait"

"Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait"

"Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait"

"Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait"

"Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait"

"Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait"

"Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait"

"Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait"

"Mein Ke “Mohsin” Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait"
_____________________________________


Habs-E-Duniya Se Guzar Jaatay Hain

"Habs-E-Duniya Se Guzar Jaatay Hain
Aisa Kartay Hain Ke Mar Jaatay Hain"

"Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ?
Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain"

"Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi
Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain"

"Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain
Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain"

"Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay
Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain"

"Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin ?
Log Thak Haar Ke Ghar Jaatay Hain"
_____________________________________

Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai

"Jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai
Zakham Tumhare Hijar Ka Bharta Jata Hai"

"Kankar Pehnkne Walon Ko Kuch Ilm Nhi
Pani Main Ik Aks Bikharta Jata Hai"

"Dil Ki Gurbat Saray Ghar Main Phel Gai
Tasveeron Se Rang Utarta Jata Hai"

"Bujhti Ankh K Sa’aye Phalty Jaty Hain
Sham Ka Manzar Or Nikharta Jata Hai”Mohsin”"

"Is Ne Dil Ka Shaher Ujar Diya
Main Smjhta Tha Bakht Sawanarta Jata Hai"
_____________________________________

Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga


"Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga"

"Marnay Say Payshtar Meri Awaz Mut Chura
Mein Apni Jaidaad Idhar Chor Jaon Ga"

"Qatil Mera Nishaan Mitaanay pay Hay Baazidd
Mein Bhi Sinaa’n Ki Nooq Pay Sir Chor Jaoon Ga"

"Tu Nay Mujhay Chiragh Samajh kar Bujha diya
Laykin Tery Liyay Mein Sehar Chor Jaoon Ga"

"Aa’inda Nasal Mujh Ko Parhay gi Ghazal Ghazal
Mein Harf Harf Apna Hunar Chor Jaoon Ga"

"Tum Apnay Aabloo’n Ko Bachatay Ho Kis Liye ?
Mein To Safar Mein Rakht-e-Safar Chor Jaoon Ga"

"Mein Apnay Doobnay Ki Alaamat Kay toor par
Darya Mein Aik Aadh Bhanwar Chor Jaoon Ga"

"Lashkar Karain Gay Meri Dalayri Pay Tabsaray
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chor Jaoon Ga"

"“Mohsin” Mein Us Kay Zakhm Khareedoon Ga Aik Din
Aur Us K Paas La’al-o-Gohar Chor Jaoon Ga"
_____________________________________

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay

"Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay"

"Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay"

"Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko
Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay"

"Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon Ko
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay"

"Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay"

"Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay"

"Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar Tujhko
Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay"

"Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay"

"Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay"

"Apnay Jazboon Ki Kamandon Say Tujey
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay"

"Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay"

"Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay"

"Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay
Hum Sukh’noor Bhi Howa Kartey Thay"
_____________________________________


Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha

"Junoon Main, Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha"

"Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha"

"Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha"

"Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha"

"Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha"
_____________________________________

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay

"Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?"

"Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay"

"Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay"

"Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay"

"Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay"


Read More..

0 comments:

Post a Comment