Ae Meri Zaat Phir Wida Kar
Mujhay Wida Kar,Ae Meri Zaat Phir Wida Kar
Woh Log Kaya Kahain Gay
Ay Meri Zaat
Log Jo Hazar Saal Say Meray Qalaam Ko Taras Gaye
Mujhay Wida Kar
Main Teray Sath Apnay Aap K Siyah Ghar Main
Bohat Panaah Ley Chuka
Main Apnay Hath Paon
Dil Ki Aag Main Tapa Chuka
Mujhay Wida Kar...!!
Mujhay Wida Kr
K Aab-O-Gil K Aansou'on Ki Bay-Sadaayi Sun Sakou'n
Mujhay Wida Kar...!!
Hayaat_O_Marg Ka Salaam_E_Rusatayi Sun Saku'n
Main Roz_O_Shab K Dast_O_Pa Ki Na_Rasaayi Sun Saku'n
Mujhay Wida Kar....!!
Mujhay Wida Kar K Bohat Hi Dair..
Dair Jesi...Dair Ho Chuki
K Ab Ghari Main Beesve'in Sadi Ki Raat Baj Chuki
Mujhay Wida Kar...!!
Shajar Hajar
Woh Janwar
Wo Taayiraan-E-Khastapar
Hazaar Saal Say Jo Haal Mein
Zameen Par
Makalmey Mein Jama Hain
Wo Kaya Kahein Gey
Main Khudaao'n Ki Tarah
Azal K BeWafaaon Ki Tarah
Phir Apney Ehad-E-Mansabi Say Phir Gaya Hun
Mujhay Wida Kar....!!
Mujhey Wida Kar
Ae Meri Zaat
Tou Apney Rozano'n K Paas Aa K Dekh Lay
K Zehan-E-Na Tamaam Ki Masaahato'n Mein Phir
Har Us Ki Khizaa'n K Barg-E-Khushk Youn Bikhar Gaye
K Jaisey Shehar_E_Hast Mein
Ye Neisti Ki Gard Ki Pukaar Hoon.....!!
Lahu K Daldalo'on Mein Haadiso'n K Zamhareer Utar Gaye
Tu Apney Rauzano'on K Paas Aa K Dekh Ley
K Mashraqi Ufaq Pay Aareefo'on K Khwaab-W-Qahwa Rang Mein
Umeed Ka Guzar Nahi
K Maghrabi Ufaq Pr
Marg_E_Noor Par Kisi Ki Aankh Tar Nahi...Mujhe Wida Kar.....!!
Magar Na Apney Zeeno'n Sey Utar
K Zeeney Jal Rahey Hain Be-Khushi Ki Aag Mein.. Mujhey Wida Kar...!!
Magar Na Saans Ley
K Shayaraan-E-Nau Teri Sada K Seham Sey Dubak Na Jaayein
K Tou Sada Rasaalato'n Ka Baar Un Pey Daalti Rahi
Ye Baar In Ka Haul Hai
Woh Dekh Roshni Ki Doosari Taraf
Khyaal
Kaagazo'n Ki Baaliyaa'n Baney Hue
Haroof Bhaagtey Hue
Tamaam Apney Aap Hi Ko Chaat'tey Hue
Jahaan Zamana Tez Tez Gaamzan
Wahin Zamana_Baaz Apney Kheil Mein Magan
Jahaan Pey Baam-O-Dar Lapak Rahey Hain Barisho'n Ki Simat
Aarzoo Ki Tishnagi Liye
Wahin Gumaa'n K Faasley Hain Raahzan,Mujhe Widar Kar........!!
K Shehar Ki Faseel K Tamaam Dar Hain Waa Abhi
Kahin Wo Log So na Jaayein Boriyo'n Mein Rait Ki Tarha
Mujhe Ae Meri Zaat
Apne Aap Say Nikal K Jaaney Dey
K Is Zabaan Bureeda Ki Pukaar,Is Ki Haa_Hoou,Gali Gali Sunaayi Dey .....!!
K Shehar-E-Nau K Log Jaantey Hain ( Kaasa-E-Gursangi Liye)
K Unk Aab_O_Naan Ki Jhalak Hun Main
K Un K Tashtah Baaghicho'on Mein
Apney Waqt K Dhulaaye Haath Say
Naye Darakht Ugaaoo'n Ga
Main Un K Seem-O-Zar Say
Un K Jism -O-Jaan Say
Koltaaar Ki Tahein Hataao'on Ga
Tamaam Sang Paaraah Haa_E_Baraf
Un K Astaa'n Sey Main Uthaaoo'n Ga
K Un K Shehar-E-Nau K Raastey Tamaam Band Hain....!!
Mujhey Wida Kar K Apney Aap Mein
Main Itney Khwaab Je Chuka,K Hosla Nahi
Mujhay Wida Kar,K Main Itni Baar Apnay Zakham Aap Si Chuka,K Hosla Nahi...
K Hosla Nahi...!!
Nice Ghazal Best Poems Very Sad Poetry I Like Please More
ReplyDelete