Pages

Saturday, 25 January 2014

Bahnwar Nay Kaat Diye Silsilay Kinaaron K




















Bahnwar Nay Kaat Diye Silsilay Kinaaron K 
Khizaan Nay Rang Chura Hi Liye Baharon K___!!

Ajeeb Qehat Para Hai K Pait Bharnay Ko 
Mein Raz Beichta Phirta Hon Apnay Yaron K___!!

Friday, 24 January 2014

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan


Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!
Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….!

Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……!
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….!
Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phootti Hai………
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Say Hina Mangty Hein…
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti Hai…..
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein…..
Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga……..
Wusat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki Hai……..
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!!
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!!
Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay……..
Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye….
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay….
Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza….
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey….
Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar….
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey….
Teh Toh Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!!
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera……..
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar…..
Meri Khahish K Jazeeron Mein Tabasum Tera…..
Toh Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hue Raton Ko Sehar Kar Na Saki….
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Toh Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki….
Tujh Ko Ehsas He Kab Hai K Kisi Dard Ka Dagh…
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hai….???
Toh K Seemab Tabiyat Hai Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota Hai??????????
Tu nay Us Morr Pe Torra Hai Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan………
Ab Ye Aalam Hai K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan……
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab…….!!!
Tere Hijran Ka Dehakta Huwa Mehshar Janan
Youhn Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya Hai……..
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan………
Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan...!

Mosam E Qurb E Intzaar Bhi Jhoot














Mosam_E_Qurb_E_Intzaar Bhi Jhoot
DiL Na Maanay To Wasal_E_Yar Bhi Jhoot___!!

Ab Ay Meray Ehsaas E Junoon Kaya Mujhy Dena














Ab Ay Meray Ehsaas E Junoon Kaya Mujhy Dena

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey dena?--
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey dena--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey dena--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey dena

Tum mera badan odh kay phirtay raho-LEKIN
Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey dena

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey dena

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey dena

Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey dena

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey dena..!!


Shikasta Aienoo Ki Kirchiyan Achi Nahi Lagti




















Shikasta Aienoo Ki Kirchiyan Achi Nahi Lagti

Shikasta Aienoo Ki Kirchiyan Achi Nahi Lagti
Mujhay Wadoon Ki Khali Sipyan Achi Nahi Lagti

Guzishta Ruut Kay Rangoon Ka Asar Dekho Kay Ub Mujhe Ko
Khulay Angan Main Urrti Titliyan Achi Nahi Lagti

Woh Kiya Ujra Nagar Tha Jis Ki Chahat Kay Sabab Ub Tak
Hari Beloon Say Uljhi Tehniyan Achi Nahi Lagti

Dabay Paoon Hawa Jin Kay Chiraghoon Say Bhelti Ho
Mujhay Aisay Gharoon Ki Khirkiyan Achi Nahi Lagti

Bhalay Lagtay Hain Toufanoo Say Lartay Baadbaan Mujhe Ko
Hawa Kay Rukh Par Chalti Kashtiyan Achi Nahi Lagti

Yeh Khe Kar Ajj Uss Say Bhi Talouk Toor Aya Hoon
Meri Jaan Mujhay Ziddi Larkiyan Achi Nahi Lagti!

Tar Hue Khoon Mein Kabhi Khaak Pehan Kar Aye














Tar Hue Khoon Mein Kabhi Khaak Pehan Kar Aye

Tar Hue Khoon Mein Kabhi Khaak Pehan Kar Aye
Hum Humesha NAi Poshaak Pehan Kar Aye

ik ajab rang se nikla wo sar-e-raah k log
jism per deeda-e-be`baak pehan kr aaye

Hum Ne Sadiyon Ki Hatheli Par Rakhi Hain Aankhen
Koi Lamha Tera Idraak Pehan Kar Aye

Saaneha konsa guzra ha saba se pucho
chand jhonky khas-e-kha`shaak pehan kr aaye

ashk-e-shehar shab-e-gham apni dua ha k kabhi
misl-e-khursheed tu aflaak pehan kr aaye

zakham ko zid thi maseehai se ab k warna
harf-e-marham kai chalaak pehan kr aaye

Aaj Milna Tha Usey Zakham Chupaa Kar "Mohsin"
Hum MAger Jaama Sad Chaak Pehan Kar Aye!!!

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Uski

















Saltanat Dil Mein Hee Nahi Uski

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Uski
Aasmaan Tak Hai Sarzameen Uski

Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Uski

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Uski

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Us Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-nasheen Uski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Uski...!!

Lehraye Sada Aankh Main Pyare Tera Aanchal















Lehraye Sada Aankh Main Pyare

Tera Aanchal

Lehraye sada aankh mai pyare'
Tera Aanchal,
Jhoomar hai tera chand'
Sitare tera Aanchal,
Liptay kabi shano se'
Kabi zulf se uljhay,
Kyun dhoond'ta rehta hai sahare'
Tera Aanchal,
Mehaken teri khushbu se dehakti hui saansen,
Jab tez hawa khud se utaray'
Tera Aanchal,
Aanchal me rachay rang'
Nikharen teri zulfen,
Uljhi hui zulfon ko sanware'
Tera Aanchal,
Kajal tera beh beh k rulaye mujhe ab ß,
Reh reh k mujhe ab ß pukare'
Tera Aanchal....! !!

Tuesday, 21 January 2014

Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein



















Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein

( Muqalma Larka or Larki K Darmiyan Mohabbat Chal Rahi Hai Lekin Ik Aisa Mor Aaya
Jb Larki Larkay Se Kehti Hai )

Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein
Hamari Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?
Koi Aaira Gaira Aaye Ga Lay Janay Mujh Ko
Apne Hathon Say Doli Bithao Gay To Kesay ?

Tum To Iqraar-E-Mohabbat Bhi Khul K Na Ker Sakay
Apnay Ghar Walon Ko Mera Batao Gay To Kesay ?
Aaj Shadi Ki Baat Hui Hai Ghar Mein
Hamari Muhabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?

(Ab Kuch Din Guzartay Hen, Shadi Ka Waqt Tay Ho Chuka Hai, Sab Tayyariyan Ho Chuki Hain, Ab Larki Phir Larkay Say Mukhatib Ho K Kehti Hai)

Main Janti Thi Muqaddar Mein Nahi Mere Khushiyan
Ab Phoolon Ko Baalon Mein Sajaun Gi To Kesay ?
Teri Chahat Or Yaadon Say Bhara Hai Mera Dil
Naye Hamsafar Ko Dil Mein Basaaon Gi To Kesay ?

Palkon Ko Num Rehnay Ki Aadat Si Ho Gai Hai
Kajal Ko Aankhon Mein Lagaon Gi To Kesay ?
Aaj Shadi Ki Baat Hui Thi Ghar Mein
Hamari Mohabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?

(Larka Wohi Be_Bassi Ka Muzahira, Zindagi K Taanay Wegaira Day K Kehta Hai)

"Kuch Siskiyan Si Mann Mein Ubhar Rahi Hain
Pachtaway Ki Aag Ko Bujhaaon Ga To Kesay ?
Tumhari Shadi Pay Bulaya Hai Mujh Ko
Ye Galiyan Ye Chubaray Sajaaon Ga To Kesay ?

Ab Guzray Ga Din Raat Teri Yaad Mein
Apney Dil Say Yaadon Ko Mitaon Ga To Kesay ?
Na Kashti Doobi Na To Kinaray Lagay
Toofani Zindagi Se Lehrain Bechayein Gay To Kesay ?

Jo Ik Doosray K Bin Rehtay Thay Na Kabhi
Naqsh Yaadon K Dil Se Mitayein Gay To Kesay ?
Mohabbat Miti Hai Aur Mit'ti Rahay Gi
Kisi K Liye Jagah Dil Mein Banao Gay To Kesay ?

Aaj Shadi Ki Baat Hui To Us LARKI K Ghar Mein
Dono Hi Mohabbat Ko Chupao Gay To Kesay ?

Tu Mera Naam Na Poocha Ker


















Tu Mera Naam Na Poocha Ker
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon

Main Teri Soch Mein Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon

Main Tere Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon

Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar, Main Pas-Manzar Hoon

Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazbe Ka Koi Naam Nahin

Tu Mera Naam Na Poocha Ker........!!

Tere Khayl Mein Kuch Aise Gum Raha Barson


Tere Khayl Mein Kuch Aise Gum Raha Barson


Tere Khayl Mein Kuch Aise Gum Raha Barson...
Mein Apne Ap Se Bhe Mil Nahi Saka Barson...

Kahin Wo Zaiqa Tehleel He Na Ho Jay...
Mein Us Se Mil Ke Kisi Se Nahi Mila Barson..

Kaha Tha Tumne Ke Tum Lot Ao Gay Ek Din...
So Mein Jahan Tha Wahin Par Khara Raha Barson...

Tere Baghair Meri Umar Raigaan Guzri...
Koi Bhe Kam Nahi Theek Se Hua Barson...

Tumharay Hath Ki Dastak Ki Aas Mai "MOHSIN"

Mein Apne Ghar Se Kahin Bhe Nahi Gya Barson...!!




Mausam-e-Qurb-e-Intezaar Bhi Jhoot














Mausam-e-Qurb-e-Intezaar Bhi Jhoot
Dil Na Manay To Wasl-e-Yar Bhi Jhoot

Maut Teri Talab Bhi Lagzish-e-Lab
Zindagi Tera Aitebaar Bhi Jhoot

Wusat-e-Daastaan-e-Shauq Ghalat
Koshish-e-Hurf-e-Ikhtesaar Bhi Jhoot

Sirf Uska Safar Hi Sach 'Mohsin'
Meri Rah Bhi Mera Ghubaar Bhi Jhoot___!!!

Yeh Hajoom_E_Shehr_E_Sitam_Garaa'an


















Yeh Hajoom_E_Shehr_E_Sitam_Garaa'an
Na Sunay Ga Teri Sada Kabhi________!!


Meri Hasraton Ko Hukam Suna
Meri Khawahishon Say Khataab Kar____!!

Meray Sabar Par Koi Ajar Kyun




















Meray Sabar Par Koi Ajar Kyun
Meri Dopehar Pay Yeh Abar Kyun??
Mujhay Orhnay Day Azeeyatain 
Meri Aadatain Na Kharaab Kar___!!

Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi



















Abhi Muntashir Na Ho Ajnabi
Na Wisaal Rut K Karam Jata
Jo Teri Talash Mein Ghum Hue
Kabhi Un Dino Ka Hisaab Kar___!!