Pages

Thursday, 18 September 2014

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay


Bain

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Dukh Deemak K Nazar Paar Utar Jaayein Gay
Zindagi Jeisay Ghata Toop Andhairay Main Basar Hoti Hia
Naaghaani Kisi Bhaphray Hue Wehshi Ki Tarha
Rooh Ki Dhool Urra Jaati Hai
Sukh Ki Be-Sood Tamanao Ki Paadaash Main Yaktarfa Saza
Aan Girti Hai Kisi Gareeb Say Naadeedgi Adal K Palrro Pay Safar Karti hui
So Rahay Hotay Hain Thak Haar K PuncChi Ghum K
Daar K Daar Urra Jaati Hai
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Khoon Main Utri Hui Moat Say Oojhal Hai
Shaakh Say Liptay Hue Saanp Ki Maanind Bohat Dheeray Say
Aashiyaanay Ki Taraf Barhti Hai
Jhir Jhiri Bhi Nahi Leinay Deiti
Bain Izzat He Sahi Maiyat Ki Magar Baad Baaton Say Kabhi
Saaibaan Jurrtay Nahi Tootay Hue
Aasman Zinda Nahi Ho Jaatay
Aasman Martay Hain Aur Waqt Bigarr Jata Hai
Aasmaan Martay Hain Aur Shehar Ujarr Jata Hai
Kon Si Subha Jagaayein Gay Sir Ehd O Wafa, Kon Si Raat Sula Rakhain Gay
Kab Talak, Aur Bhala Kis Kis Say Khafa Rakhain Gay
Koi Awaz Lotay Gi
Koi Mehroom Dilaasa Bhi Nahi Paltay Ga
Kab Talak DiL Ko Cchupa Rakhain Gay
Sog Ka Sog Mana Lainay Say Kaya Hota Hai____!!

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta


Ishq Ik Majnoon Boorha Devta

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Na Shanasayi Pay Heira'n
Be_Hasi Pay Sakht Naala'n Deharki
Hath Mein Ik Ley K Puriya Zehar Ki
Baal Bikhraye
Smeitay Dhajiya'n Malboos Ki
Paao'n Mein Pehnay Hue Zakhmo'n K Naa'lein_E_Kohan
Patharo'n Ko Khatkhtaata Phir Raha Hai
Daalta Phirta Hai Nazrein Qehar Ki....!!

Apnay Jhoolay Main Liye Kuch But Puraanay
Aur Kuch Guriya'n Beetay Zamany Ki
NaJaanay Kaya Burburata Phir Raha Hai
Be_Khabar Hai Apni Haalat Say
Khalqat Hans Rahi Hai Har Gali K Morr Par
Aur Sun Raha Hai Siskiya'n Bhi Fitrat_E_Nam'naak Ki
Pur_Peich Rasto'n Ki Lagaamein Thaam Kar
Kaainat_O_Tajard Ungliyo'n Say Baandh Kar Bhi
Dil Main Koi Gham Chupaye Phir Raha Hai
Waqt Ki Dharkan Pay Rakhta Apnay Qadmo'n K Nishan
Chakra Raha Hai.....!!
Hans Raha Hai Rotay Rotay
Ro Raha Hai Hanstay Hanstay
Patharo'n, Pathar_Garo'n K Darmiya'n
Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Hath Main Ley K Puriya Zehar Ki.....!!

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch


Mujhe Maloom Hai Sab Kuch

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,,
K Woh Harf-E-Wafa Say Ajnabi Hai,,
Woh Apni Zaat Say Hat Kr,,
Bohat Kam Sochti Hai,,
Woh Jab Bhi Aaiyna Dekhey,
To Bus Apney Hi Khad-O-Khaal K Taiwar Dekhti Hai....!!
 Usay Apney Badan K Zaaviye,
Qausein, Musalas,Mustateelein
Bazu'on Ki Dastaras Mein Raqs Krti Khwahisho'on Ki Sab Uranein
Qeemti Lagti Hein Seem-O-Zar K Posheeda Khazano'on Say
Zameeno'on, Aasmaano'on Mein Rawa'an Roshan Zamano'on Say
Woh Lamha Lamha Apney Hi Tarasheeda Kurron Mein  Ghoomti Hai,
Woh Baarish Mein Nahaayi Dhoop K Aangan Mein,
Nichurti, Naachti Boondo'on Ko Pe Kr Jhoomti Hai....!!
Usay Apney Siwa, Duniya Ki Her Soorat,
Her Ik Tasveer,Betarteeb Lagti Hai,
Mujhey Maloom Hai Sab Kuch,
K Woh Rango'on Bharey Manzar, Dhanak K Zaeqey,
Ujli Fiza Ki Khushbu'en,
Jhilmil Shua'yen,
Apne Honto K Halqo'on Mein Muqaiyyad Kr K Apni Muskurahat K,
Dareechey Kholti Hai,
K Woh Iqrar K Lamhon Mein Kam Kam Bolti Hai,
Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,
Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai
,K Is Maloom Ki Sarhad K Us Janib,
Fishaar-E-Aagahi Ka Aasman Hai,
Khud Faramoshi,Khamoshi Ki Zameen Hai,
Jahan Zahir Ki Aankhon Say Abhi Madoom Hai,
Mujhe Sab Maloom Hai,Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai...!!

Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Merey Humdum,MereY Dost

Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Merey Humdum Merey Dost
Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho K Terey Dil Ki Thakan..
Teri Ankhoon Ki Udasi,
TereY Seeney Ki Jalan..
Meri Dil_Jooi,Mere Pyar Say Mit JayE Gi..
Gar Mera Harf-E-Tasalli,Woh Dava Ho
,Jis Say Ji UThey Phir Say Tera Ujrra Hua Be_Noor Dmag...
Teri PaishanI Say Dhul Jayein Yeh Tazleel Ka Daagh...!!
Teri Bemar Javani Ko Shifa Ho Jaye..
Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Mere Humdum Merey Dost...!!
Roz-O-Shab,Shaam-O-Sehar Main Tujhey Bhelata Rahun...
Main Tujhey Geet Sunata Rahun..Halkey Sheereen
Absharoon K,Baharoon K,
Chaman_Zaaroon K Geet..Aamad-E-Subh K,Mehtaab K,
 Sayaroon K Geet Tujh Say Main Husn-O-Mohabbat Ki Hikayaat Kahun...!!
Jesay Maghroor Haseenaoon K Barfaab Say Jism.
.Garm Hathoon Ki Hararat Say Pighal Jatey Hain...
Jesay Ik Chehrey K Thehray Hue Maanoos Naqoosh Dekhtey Dekhtey He Badal Jatey Hain..
Kis Tarah Aariz-E-Mehboob Ka Shafaf Baloor...Y
akbayak Baada-E-Ahmer Say Dekhak Jata Hai..
Kesay Gulcheen K Liye Jhukti Hai Khud Jhukti Hai ShaaKh-E-Gulaab..
Jis Tarah Raat Ka Aiwaan Mehak Jata Hai....!!!
Youn Hi Gata Rahun,Gata Rahun,
Teri Khatir Geet Bunta Rahun,Baitha Rahun, Teri Khatir..
Par Merey Geet Terey Dukh Ka Madava He Nahi..
Naghma Jaraah Nahi,Moonis-O-Gum_Khuwar Sahi...
Geet Nashtar To Nahi,Marham-E-Azar Sahi...!!
Teray Azar Ka Charaa Nahi...
Nashtar K Siva Aur Ik Safaaak Maseeha..
Merey Qabzey Main He Nahi...
Is Jahan K Kisi Zee_Rooh K Qabzey Main Nahi...
Haan Magar Terey Siva,Teray Siva, Terey Siva.......!!

Yeh Waqt Kaya Hai


Yeh Waqt Kaya Hai

Yeh Waqt Kaya Hai? Yeh Kaya Hai Aakhir K Jo
Musalsal Guzar Raha Hai....
Yeh Jab Na Guzara Tha,Tab Kahan Tha?Kaheen To Hoga...
Guzar Gaya Hai To Ab Kahan Hai? Kaheen To Hoga...
Kahan Say Aaya Kidhar Gaya Hai...
Yeh Kab Say Kab Tak Ka Silsila Hai?
Yeh Waqt Kaya Hai?
Yeh Wakeye,Haaadsay, Tasaadum,Har Ek Gam Aur Her Ek Muasarat,
Her Ik Aziyat,Har Ek Lazat,Har Ik Tabassum,Har Ek Aansu,
Har Ek Nagma Har,Ek Khushbu,Woh Zakhm Ka Dard Ho
K Lams Ka Jaadu,Khud Apni Aawaz Ho K Mahool Ki Sadaayen,Yeh Jahan Main Banti Aur
Bigarti Hui Fizayein, Wo Fikr Main Aaye Zalzalay Hon,
K Dil Ki Halchal,Tamaam Ehesaas,Sarey Jazbey,Jaisey Patte Hain
Behtey Paani Ki Satah Par,Jaisey Tairtey Hain Abhi Yahan Hain, Abhi Wahan Hain
Aur Ab Hain Ojhal Dikhai Detey Nahi Hain Lekin Ye Kuch To Hain
Jo K Beh Rahay Hain,Ye Kaisay Dariya Hain
Kin Pahaaron Say Aa Rahay Hain,Ye Kis Sumandar Ko Ja Raha Hain
Yeh wWqt Kaya Hain?
Kabhi Kabhi Main Ye Sochta Hon,K Chalti Gaari Say Pair Dekhun To Esa Lagta Hai
Doosri Simat Ja Rahey Hain,Magar Haqiqat Main,Pair Apni Jagah Kharay Hain
To Kya Yeh Mumkin Hai Saari Sadiyan
Qataar Andar Qataar Apni Jagah Khari Hon,Yeh Waqt Saakit Ho
Aur Hum Hi Guzar Rahey Hon??
Is Ek Lamhay Main Saray Lamhey
Tamam Sadiyan Chhupi Hui Hon?
Na Koi Aainda,Na Guzashta,
Jo Ho Chukay Hain,Woh Ho Rahay Hain
Jo Honay Walay Hain Ho Rahay Hain? Main Sochta Hon
K Kaya Ye Mumkin Hain? Such Ye Ho
K Safar Mein Hum Hain,Guzaratey Hum Hain, Jisey Samajtey Hain Hum Guzartay Hain Woh Thamay Hain?Guzaratay Hain Ya Thamay Hue Hain
Ikathey Hain Ya Batay Hue Hain?
Hai Munjamind,Ya Pighal Rahay Hain
Kise Khabar Hai,Kisay Pata Hai Ye Waqt Kaya Hai..!!
Ye Kainaat_E_Azeem Lagta Hai Apni Azmat Say Aaj Bhi Mutmain Nahi Hai
K Lamha Lamha Wasee'Tar Say WaseeTar Hoti Ja Rahi Hai,Yeh Apni Bahein Pasaarti Hai
Ye Kehkashaao'on Ki
Ungliyon Say
Nayi Khalao'on Ko
Chhu Rahi Hai,Agar Ye Such Hai To Har Tasawar Ki
Had Say Baahar Magar Kahen Par Yakenan Esa Koi Khala Hai
K Jis Ko In Kehkashaao'on Ki
UIngliyo'on Nay
Ab Tak Chuva Nahi Hai,Khala Jahan Kuch Hua Nahi Hai,Khala K Jis Nay Kisi Say Bhi
'Kun' Nahi Suna Hai,Jahan Abhi Tak Khuda Nahi Hai,Wahan Koi Waqt Bhi Na Ho
Ga..Ye Kainaat_E_Azem Ek Din Chuvey Gi Us Un Chhuvey Khala Ko
Aur Apney Saarey Wajood Say
Jab Pukarey Gi 'Kun
'To Waqt Ko Bhi Janam Miley Ga,Agar Janam Hai To Mot Bhi Hai,
Main Sochta Hon,Ye Such Nahi Hai K Waqt Ki Koi Ibtida Hai Na Intiha Hai,
Ye Dor Lambhi  Bohat Hai Lekin Kaheen To Is Dor Ka Sira Hai?
Abhi Ye Insan Ulajh Raha Hai K Waqt K Is Kafs Main Paida Hua
Yahen Pala Yahen Barha Hai
Magar Usay Elam Ho Gaya Hai
K Waqt K Is Kafs K Bahar Bhi
Ik Fiza Hai,
To Sochta Hai,Puchta Hai
Yeh Waqt Kaya Hai?

Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray


Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray

Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray
Hum To Barish Say Bhi Dar Jatay Hain
Aur Dhoop Say Bhi
Apnay Qadmo'n Say Mitayein Jo Lahu K Dhabay
Raastay Gusay Main A Jatay Hain....!!
Hum Musafir Hain
Karaaiyo'n Ko Tarsatay Hue Kheimo'n Mein Ghiray
Ghar Say Ghabraye Hue Youn He Hua Kartay Hain
Ajnabi Shero'n K Waahemo'n Main Paray
Khof Aur Adam Tahafaz Say Churatay Hain Nigahein....!!
To Kaheen Aur He Ja Partay Hain.....!!
Kab Talak Kon Humain Rakhay Ga Mehman Mohabbat K Siwa
Aur Kisi Roz Humain Yeh Bhi Kahay Gi Khuda He Hafiz...!!
Hum Jo Logo'n Say Jhijaktay Hain To Majburi Hai
Hum Jo Rasto'n Main Bhataktay Hain To Mehsuri Hai
Hum Musafir Hain Meri Jan Musafir Teray
Hum Agar Tujh Say Bichartay Hain To Mehjuri Hai.......!!

Wednesday, 17 September 2014

Is Kainat Rang Mein















Ankhon K Paar Chand

Is Kainat Rang Mein
Duniya_E_Sang Mein
Hum Qaid To Nahi Thay
Magar Is Ke Ba_Wajood
Aazadiyon Ne Lutf_E_Rihai Nahi Diya
Chaha Bohat Ke Apne Hi Andar
Kabhi Kahin Utrein
Utar Ke Khud Ko Talashein Kuch Is Tarah
Haathon Mein Apna Khoj Ho
Dil Mein Visal Aag
Pairon Mein Aaghi Ki Bulandi Ke Raste
Lekin Badan Se Rooh Ki In Manzilon Ke Beech
Wo Raat Thi Ke Kuch Bhi Sujhai Nahi Diya
Koi Wajood Tha Ke, Jo Tari Tha Zaat Par
Aankhon Ke Paar, Chaand Dikhai Nahi Diya.........!!

Aa Aur Mere Wajood Mein Utar



















"Ay Raat"

Aaa Aur Mere Wajood Mein Utar Ay Raat
Aa Aur Mere Galey Lag Jaa
Aa Mein Tumhari Ankhein
Tumharey Hont
Tumharey Rukhsaar
Aur Tumhari Peshani Chomu'on
Tumhari Thori Pe Bosa Du'n
Tumhein Kajal Lagaon
Tumharey Baal Sanwaru'on
Aur Tumhari Mang Mein Sitarey Bhar Dun
Aur Tumharey Shaney Pe Sar Rakh K
Bichrhe Hue Logon Ko
Aur Bheetey Hue Lamhon Ko Yaad Karon
Aur Toot Ke Charon Taraf
Bikhrey Hue Ayeinon Ki Kirchian Chun Chun Kar
Inhein Apney Zakhmi Pourain Dikhaon
Ay Raat.......
Aa ......Aa Aur Meri Hatheli Pe Ahista Ahista
Apna Tamaam Roop Phela Dey
Ay Raat..........!!

Tuesday, 16 September 2014

Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai


Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai

Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai
To Apnay Lehjay Main
Kachi Kaliyon Ki Nikhatein
Adh_Khilay Gulab'on Ka Ras,
Khunak Rut Main Shehad Ki Moj Gholti Hai...!!!

Woh Zer-E-Lab Muskara Rahi Ho
To Aisay Lagta HaiJaisay Sham-O-Sehar Galay Mil K An_Suni Lay Main Gungunayein,,!!

Saba Ki Zulfein Khilein
Sitaro'on K Taar Sanson Main Jhunjhunein...!!


Woh Abrou'on Ki Kamaan K Saaye Main Chahaton Say Atti Dhoop Rahato'on Main Khilli Hui Chandni K Mosam Nikhaarti Hai...!! 

Woh Dil Main Khwahish Ki Lehar Leti Ziddein
Khayalon Ki Kirchiyan Tak Utaarti Hai
Hawa Ki Aawargi K Humrah 
Apni Zulfein Sanwaarti Hai....!!

Kabhi Woh Apnay Badan Pay Ujli Ruto'on Ka Resham Pehan K Niklay
To Kitnay Rango'on K Daaiyray 
Silvato'on Ki Soorat Main Toot'tay Hain...!!

Woh Lab Hilaaye To Phool Jhartay Hain
Us Ki Batein Kunj-E-Dayar-E-Yaaqoot Say Shuaao'on K An_Ginat Taar Phhoot'tay Hain.....!

Woh Sar Say Paaoon Talak Dhanak, Dhoop, Chandni Hai
Dhulay Dhulay Mssamo'on Ki Be_Sakhta Ghazal Bakht Shaiyre Hai!!(Meray Hunar K Sabhi Asaaso'on Say Qeemti Hai)

Woh Mujh Main Ghul Mil Gayi Hai Lekin 
Abhi Talak Mujh Say Ajnabi Hai 
Kisi Adhoori Ghari Main Jab Jab 
Woh Be_Iradah Mohabbaton K Chupay Chupay Bheid Kholti Hai
To Dil Yeh Kehta Hai Jis Ki Khatir Woh Apni "Sansein"Wafa Ki Sooli Pay Tolti Hai
Woh Aasma'an Zaad
Kehkashan Bakht----(Kuch Bhi Keh Lo----!)
Jo Uski Chahat Ka "Aasra" Hai
Woh "Main" Nahin Hoon...!! 

Koi To Hai Jo Meray Siwa Hai
Woh Shehar Bhar K Tamam "Chehro'on" Say Hatt K
Ik "Aur Meharbaan" Hai
Jo Uski Khwahish Ka "Aasmaan" Hai
(Kisay Khabar Kaun Hai, Kahan Hai?)

Magar Mujhay Kaya?
K Main Zameen Hoon..!!
Woh Jis Ki Chahat Main Apni Sansein Lutta Rahi Hai
Woh "Main" Nahin Hoon........Woh Aankhon Aankhon Main Bolti Hai.....!!

Hawa Kyun Bhool Jati Hai


Hawa Kyun Bhool Jati Hai

Hawa Kyun Bhool Jati Hai?
K Apnay Rat-Jagay,Taira Asaasa,Hamaari Jaagti Raaton Ki Saari Kirchiyaan..
Ankhon Main Chubhti Hain,To Kaya Kuch Yaad aata Hai....?


Safar, Awaargi, Hijr-O-Wisaal-E-Dil-figaaraa'n,Mehfil-e-Laala-Rukhaa'n,
Aks-e-Hajoom Gul-Azaaraa'n,Nighat-E-Fasl-E-Bahaaraa'n,
Maatam-E-Yaaraa'n,Hawa___ Andhii Hawa___!!

Jab Bhi Thakay Haaray Parindon'n Ki Tarah,
Khud Toot Kr Bikhray Huye Pattay

Zameen Ki Khak Say Chunti Hai,
Bhatkay Rah-Rawo'n K Naqsh-E-Paa,
Rasto'n Ki Pathreeli Hathaili Say Uthaati Hai,
Kisi Ujrray Khandar Ki Khamoshi Jab Sansanaati Hai,
Hawa, Kyun Bhool Jati Hai??

 K Hum Apnay Kawaardo'n Ko Teri Dastak Say Pehlay,
Apnay Boseeda Gareebaano'n Ki Soorat Khol Detey Hain,
Teri Kahtir Hum Ankhon Main,Sitaaray Ghol Daitay Hain...

Kay Hum Tairay Siwa Apnay Bhi "Kuch" Lagtay To Hain Aakhir,
Hawa, Tujhsay Jo Mumkin Ho..!!To Sadiyon Ki Thakan Ashko''n Say Dhonay Day,Hamain Khul K Ronay Day!
Dil_E-Be-Mehar Ko Chubhtay Huye Khuwaabo'n K Pas-E-Manzar Main Khonay Day!!
Hawa!! Pal Bhar Ko Sonay Day..!!