Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye, Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne Bhi Suni Hogi Bari Aam Kahawat hai
Anjaam Ka Ho Khatra, Aaghaaz Badal Dalo
Pur-sooz Dilon Ko Jo Muskan Na Day Paye
Sur Hi Na Milay Jis Mein Wo Saaz Badal Dalo
Dushman K Iraadon Ko Hai Zair Agar karna
Tum Khail Wohi Khailo Andaaz Badal Dalo
Ae Dost Karo Himmat Kuch Dour Sawaira Hai
Gar Chahte Ho Manzil Parwaaz Badal Dalo___!!
Teray Ishq Ki Intiha Chahta Hun
Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun
Sitam Ho Ke Ho Wada-e-Be-Hijabi
Koi Baat Sabr Azma Chahta Hun
Ye Jannat Mubarik Rahe Zahidon Ko
Ke Mein Ap Ka Samna Chahta Hun
Zara Sa To Dil Hun Magar Shaukh Itna
Wohi Lan-Tarani Suna Chahta Hun
Koi Dam Ka Mehman Hun Ae Ahl-e-Mehfil
Charagh-e-Sehar Hun, Bujha Chahta Hun
Bhari Bazm Mein Raaz Ki Baat Keh Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun____!!
Mohabbat Ka Junu Baqi Nahi
Mohabbat ka junun baqi nahin hai
Musalmanon mein khun baqi nahin hai
Safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
K jazba-e-andrun baqi nahin hai
Ragon mein lahu baqi nahin hai
Wo dil, wo awaz baqi nahin hai
Namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
Ye sab baqi hai tu baqi nahin hai___!!
Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain
Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain
Tehi, Zindagi Se Nahin Ye Fazaen
Yahan Saikron Karwan Aur Bhi Hain
Qanaat Na Kar Alam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi Ashiyan Aur Bhi Hain
Agar Kho Gya Ek Nasheeman To Kya Gham
Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur Bhi Hain
Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain
Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain_____!!
Bachay Ki Dua
Lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
Zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii
Duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye
Har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye
Ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat
Jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat
Zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab
Ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab
Ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa
Dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa
Mere allaah buraaii se bachaanaa mujhako
Nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako____!!
Taraana-E-Milli
Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara
Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara
Tauheed ki amanat senon main hai hamarey
Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara
Duniya kay bu't kadon main, wo pehla ghar Khuda ka
Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara
Tagho'n Ke saaye main hum Pal kar Jawan Huway Hain
Khanjer Hilal ka hay Komi Nisha,n hamara
Maghrab Ki wadiyo,n main goongi aza'n hamari
Thamta Na tha kisi say sail-e-rawa'n hamara
Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum
Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara
Ay gulsitan-e-undlus wo din hei'n yad tujh ko
Tha tari dalyoo'n per jab ashyaa'n hamara
Ay moj-e-Dajla tub hi pehchanti hey hum ko
Ab tak hey tera derya afsana khwa'n hamara
Ay arz-e-pak tari hurmat pe kat maray hum
Hy khou'n tari ragoo'n may ab tak rawa'n hamara
Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna
Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya
Hota hai jada paima, phir karwan hamara____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment