Pages

Sunday, 9 February 2014

Amjad Islam Amjad Poetry




















Han Suno Dosto

Han suno dosto
Jo bi dunya kahe
Is ko parkhe bina, maan lena nahi
saari dunya ye kehti he
Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he
Kis tarah maan len
Tum ne dekha nahi
Sarfarazi ki dhun me koi admi
Jab bulandi k raste pe chalta he to
Sans tak theek karne ko rukta nahi
Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue
Pao uthta nahi
Isi liye dosto___!!
Jo b duniya kahe
Is ko parkhey bina
Maan lena nahi____!!

Mujhe Khud Say Hain Shikaaytain Mujhey Zindagi Say Gila Nahin

Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin

Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin

Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin_______!!

Meri Sochain Badalti Ja Rahi Hain

Meri sochain badalti ja rahi hain
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain

Tamasha aik hai roz-e-azal se
Fakat aankhain badalti ja rahi hain

Badalte manzron ke aayine mein
Teri yadain badalti ja rahi hain

Dilon se jorrti thi jo dilon ko
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon
Neyi shaklain badati ja rahi hain

Agar manzil wohi hai rahiyon ki
To kyon raahain badati ja rahi hain

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain_____!!

Dilon Say Mehr-O-Wafaa, Aankh Say Haya Nikley

Dilon se mehr-o-wafaa, aankh se hayaa nikle
To aese sheher ki galiyon mein koi kya nikle

Pakarti reh gayi ratain hamare saayo’n ko
Hum aik khawb mein doobey to jaa’bjaa nikle

Ajab nahin inhi dar’warsan main phool khilain
Koi bahaar ka qaasid idhar jo aa nikle

Wohi falak tha, wohi raat thi, wohi mausam
Magar hamare sitare judaa judaa nikle

Yeh ab jo rait si saarey mein urti phirti hai
Kisey khabar ke kisi raaste mein ja nikle

Samajh main kuch nahin aata yeh raasta Amjad
Chale they us ki taraf, apni simt aa nikle_____!!

Humain To Woh Bohat Achey Lagey Hain

Humain to woh bohat achey lage hain
Najane hum unhen kese lage hain

To kya yeh par nikalne ka hai mausam
Hawaa main jaal se khulney lage hain

Naye qaatil ka istaqbaal hai kya
Puraney zakham kyon bharney lage hain

Ajab hai yeh talissm hum-zubaani
Paraaye log bhi apne lage hain

Dilon ka bhaid Allah janta hai
Bazaahir aadmi achey lage hain____!!

Chaley Gi Yeh Pareshaani Kahan Tak

Chale gi yeh pareshaani kahan tak
Bata aye ghar ki veerani kahan tak

Bohat lambi thi ab ke, khushk’saali
Barastaa ankh se paani kahan tak

Tere tootey huye gajron ke hote
Mehekti raat ki raani kahan tak

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak

Khilona hai isey to tootna hai
Karain dil ki nigehbaani kahan tak

Usey baadal bulate hain hamesha
Samandar main rahe paani kahan tak____!!

Aaj Youn Muskura K Aye Ho

Aaj yu’n muskuraa ke aye ho
Jese sab kuch bhulaa ke aye ho

Yeh nishani hai dil ke lagne ki
Yeh jo tum aaj jaa ke aaye ho

Bhool kar bhi jis tarah koi aye
Sheher mein yu’n wafaa ke aye ho

Kyon jhapakti nahin meri ankhain
Chandni main nahaa ke aye ho

Dil samandar mein chaand sa utra
Kesi khushbu laga ke aye ho

Subah ki avleen kiran ki tarah
Raat saari jagaa ke aye ho

Kya bahana bana ke jana hai
Kya bahana bana ke aye ho

Koi jhonkey se kis tarah pooche
Kitni shamain bhujaa ke aye ho

Aagaye ho to aao, Bismillah
Der lekin lagaa ke aye ho

Be’kali is qadar kyon Amjad
Kya kahin kuch ganwaa ke aye ho____!!

Mujhey Khud Say Hain Shikaytain, Mujhey Zindagi Say Gilaa Nahin

Mujhe khud se hain shikaytain, Mujhe zindagi se gilaa nahin
Ke jo chaha mene woh paa liya, Nahin aesa kuch jo mila nahin

Mere aas paas hai roshni, Mere raaston mein chirag hain
Yeh tere karam ka hai mojzaa, Meri justuju ka silaa nahin

Teri aankh se jo haseen ho, Woh nigaah jag main bani nahin
Tere rukh ko jis se misaal doon, Koi aesa phool khilaa nahin

Yeh jo teri zulf ka hai haashia, Yeh jo tera chehra hai khush’numa
Koi raat aesi siyaah nahin, Kisi subaah mein yeh jala nahin

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain! Yeh jo aayino ki hain hairtain
Hain azzal se sab yeh isi tarah, Koi apni jagha se hillaa nahin____!!

Koi Mausam Ho Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam

Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hee Nahee Jaanan Tumharay Baad Ka Mausam

Nahee Tou Aazma Ke Dekh Lo, Kaisay Badalta Hai ?
Tumhaaray Muskaraanay Se Dil-e-Nashaad Ka Mausam

Kaheen Se Os Haseen Awaaz Ki Khusbuu Pukaaray Gi
Tou Is Ke Saath Badlay Ga Dil-e-Barbaad Ka Mausam

Qafas Ke Baam-o-Dar Mein Roshni Si Aayi Jaati Hai
Chaman Mein Aagaya Shayad Lab-e-Aazaad Ka Mausam

Mere Sheher-e-Pareshaan Mein Teri Be-Chaand Raaton Mein
Bohat Hee Yaad Karta Hun Teri Bunyaad Ka Mausam

Na Koi Gham Khizaan Ka Hai, Na Khwaahish Hai Bahaaron Ki
Hamaaray Saath Hai “Amjad” Kisi Ki Yaad Ka Mausam_______!!

Koi Bhi Aadmi Pura Nahin Hai

Koi bhi aadmi pura nahin hai
Kahin ankhain kahin chehra nahin hai

Yahan se kyon koi begana guzre
Yeh mere khawb hain rasta nahin hai

Jahan par they teri palkon ke saye
Wahan ab koi saaya nahin hai

Zamana dekhta hai har tamasha
Yeh larka khel se thakta nahin hai

Hazaron sheher hain hamraah us ke
Musafir sheher mein tanhaa nahin hai

Yeh kese khawb se jaagi hain ankhain
Kisi manzar pe dil jamta nahi hai

Jo dekho to har ik jaanib samandar
Magar peeney ko ik qatra nahin hai

Khudaa ki hai yehi pehchaan shayed
Ke koi aur us jesa nahin hai______!!

Jab Bhi Ik Shaam Yaad Aati Hai

Jab bhi ik shaam yaad ati hai
Jese duniya theher si jati hai

Ik taraf dil hain, Ik taraf duniya
Aur yeh scene kayenaati hai

Yu’n bhi hota hai sher, baaz aukat
Jese bijli si koond jati hai

Maut se ham’kalaam hone ke
Zindagi raste dikhati hai

Haar hoti hai aarzi, us ko
Be-dili mustakil banati hai

Haadsey aik pal nahin rukte
Zindagi hai ke chalti jati hai

Us ke dam se hain ronaq’en sari
Yeh jo dunya ki be-sabaati hai

Baat koi samajh nahin ati
Baat itni samajh mein ati hai____!!

Main Azal Ki Shaakh Say Toota Hua

Main azal ki shaakh se toota hua
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din
Koi apne takht per betha hua

Chand taare dur peechey reh gaye
Main kahan par agaya urta hua

Band khirki se hawaa ati rahi
Aik sheesha tha kahin toota hua

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua

Apne maazi ka samundar chaaniye
Ik khazaana hai yahan dooba hua

Doston ne kuch sabak aese diye
Apne saaye se bhi hoon sehma hua

Kis ki aahat atey atey ruk gayi
Kis ne mera saans hai roka hua?

Sitaron Ko Badalna Chahatey Hain

Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain

Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain

Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain

Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain

Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain

Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain____!!

Kya Kya Hamarey Khawb They Janey Kahan Pey Kho Gaye

Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye

Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye

Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye

Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye

Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye

Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye___!!

Hum Nahin Kehtey Hamari  Teri Dunya Ho Jaye

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye

Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye

Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye

Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye____!!

Hasti Ka Aitbaar Kiye Bagair Reh Na Jaye

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye

Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye

Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye___!!

Dil k Dariya Ko Kisi Roz Utar Jana Hai

Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
Jaise pana hi use asl main mar jana hai

Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai

Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai

Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai

Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
Har musafir ko isi ghat utar jana hai_______!!

Bheerh Main Ik Ajanabii Kaa Samna Achcha Lagaa

Bheerh Main Ik Ajanabii Kaa Samna Achcha Lagaa
Sab Se Chup Kar Vo Kisii Kaa Dekha Achcha Laga

Surmai Ankhon Ke Niiche Phool Se Khilane Lage
Kahate Kahate Kuchh Kisii Kaa Sochna Achcha Lagaa

Baat To Kuchh Bhii Nahin Thii Lekin Us Kaa Ek Dam
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Achcha Lagaa

Chaay Main Chinii Milaana Us Gharii Bhaya Bahut
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriyaa Achcha Lagaa

Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane Ke Use
Vo Milaa To Sab Iraade Torana Achcha Lagaa

Beirada Lams Kii Vo Sansanii Pyarii Lagii
Kam Tavajjo Aankh Kaa Vo Dekhna Achcha Lagaa

Niim Shab Kii Khamushi Main Bhiigatii Sarakon Pe Kal
Terii Yaadon Ke Jaalo Main Ghumna Achcha Lagaa

Us Uduu-E-Jaan Ko ‘Amjad’ Main Buraa Kaise Kahoon
Jab Bhii Aayaa Saamane Vo Bevafaa Achcha Lagaa_____!!

Labon Pey Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahley

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Diloan Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad IhtiyataN Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle_____!!

Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai

Kisi ki ankh jo purnam nahi hai
Na samajho ye ke us ko Gam nahi hai

Savad-e-dard main tanha khara hun
Palat jaun magar mausam nahi hai

Samajh main kuch nahi ata kisi k
Agarche guftagu mubham nahi hai

Sulagta kyun nahi tarik jangal
Talab ki lau agar maddham nahi hai

Ye basti hai sitam parvar digan ki
Yaha koi kisi se kam nahi hai

Kinara dusara dariya ka jaise
Wo sathi hai magar mahram nahi hai

Dilon ki raushani bujhne na dena
Wajud-e-tiragi mahkam nahi hai

Main tum ko chah kar pachta raha hun
Koi is zaKhm ka marham nahi hai

Jo koi sun sake ?Amjad? to suna dena
Ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai_____!!

Jo Zakhm Tou Nay Diye They Woh Bhartay Jatay Hain

Jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
Charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain

Yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
Sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain

Nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
Siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain

Ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
Khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain

Najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey
Nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain

Yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
Charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain

Darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad
K shaakh shaakh parinday utartay jatay hain____!!


0 comments:

Post a Comment