Pages

Saturday, 8 February 2014

Allama Iqbal Shayari




















Touheed

Zinda Quwwat Thi Jahan Mein Yehi Touheed Kabhi
Aaj Kya Hai, Faqat Ek Masla-e-Ilm-e-Kalaam

Roshan Iss Zou Se Agar Zulmat-e-Kirdar Na Ho
Khud Musalman Se Hai Poshida Musalman Ka Maqam

Main Ne Ae Meer-e-Sipah! Teri Sipah Dekhi Hai
‘QUL HU WALLAH’ Ki Shamsheer Se Khali Hain Nayam

Aah, Iss Raaz Se Waqif Hai Na Mullah, Na Faqeeh
Wahdat Afkar Ki Be-Wahdat-e-Kirdar Hai Kham

Qoum Kya Cheez Hai, Qoumon Ki Imamat Kya Hai
Iss Ko Kya Samjhain Ye Bechare Do Rakat Ke Imam___!!

Zamana

Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana

Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana

Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko  Ibrat Ka Taziyana

Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana

Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana

Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana

Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana

Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana

Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana

Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana____!!

Read More..

0 comments:

Post a Comment