Pages

Friday, 24 January 2014

Ab Ay Meray Ehsaas E Junoon Kaya Mujhy Dena














Ab Ay Meray Ehsaas E Junoon Kaya Mujhy Dena

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey dena?--
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey dena--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey dena--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey dena

Tum mera badan odh kay phirtay raho-LEKIN
Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey dena

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey dena

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey dena

Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey dena

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey dena..!!


0 comments:

Post a Comment