Rait Say But Na Bana, Ay Merey Achay Fankar
Rait se But na Bana, Ay mere achay Fankar
Aik Lamhay ko Tehar, Mein tuje Pathar La du!
Mein tere samne Ambar laga donga Lekin
Kon se Rang ka Patthar tere kaam Aiga?
Surkh Patthar, Jisay Dil Kehti hai Be-DIL Dunya
Ya wo Pathrai hui Aankh ka Neela Patthar?
Jis mein Sadiyon k Tah'haur k Paray hon Doray?
Kya Tujhe Rooh k Patthar ki Zaroorat Hogi?
Jis pe Haq Baat bhi Patthar ki Tarha Girti hai
Ik wo Pathar hai Jisay kehte hain Tehzeeb Sufaid
Is k Mar Mar mein Siyah Khoon Jhala Jata hai
Aik Insaaf ka Patthar bhi to hota hai Magar
Hath me Tesha-e-Zar ho to wo Hath ata Hai
Jitne Mayyar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Jitne Afkaar hain is Dawr k sab Patthar Hain
Shair bhi Raqs bhi, Tasveer-o-Ghina bhi Pathar
Mera Ilhaam, Tera Zehan Rasa bhi Patthar
Hath Patthar hain Tere, Meri Zubaan Patthar Hai
Rait se But na bana, Ay mere Achay Fankaar________!!
_____________________________
Andaz Ho Baho Teri Awaz Pa Ka Tha
Andaz Ho Baho Teri Awaz Pa Ka Tha
Dekh Nikl K Ghar Se To Jhunka Hawa K Tha
Utha Ajab Tazad Se Insaan K Khameer
Aadi Fana Ka Tha To Pujari Baqa Ka Tha
Is Rashta E Lateef K Israr Kaya Khulain
To Samnay Tha Our Taswoor Khuda Ka Tha
Tota To Kitnay Aynay Zano Pay Zad Pari
Atka Hoya Galay Main Jo Pathar Sada K Tha
Chup Chup K Royon Our Sare Anjuman Hasu
Muj Ko Ye Mashwara Mere Dard Ashna Ka Tha
Dil Raakh Ho Chuka To Chaman Our Barh Gayi
Ye Teri Yaad Thi K Amal E Qimiya Ka Tha
Is Husne Itfaaq Pay Lut Ker Bhi Shad Hun
Teri Raza Jo Thi Wo Taqaza Wafa Ka Tha
Heran Hun K Dar Se Kese Bacha Nadeem
Wo Shakhas To Ghareeb O Ghayor Intha Ka Tha_____!!
_____________________________
Ager Baraj Girti Hai
Ager Baraj Girti Hai
Girti Rahay
Akhir Kaar Is Ko
Tamazat Ki Yalghar Main
Yun Pigalna Hai
Kuch Aysi Dar Fatangi Se Pigalna Ha
Jese Na Pigali
To Pathar Ki Ho Jaye Gi________!!
_____________________________
Tumharay Oje Tahzeeb O Saqafat Ka
Tumharay Oje Tahzeeb O Saqafat Ka
Zamana Mutraf Hai
Our Main Bhi Mutraf Hun
Sirf Ye Nanah Sa Shikwa
K Tum Bay Numa Kha Numano K Kalejo Main Utarti Barchayo Ko To Ajayeb Ghar Main
Fankarana Andaz E Tanasub Se Sjatay Ho
Magar Chalni Kalajay Bhol Jatay Ho_______!!
_____________________________
Yahan Se Abdiyat Ki Hadain Door Nahi
Yahan Se Abdiyat Ki Hadain Door Nahi
Baraf He Baraf Nazar Ati Hai Tahad Nazar
Soraj Hai Na Tara Hai Na Poo Hai Na Shafaq
Ki Roshni Hai Baraf Ki Tariki Hai
Yahi Wo Abdiyat Hai K Jis Ki Dhun Main
Dil Ne Jazbat O Khayalat Ki Hidat Kho Di
Ab Waqat K Is Roza Yakh Basta Main
Banain Gay To Majawar He Banain Gay Hum Log___!!
_____________________________
Aayina Dekh K Aik Aur Tamasha Dekho
Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho
Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho_____!!
Ye Kaya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon
Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon_____!!
_____________________________
Dil Mein Hum Aik Hi Jazbey Ko Samoyein Kesey
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kesey
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kesey
Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kesey
Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak
Chaar janib teri aahat ho to soyen kesey
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kesey_____!!
_____________________________
Na Shaaor Mein Jawani Na Khiyal Mein Rawani
Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani
Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz “Faani”
Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani
Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani
Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani_____!!
_____________________________
Ik Sehmi Sehmi Si Aahat Hai Ik Mehka Mehka Saya Hai
Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gaye kon aya hai
Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai
Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey
Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai_____!!
_____________________________
Itna Dushwar Nahin Mot Ko Taalay Takhna
Itna dushwar nahin maut ko taley rakhna
Sar jo kat jaye to dastar sambhaaley rakhna
Chot khana, magar is tarah ke lodhey uthey
Zulmat gham isi tarey se ujaahely rakhna
Apne ehbaab ko seeney se lagaye phira
Aik khanjar bhi jaib mein daaley rakhna
Meri pehchan mere peer-e-hin zakhm se hai
Ab bhi aezaaz sahi shaal do shaaley rakhna
Dasht ehsaas ki hiddat bhi kayamat hai nadeem
Kuch zaroori tou nahin paon mein chaaley rakhna_____!!
_____________________________
Wo Koi Aur Na Tha Chand Khushk Pattey They
Wo koi aur na tha chand Khushk patte the
Shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
Abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
Abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
Kali kali main Khizan k chirag jalate the
Tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
Shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
Pahar gunjte the dasht sansanate the
Wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
Jo zindagi se gurezan the roz marte the
Naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
Hamare dil main kabhi khet lahlahate the
Ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
Purane log naye admi se darte the
Nadeem jo bhi mulaqat thi adhuri thi
K ek chehre ke piche hazar chehre the____!!
_____________________________
Tujhe Izhaar E Mohabbat Say Agar Nafrat Thee
Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota____!!
Read More..
0 comments:
Post a Comment