Pages - Menu

Pages

Pages

Saturday, 8 February 2014

Shikwa Jawab E Shikwa By Allama Iqbal



















Shikwa

Kyun Ziyaan Kaar Banun, Sood Framosh Rahun
Fikr-e-Farda Na Karum, Mahw-e-Ghum-e-Dosh Rahun

Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh Rahun
Humnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun

Jurrat Aamoz Miri Taab-e-Sakhun Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko

Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mashoor Hain Hum
Qissa-e-Dard Sunate Hain Ke Majboor Hain Hum

Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain Hum
Nala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum

Ae Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa Bhi Sun Le
Khugar-e-Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le

Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadim
Phool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Preshan Thi Shamim

Shart Insaaf Hai, Ae Sahib-e-Altaf-e-Amim
Boo-e-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Nasim

Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi

Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar
Kahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar

Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos Thi Insaan Ki Nazar
Manta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyunkar

Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera?
Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera

Bas Rahe The Yahin Saljuq Bhi, Toorani Bhi
Ahl-e-Chin Cheen Mein, Iran Mein Sasaani Bhi

Issi Maamoore Mein Aabad The Yoonani Bhi
Issi Dunya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi

Par Tere Naam Pe Talwar Uthai Kis Ne
Baat Jo Bigri Huwi Thi, Woh Banaai Kis Ne

The Hameen Ek Tire Maarka Aaraaon Mein!
Khushkion Mein Kabhi Larte, Kabhi Dariyaon Mein,

Deen Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon Mein
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehraaon Mein.

Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daron Ki
Kalima Parhte The Hum Chaon Mein Talwaron Ki

Hum Jo Jeete The To Jnagon Ki Musibat Ke Liye
Aur Merte The Tere Naam Ki Azmat Ke Liye

Thi Na Kuch Taeg-Zani Apni Hukumat Ke Liye
Sar-Bakaf Phirte The Kya Dehar Mein Doulat Ke Liye

Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,
But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?

Tal Na Sakte The Agar Jang Mein Arh Jate The
Paon Sheron Ke Bhi Maidan Se Ukhar Jate The

Tujh Se Sarkash Huwa Koi To Bighar Jate The
Taeg Kya Cheez Hai, Hum Toup Se Larh Jate The

Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum Ne
Zer-e-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne

Tu Hi Keh De Ke Ukhara Dar-e-Khyber Kis Ne
Sheher Qaiser Ka Jo Tha, Us Ko Kiya Sar Kis Ne

Tore Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis Ne
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke Lashkar Kis Ne

Kis Ne Thanda Kiya Atishkuda-e-Iran Ko?
Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-Yazdaan Ko?

Kon Si Qoum Faqat Teri Talabgar Huwi
Aur Tere Liye Zehmat Kash-e-Paikaar Huwi

Kis Ki Shamsheer Jahangeer, Jahandar Huwi
Kis Ki Takbeer Se Dunya Teri Baidar Huwi

Kis Ki Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte The
Munh Ke Bal Gir Ke 'HU WA-ALLAH HU AHAD' Kehte The

Aa Gaya Ain Laraai Mein Agar Waqt-e-Namaz
Qibla Ru Ho Ke Zameen Bos Huwi Qoum-e-Hijaz

Ek Hi Saf Mein Khare Ho Gaye Mahmood-o-Ayaz,
No Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaz.

Banda-o-Sahib-o-Mauhtaaj-o-Ghani Aik Huwe
Teri Sarkar Mein Pohanche To Sabhi Aik Huwe

Mehfil-e-Kon-o-Makan Mein Sehar-o-Sham Phire
Mai-e-Tauheed Ko Lekar Sifat-e-Jam Phire

Koh Mein, Dasht Mein Le Kar Tera Pegham Phire
Aur Maaloom Hai Tujh Ko, Kabhi Nakaam Phire !

Dasht To Dasht Hain, Darya Bhi Na Chhore Hum Ne
Bahr-e-Zulmaat Mein Daura Diye Ghore Hum Ne

Safah-e-Dahar Se Baatil Ko Mitaya Hum Ne
Nau-e-Insaan Ko Ghulami Se Chhuraya Hum Ne

Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hum Ne
Tere Quran Ko Seenon Se Lagaya Hum Ne

Phir Bhi Hum Se Yeh Gila Hai Ke Wafadar Nahin
Hum Wafadar Nahin, Tu Bhi To Dildar Nahin!

Ummatain Aur Bhi Hain, In Mein Gunahgar Bhi Hain
Ejz Wale Bhi Hain, Mast-e-Mai-e-Pindar Bhi Hain

In Mein Kahil Bhi Hain, Ghafil Bhi Hain, Hushyar Bhi Hain
Saikron Hain Ke Tere Naam Se Baizar Bhi Hain

Rehmatain Hain Teri Aghiyar Ke Kashaanon Par
Barq Girti Hai To Bechare Musalmanon Par

Boott Sanam Khanon Mein Kehte Hain, Musalman Gye
Hai Khushi In Ko Ke Kaabe Ke Nigehban Gye

Manzil-e-dehr Se Unthon Ke Hudi Khawan Gye
Apni Baghlon Mein Dabaye Huwe Quran Gye

Khandah Zan Kufr Hai, Ehsas Tujhe Hai Ke Nahin
Apni Touheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ke Nahin

Ye Shikayatt Nahin, Hain Un Ke Khazane Maamur
Nahin Mehfil Mein Jinhain Baat Bhi Karne Ka Shaur

Qehar To Ye Hai Ke Kafir Ko Milain Hoor-o-Qasoor
Aur Bechare Musalman Ko Faqat Wada-e-Hoor

Ab Woh Altaf Nahin, Hum Pe Anayat Nahin
Baat Ye Kya Hai Ke Pehli Si Madarat Nahin

Kyun Musalmanon Mein Hai Doulat-e-Dunya Nayaab
Teri Qudrat To Hai Woh Jis Ki Na Had Hai Na Hisab

Tu Jo Chahe To Uthe Seena-e-Sehra Se Habab
Rahroo-e-Dasht Ho Seeli Zada Mouj-e-Saraab

Taan-e-Aghiyaar Hai, Ruswai Hai, Nadaari Hai,
Kya Tere Nam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai?

Bani Aghyar Ki Ab Chahne Wali Dunya
Reh Gyi Apne Liye Aik Khiyali Dunya

Hum To Rukhsat Huwe, Auron Ne Sanbhali Dunya
Phir Na Kehna Huwi Touheed Se Khali Dunya

Hum Tau Jeete Hain Ke Duniya Mein Tira Naam Rahe,
Kahin Mumkin Hai Saqi Na Rahe, Jaam Rahe?

Teri Mehfil Bhi Gai, Chahne Walw Bhi Gaye,
Shab Ki Aahen Bhi Gaien, Subah Ke Nale Bhi Gaye,

Dil Tujhe Debhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye,
Aa Ke Baithe Bhi Na The, Ke Nikaale Bhi Gaye.

Aae Ushaaq, Gaye Waada-e-Farda Lekar,
Ab Unhen Dhoond Charag-e-Rukh-e-Zeba Lekar!

Dard-e-Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pahlu Bhi Wohi,
Nejd Ke Dasht-o-Jabal Mein Ram-e-Aahoo Bhi Wohi,

Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadoo Bhi Wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi,

Phir Yeh Aazurdagi-e-Ghair-Sabab Kya Maani,
Apne Shaidaaon Pe Yeh Chashm-e-Ghazab Kya Maani?

Tujh Ko Chora Ke Rasool-e-Arabi (S.A.W.) Ko Chora?
Boutgari Paisha Kiya, Bout Shikani Ko Chora?

Ishq Ko, Ishq Ki Ashuftah-Sari Ko Chora?
Rasm-e-Salman (R.A.)-o-Awais-e-Qarani (R.A.) Ko Chora?

Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte Hain
Zindagi Misl-e-Bilal-e-Habshi (R.A.) Rakhte Hain

Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahi,
Jaada Paimaai Taslim-o-Raza Bhi Na Sahi,

Muztarib Dil Sifat-e-Qibla Nama Bhi Na Sahi
Aur Pabandi-e-Aaeen-e-Wafa Bhi Na Sahi

Kabhi Hum Se, Kabhi Ghairon Se Shanasaai Hai
Baat Kehne Ki Nahin, Tu Bhi To Harjaai Hai

Sar-e-Faran Pe Kiya Deen Ko Kamil Tu Ne
Ek Ishare Mein Hazaron Ke Liye Dil Tu Ne

Atish Andoz Kiya Ishq Ka Hasil Tu Ne
Phoonk Di Garmi-e-Rukhsar Se Mehfil Tu Ne

Aaj Kyun Seene Humare Sharar Abad Nahin
Hum Wohi Sokhta Saman Hain, Tuhe Yaad Nahin?

Wadi-e-Najd Mein Woh Shor-e-Silasil Na Raha
Qais Diwana-e-Nazara Mehmil Na Raha

Hosle Woh Na Rahe, Hum Na Rahe, Dil Na Raha
Ghar Ye Ujhra Hai Ke Tu Ronaq-e-Mehfil Na Raha

Ae Khush Aan Roz Ke Ayi-o-Bsad Naz Ayi
Be-Hijabana Soo'ay Mehfil-e-Ma Baaz Ayi

Badahkash Gair Hain Gulshan Mein Lab-e-Joo Baithe
Sunte Hain Jaam Bakaf Naghma-e-Kuku Baithe

Door Hungama-e-Gulzar Se Yak Soo Baithe
Tere Diwane Bhi Hain Muntazir 'Hoo' Baithe

Apne Parwanon Ko Phir Zauq-e-Khud Afrozi De
Barq-e-Dairina Ko Farman-e-Jigar Sozi De

Qoum-e-Awara Anaa Taab Hai Phir Soo'ay Hijaz
Le Ura Bulbul-e-Be Par Ko Mazak-e-Parwaz

Muztarib Bagh Ke Har Ghunche Mein Hai Boo'ay Niaz
Tu Zara Chair To De, Tashna-e-Mizrab Hai Saaz

Naghme Betaab Hain Taron Se Niklne Ke Liye
Toor Muztar Hai Ussi Aag Mein Jalne Ke Liye

Mushkalain Ummat-e-Marhoom Ki Asan Kar De
Moor-e-Bemaya Ko Humdosh-e-Suleman Kar De

Jins-e-Nayaab-e-Mohabbat Ko Phir Arzaan Kar De
Hind Ke Dair Nasheenon Ko Musalman Kar De

Joo'ay Khoon Mee Chakad Az Hasrat-e-Dairina-e-Maa
Mee Tapd Nala Ba Nashtar Kadah-e-Seena-e-Maa

Boo-e-Gul Le Gyi Bairun-e-Chaman Raaz-e-Chaman
Kya Qayamat Hai Ke Khud Phool Hain Ghammaz-e-Chaman !

Ahd-e-Gul Khatam Hua, Tut Gaya Saaz-e-Chaman
Ur Gaye Dalion Se Zamzama Pardaaz-e-Chaman

Ek Bulbul Hai Ke Hai Mahw-e-Tarannum Ab Tak
Us Ke Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatam Ab Tak

Qumrian Shaakh-e-Sanober Se Gurezaan Bhi Huin,
Pattian Phool Ki Jhar Jhar Ke Pareshan Bhi Huin;

Who Purani Ravishen Bagh Ki Weeran Bhi Huin,
Daalian Parahan-e-Barg Se Uriaan Bhi Huin.

Qaid-e-Mausim Se Tabiat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Faryaad Uski.

Lutf Merne Main Hai Baqi, Na Maza Jeene Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon-e-Jigar Peene Mein

Kitne Betaab Hain Jouhar Mere Aaeene Mein
Kis Qadar Jalwe Tarapte Hain Mere Seene Mein

Iss Gulistan Mein Magar Dekhne Wale Hi Nahin
Dagh Jo Seene Mein Rakhte Hun, Woh Lale Hi Nahin

Chaak Iss Bulbul-e-Tanha Ki Nawa Se Dil Hon
Jaagne Wale Issi Bang-e-Dara Se Dil Hon

Yani Phir Zinda Naye Ehd-e-Wafa Se Dil Hon
Phir Issi Bada-e-Deerina Ke Pyaase Dil Hon

Ajami Khum Hai To Kya, Mai To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kya, Lai To Hijazi Hai Meri____!!

Jawab_E_Shikwa

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai
Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai

Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai

Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera
Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera

Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!
Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!

Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!
Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!

Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha

Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya!
Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!

Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?
Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?

Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain
Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain!

Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?

Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam Hai
Haan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai

Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!

Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera
Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera

Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera

Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne
Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne

Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin
Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin

Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin

Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain
Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!

Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain

But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain

Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye

Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!

Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha

Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo
Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!

Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai

Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?

Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin
Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin

Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho
Nahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho

Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho

Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke
Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke

Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?
Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?

Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne?
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?

The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?
Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!

Kya Kaha? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor
Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor!

Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor
Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor

Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin
Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin

Manfa’at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik
Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik

Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!

Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?

Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)?
Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?

Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha’ar-e-Aghyar
Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?

Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin
Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin

Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb
Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb

Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb
Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb

Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se
Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se

Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi
Barq Taba’ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi

Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe
Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe

Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara’at Se Pak

Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak
Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak

Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood
Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood

Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha
Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha

Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha
Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha

Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!

Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,
Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?

Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai
Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?

Woh Zamane Mein Mu’azzaz The Musalman Ho Kar
Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar

Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem
Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem

Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,
Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!

Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi
Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?

Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar
Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar

Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar
Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar

Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki
Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki

Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe
But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe

Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe
Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe

In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya
La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya

Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe
Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!

Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!

Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho
Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!

Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai
Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai

Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai
Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai

Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida

Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali
Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali

Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali
Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali

Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai
Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai

Ummatain  Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain
Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain

Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain
Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain

Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka
Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka

Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera
Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera

Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera

Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu
Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu

Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se

Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se
Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se

Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai
Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai

Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka
Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka

Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka
Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka

Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se
Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se

Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri

Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai

Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja

Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja
Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!

Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De

Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho

Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho

Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai

Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai
Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai

Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai
Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai

Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe

Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya

Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya
Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya

Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah

Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri

Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri

Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain_________!!

Read More..

1 comment:

  1. https://www.urdusadpoetry.net/apny-khali-kamry-mein-tanha/

    https://www.urdusadpoetry.net/dhekty-rhny-ki-adat-ho-gai/

    https://www.urdusadpoetry.net/aziyat-say-mar-geya-tha/

    ReplyDelete