Pages

Thursday 18 September 2014

Yeh Waqt Kaya Hai


Yeh Waqt Kaya Hai

Yeh Waqt Kaya Hai? Yeh Kaya Hai Aakhir K Jo
Musalsal Guzar Raha Hai....
Yeh Jab Na Guzara Tha,Tab Kahan Tha?Kaheen To Hoga...
Guzar Gaya Hai To Ab Kahan Hai? Kaheen To Hoga...
Kahan Say Aaya Kidhar Gaya Hai...
Yeh Kab Say Kab Tak Ka Silsila Hai?
Yeh Waqt Kaya Hai?
Yeh Wakeye,Haaadsay, Tasaadum,Har Ek Gam Aur Her Ek Muasarat,
Her Ik Aziyat,Har Ek Lazat,Har Ik Tabassum,Har Ek Aansu,
Har Ek Nagma Har,Ek Khushbu,Woh Zakhm Ka Dard Ho
K Lams Ka Jaadu,Khud Apni Aawaz Ho K Mahool Ki Sadaayen,Yeh Jahan Main Banti Aur
Bigarti Hui Fizayein, Wo Fikr Main Aaye Zalzalay Hon,
K Dil Ki Halchal,Tamaam Ehesaas,Sarey Jazbey,Jaisey Patte Hain
Behtey Paani Ki Satah Par,Jaisey Tairtey Hain Abhi Yahan Hain, Abhi Wahan Hain
Aur Ab Hain Ojhal Dikhai Detey Nahi Hain Lekin Ye Kuch To Hain
Jo K Beh Rahay Hain,Ye Kaisay Dariya Hain
Kin Pahaaron Say Aa Rahay Hain,Ye Kis Sumandar Ko Ja Raha Hain
Yeh wWqt Kaya Hain?
Kabhi Kabhi Main Ye Sochta Hon,K Chalti Gaari Say Pair Dekhun To Esa Lagta Hai
Doosri Simat Ja Rahey Hain,Magar Haqiqat Main,Pair Apni Jagah Kharay Hain
To Kya Yeh Mumkin Hai Saari Sadiyan
Qataar Andar Qataar Apni Jagah Khari Hon,Yeh Waqt Saakit Ho
Aur Hum Hi Guzar Rahey Hon??
Is Ek Lamhay Main Saray Lamhey
Tamam Sadiyan Chhupi Hui Hon?
Na Koi Aainda,Na Guzashta,
Jo Ho Chukay Hain,Woh Ho Rahay Hain
Jo Honay Walay Hain Ho Rahay Hain? Main Sochta Hon
K Kaya Ye Mumkin Hain? Such Ye Ho
K Safar Mein Hum Hain,Guzaratey Hum Hain, Jisey Samajtey Hain Hum Guzartay Hain Woh Thamay Hain?Guzaratay Hain Ya Thamay Hue Hain
Ikathey Hain Ya Batay Hue Hain?
Hai Munjamind,Ya Pighal Rahay Hain
Kise Khabar Hai,Kisay Pata Hai Ye Waqt Kaya Hai..!!
Ye Kainaat_E_Azeem Lagta Hai Apni Azmat Say Aaj Bhi Mutmain Nahi Hai
K Lamha Lamha Wasee'Tar Say WaseeTar Hoti Ja Rahi Hai,Yeh Apni Bahein Pasaarti Hai
Ye Kehkashaao'on Ki
Ungliyon Say
Nayi Khalao'on Ko
Chhu Rahi Hai,Agar Ye Such Hai To Har Tasawar Ki
Had Say Baahar Magar Kahen Par Yakenan Esa Koi Khala Hai
K Jis Ko In Kehkashaao'on Ki
UIngliyo'on Nay
Ab Tak Chuva Nahi Hai,Khala Jahan Kuch Hua Nahi Hai,Khala K Jis Nay Kisi Say Bhi
'Kun' Nahi Suna Hai,Jahan Abhi Tak Khuda Nahi Hai,Wahan Koi Waqt Bhi Na Ho
Ga..Ye Kainaat_E_Azem Ek Din Chuvey Gi Us Un Chhuvey Khala Ko
Aur Apney Saarey Wajood Say
Jab Pukarey Gi 'Kun
'To Waqt Ko Bhi Janam Miley Ga,Agar Janam Hai To Mot Bhi Hai,
Main Sochta Hon,Ye Such Nahi Hai K Waqt Ki Koi Ibtida Hai Na Intiha Hai,
Ye Dor Lambhi  Bohat Hai Lekin Kaheen To Is Dor Ka Sira Hai?
Abhi Ye Insan Ulajh Raha Hai K Waqt K Is Kafs Main Paida Hua
Yahen Pala Yahen Barha Hai
Magar Usay Elam Ho Gaya Hai
K Waqt K Is Kafs K Bahar Bhi
Ik Fiza Hai,
To Sochta Hai,Puchta Hai
Yeh Waqt Kaya Hai?

0 comments:

Post a Comment