Pages

Sunday, 1 December 2013

Bashir Badar Poetry Book Aahat



Har Janam Main Usi Ki Chahat They Hum

"Har Janam Mein Usi Ki Chaahat They
Ham Kisi Aur Ki Amanat They"

"Uski Ankhon Main Jhalmalati Hui
Hum Gazal Ki Koi Alaamat They"

"Teri Chaadar Mein Tan Sameit Liya
Hum Kahan K Daraaz Qaamat They"

"Jaisey Jangal Mein Aag Lag Jaaye
Ham Kabhi Itney Khubsoorat They"

"Paas Reh Kr Bhi Door Door Rahay
Ham Naye Daur Ki Mohabbat They"

"Is Khushi Mein Mujhe Khyal Aaya
Gham K Din Kitne Khubsoorat They"

"Din Main In Jugnu Say Kya Laina
Yeh Diye Raat Ji Zarorat They"
________________________________

Gaon Mit Jayein Gay Shehat Jal Jayein Gay

"Gaon Mit Jayein Gay Shehr Jal Jayein Gay
Zindagi Tera Chehra Badal Jaye Ga"

"Hum Gareebon Ki Is Bheerr Main Tum Kahan
 Yeh Kalaf-Daar Kurta Masal Jaye Ga"

"Aag Par Raqs Karny Main Yakta Hai Tou
Baraf Par Paon Tera Phisal Jaye Ga"

"Main Isi Fikr Main Raat Bhar Soya Nahi
Chaand Taaron Ko Sooraj Nigal Jaye Ga"

"Ab Usi Din Likhu Ga Dukhon Ki Gazal
Jab Mera Hath Aahan Main Dhal Jaye Ga"

"Kuch Likh Marsiya,Masanvi Ya Gazal
Koi Kagaz Ho Paani Main Ghul Jaye Ga"

"Main Agar Muskura K Inhain Daikh Lu
Qatilon Ka Irada Badal Jaye Ga"
________________________________

TaalaabBe-Chamak Hain, Jahaan NacChliyan Na Hon

"TaalaabBe-Chamak Hain, Jahaan NacChliyan Na Hon
Akhbaar Be-Maza Hai Agar Surkhiyaan Na Hon"

"Maain Puchata Hun Meri Gali May Wo Aaye Kyon
Jis Daakiye K Paas Teri Chithiyaan Na Hon"

"Ham Ko Baday Khuloos Say Mar Jaana Chaahiye
Jab Zindagi May Thodi Bhi Dushwaariyaan Na Hon"

"Iss Aag Ko Khuda Meri Jhuggi Say Door Rakh
Jis Aag May Mehakti Hui Rotiyaan Na Hon"

"Aansuu Bohat Eham Hain In Aakhon K Waastay
Wo Aasamaan Nahi Hai, Jahaan Badliyaan Na Hon"

"Ladkay Hain Apnay Baap Ki Jaageer K Raqeeb
Wo Bhi Koii Ghar Hai Jahaan Ladkiyaan Na Hon"
________________________________

0 comments:

Post a Comment