Pages

Friday, 7 February 2014

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry
















Ab Tak To Noor-O-Nikhat-O-Rang-O-Sada Kahun

Ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuu.N
Main tujh ko chhuu sakuu.N to Khudaa jaane kyaa kahuu.N

Lafzo.n se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
Wo gul kahe.n jise mai.n teraa naqsh-e-paa kahuu.N

Ab justajuu hai terii jafaa ke javaaz kii
Jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahuu.N

Sirf is ke liye ke ishq isii kaa zahuur hai
Mai.n tere husn ko bhii sabuut-e-vafaa kahuu.N

Tuu chal diyaa to kitane haqaa_iq badal gaye
Najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diyaa karuu.N

Kyaa jabr hai ke but ko bhii kahanaa pa.De Khudaa
Wo hai Khudaa to mere Khudaa tujh ko kyaa kahuu.N

Jab mere muu.Nh me.n merii zubaa.N hai to kyuu.N na mai.n
Jo kuchh kahuu.N yaqii.n se kahuu.N barmalaa kahuu.N

Kayaa jaane kis safar pe ravaa.N huu.N azal se mai.n
Har intahaa ko ek na_ii ibtidaa kahuu.N

Ho kyuu.N na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kaa_inaat-e-suKhan kaa Khudaa kahuu.N____!!
____________________________

Kis Ko Qaatil Main Kahun Kis Ko Masihaa Samajhun

Kis ko qaatil mai.n kahuu.N kis ko masiihaa samajhuu.N
Sab yahaa.N dost hii baiThe hai.n kise kyaa samajhuu.N

Wo bhii kyaa din the kii har vaham yaqii.n hotaa thaa
Ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuu.N

Dil jo TuuTaa to ka_ii haath duaa ko uThe
Aise maahaul me.n ab kis ko paraayaa samajhuu.N

Zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii
Lutf ye hai ke mai.n ab tak tujhe apanaa samajhuu.N___!!
____________________________

Ab To Shahron Say Khabar Aati Hai Devaanon Ki

Ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
Ko'ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii

Subh hote hii nikal aate haiN baazaar men log
GaThriyaaN sar pe uthaaye hu'e iimaanoN kii

Apnii poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadiim
DhajjiyaaN maaNgte haiN apne gariibaanoN kii

San'ateN phailtii jaatii haiN magar iske saath
SarhadeN tuuTtii jaatii haiN gulistaanoN kii

Unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
Bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN kii

Maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
Kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii

Terii rahmat to musallam hai magar ye to bataa
Kaun bijlii ko Khabar detaa hai kaashaanoN kii

Abhii takmiil ko pahunchaa nahiiN zehnoN kaa gudaaz
Abhii duniyaa ko zaruurat hai Ghazal-KhvaanoN kii____!!
____________________________

Andheri Raat Ko Ye Mojaza Gikhaen Gey Hum

Andheri raat ko ye mojaza dikhaen ge hum
Chirag agar na mila, apna dil jalaen ge hum

Hamari koh kani ke hein mukhtalif mayar
Pahar kaat ke raste naye banaen ge hum

Jo dil dukha hai to ye azm bhi mila hai humen
Tamam umr kisi ka na dil dukhaen ge hum

Bohat nadhal hein sasta to len ge pal do pal
Ulajh gaya kahen daman to kyon churaen ge hum

Agar hai maut mein kuch lutf, bas to itna hai
K iss ke baad Khuda ka surag paen ge hum

Humen to qbr bhi tanha na kar sake ge Nadeem
K har taraf se zameen ko qareeb paen ge hum____!!
____________________________

Dream

When the night turned pale
in the moonlight
I came across a city
where walls were conspicuous
but roofless

Only phantoms moved in the lanes
Bodiless phantoms!
(Or shadows without bodies)
____________________________

Itni Khushbu Hai K Dam Ghut'ta Hai

Itni Khushbu Hai K Dam Ghut'ta Hai
Ab k Yuon Toot K Aayii Hai Bahaar

Aag Jalti Hai K Khiltey Hain Chaman
Rang Shoalaa Hai To Nikhat Hai Sharaar

RavishoN Par Hai Qayaamat Ka Nikhaar
Jaisey Tapta Ho Javaanii Kaa Badan

Aablaa Ban K Tapaktii Hai Kali
Knopalein Phoot K Lau Detii HaiN
Ab K Gulshan Mein Saba Yuon Bhii Chali____!!
 ____________________________

Je Chaahtaa Hai Falak Pey Jaauun

Je chaahtaa hai falak pe jaauuN
Suuraj ko Ghuruub se bachaauuN

Bas meraa chale jo gardishoN par
Din ko bhii na chaaNd ko bujhaauuN

MaiN chhoR ke siidhe raastoN ko
BhaTkii hu'ii nekiyaaN kamaauuN

MaiN shab ke musaafiroN kii Khaatir
Mash'al na mile to ghar jalaauuN

Ash'aar haiN mere istiyaare
Aao tumheN aaiine dikhaauuN

YouN baNt ke bikhar ke rah gayaa huuN
Har shaKhs meN apnaa aks paauuN

Aavaaz jo duuN kisii ke dar par
Andar se bhii Khud nikal ke aauuN

Ay chaaraa-giraan-e-asr-e-haazir
Faulaad kaa dil kahaaN se laauuN

Har zabr pe sabr kar rahaa huuN
Is tarah kahiiN ujaR na jaauuN

Ghar Duub rahe haiN tiirgii meN
QabroN pe magar diye jalaauuN

Ronaa bhii tarz-e-guftuguu hai
AaNkheN jo rukeN to lab hilaauuN

Khud to "Nadeem" aazmaayaa
Ab mar ke Khudaa ko aazmaauuN____!!
____________________________

Lab E Khaamosh Say Afshaa Ho Ga

Lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
Raaz har rang me.n rusvaa hogaa

Dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
Abr gul_zaar pe barasaa hogaa

Tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
Yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa

Kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
Koi tum se bhii hasii.n kyaa hogaa

Ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
Duur baiThoge to charchaa hogaa

Zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
Dard chamakegaa to phir kyaa hogaa

Jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
Us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa

Kis qadar karb se chaTakii hai kalii
ShaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa

Umar bhar roye faqat is dhun me.n
Raat biitii to ujaalaa hogaa

Saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
Koi ham-saa bhii na tanhaa hogaa____!!


0 comments:

Post a Comment