Khizar-E-Rah
Shayar
Sahil-E-Darya Pe Main Ek Raat Tha Mehv-E-Nazar
Gosha-E-Dil Mein Chupaye Ek Jahan-E-Iztaraab
Shab Sakoot Afza, Hawa Asoodah, Darya Naram Sair
Thi Nazar Heeran Ke Ye Darya Hai Ya Tasveer-E-Aab
Jaise Gehware Mein So Jata Hai Tifle-E-Sheer Khawaar
Mouj-E-Muztar Thi Kahin Gehraiyon Mein Mast-E-Khawab
Raat Ke Ufsoon Se Tair Ashiyanon Mein Aseer
Anjum-E-Kam Zou Giraftar-E-Tilism-E-Mahtab
Dekhta Kya Hun Ke Woh Paik-E-Jahan Peyma Khizar
Jis Ki Peeri Mein Hai Manind-E-Sahar Rang-E-Shabab
Keh Raha Mujh Se, Ae Joya’ay Asrar-E-Azal !
Chashm-E-Dil Wa Ho To Hai Taqdeer-E-Alam Behijab
Dil Mein Ye Sun Kar Bapa Hangama’ay Mehshar Huwa
Main Shaheed-E-Justujoo Tha, Yun Sukhan-E-Gastar Huwa
Ae Teri Chashme-E-Jahan Been Par Woh Toofan Ashkar
Jin Ke Hangame Abhi Darya Mein Sote Hain Khamosh
‘Kashti-E-Miskeen’-O-‘Jaan-E-Paak’-O-‘Diwar-E-Yateem’
Ilm-E-Musa (A.S.) Bhi Hai Tere Samne Hairat Farosh
Chorh Kar Abadiyan Rehta Hai Tu Sehra Naward
Zindagi Teri Hai Be Roz-O-Shab-O-Farda-O-Dosh
Zindagi Ka Raaz Kya Hai, Saltanat Kya Cheez Hai
Aur Ye Sarmaya-O-Mehnat Mein Hai Kaisa Kharosh
Ho Rahah Hai Asia Ka Kharqa-E-Dairina Chaak
Naujawan Aqwam-E-Nau Doulat Ke Hain Peraya Posh
Garcha Iskandar Raha Mehroom-E-Aab-E-Zindagi
Fitrat-E-Iskandari Ab Tak Hai Garam-E-Nao’ay Nosh
Baichta Hai Hashmi Namoos-E-Deen-E-Mustafa (S.A.W.)
Khak-O-Khoon Mein Mil Raha Hai Turkaman-E-Sakht Kosh
Aag Hai, Aulad-E-Ibraheem (A.S.) Hai, Namrood Hai
Kya Kisi Ko Phir Kisi Ka Imtihaan Maqsood Hai______!!
Jawab-E-Khizar
Sehra Nawardi
Kyun Taajub Hai Meri Sehra Nawardi Par Tujhe
Ye Taga Pooye Dama Dam Zindagi Ki Hai Daleel
Ae Raheen-E-Khana Tu Ne Woh Saman Dekha Nahin
Goonjti Hai Jab Faza’ay Dasht Mein Bang-E-Raheel
Rait Ke Teele Pe Woh Aaho Ka Be Parwa Kharaam
Woh Hazar Be Barg-O-Saman, Woh Safar Be Sang-O-Meel
Woh Namood-E-Akhtar-E-Simab Pa Hangam-E-Subah
Ya Numayan Baam-E-Gardoon Se Jibeen-E-Jibraeel (A.S.)
Woh Sakoot-E-Sham-E-Sehra Mein Gharoob-E-Aftab
Jis Se Roshan Tar Huwi Chashm-E-Jahan Been-E-Khalil (A.S.)
Aur Woh Pani Ke Chashme Par Maqam-E-Karwan
Ahl-E-Aeeman Jis Tarah Jannat Mein Gird-E-Salsabeel
Taza Weerane Ki Soda’ay Mohabbat Ko Talash
Aur Abadi Mein Tu Zanjeeri Kisht-O-Nakheel
Pukhta Tar Hai Gardish-E-Peham Se Jaam-E-Zindagi
Hai Yehi Ae Be-Khabar Raaz-E-Dawam-E-Zindagi
Zindagi
Bartar Az Andesha’ay Sood-O-Ziyan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabhi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi
Tu Isse Pemana’ay Amroz-O-Farda Se Na Naap
Javidan, Peham Dawan, Har Dam Jawan Hai Zindagi
Apni Dunya Ap Paida Kar Agar Zindon Mein Hai
Sirr-E-Adam Hai, Zameer-E-Kun Fikan Hai Zindagi
Zindagani Ki Haqiqat Kohkan Ke Dil Se Pooch
Jooye Sheer-O-Teesha-O-Sang-E-Garan Hai Zindagi
Bandagi Mein Ghat Ke Reh Jati Hai Ek Jooay Kam Aab
Aur Azadi Mein Beher-E-Bekaran Hai Zindagi
Ashkara Hai Ye Apni Quwwat-E-Taskheer Se
Gharche Ek Mitti Ke Paikar Mein Nihan Hai Zindagi
Qulzam-E-Hasti Se Tu Ubhra Hai Manind-E-Habab
Iss Ziyan Khane Mein Tera Imtihan Hai Zindagi
Kham Hai Jab Tak To Hai Mitti Ka Ek Anbar Tu
Pukhta Ho Jaye To Hai Shamsheer-E-Bezanhar Tu
Ho Sadaqat Ke Liye Jis Dil Mein Marne Ki Tarap
Pehle Apne Paikar-E-Khaki Mein Jaan Paida Kare
Phoonk Dale Ye Zameen-O-Asman-E-Mastaar
Aur Khakstar Se Ap Apna Jahan Paida Kare
Zindagi Ki Quwwat-E-Pinhan Ko Kar De Ashakar
Ta Ye Chingari Furogh-E-Javidan Paida Kare
Khak-E-Mashriq Par Chamak Jaye Misal-E-Aftab
Ta Badkhishan Phir Wohi Laal-E-Giran Paida Kare
Suay Gardoon Nala-E-Shabgeer Ka Bheje Safeer
Raat Ke Taron Mein Apne Raazdan Paida Kare
Ye Ghari Mehshar Ki Hai, Tu Arsa’ay Mehshar Mein Hai
Paish Kar Ghafil, Amal Koi Agar Daftar Mein Hai !
Saltanat
Aa Bataon Tujh Ko Ramz-E-Aaya-E-INNAL MULOOK
Saltanat Aqwam-E-Ghalib Ki Hai Ek Jadoogari
Khawab Se Baidar Hota Hai Zara Mehkoom Agar
Phir Sula Deti Hai Uss Ko Hukamran Ki Sahiri
Jadoo-E-Mehmood Ki Taseer Se Chashm-E-Ayaz
Dekhti Hai Halqa-E-Gardan Mein Saaz-E-Dilbari
Khoon-E-Israel Aa Jata Hai Akhir Josh Mein
Torh Deta Hai Koi Musa (A.S.) Tilism-E-Samri
Sarwari Zaiba Faqat Uss Zaat-E-Be Hamta Ko Hai
Hukamran Hai Ek Wohi, Baqi Bootan-E-Azri
Az Ghulami Fitrat-E-Azad Ra Ruswa Makun
Ta Tarashi Khawajah Ae Az Barhaman Kafir Teri
Hai Wohi Saaz-E-Kuhan Maghrib Ka Jamhoori Nazam
Jis Ke Pardon Mein Nahin Ghair Az Nawa’ay Qaisari
Deo Istabdad Jamhoori Qba Mein Paye Koob
Tu Samjhta Hai Ye Azadi Ki Hai Neelam Pari
Majlis-E-Aaeen-O-Islah-O-Ra’ayaat-O-Haqooq
Tib-E-Maghrib Mein Maze Mithe, Asar Khawab Awri
Garmi-E-Ghuftar-E-Aza’ay Majaalis, Al-Aman !
Ye Bhi Ek Sarmaya Daron Ki Hai Jang-E-Zargari
Iss Sarab-E-Rang-O-Bu Ko Gulistan Samjha Hai Tu
Aah Ae Nadad! Qafas Ko Ashiyan Samjha Hai Tu
Sarmaya-O-Mehnat
Banda’ay Mazdoor Ko Ja Kar Mera Pegham De
Khizar Ka Pegham Kya, Hai Ye Peyam-E-Kainat
Ae Ke Tujh Ko Kha Gya Sarmayadar-E-Heela Gar
Shakh-E-Aahu Par Rahi Sadiyon Talak Teri Barat
Dast-E-Doulat Afreen Ko Muzd Yun Milti Rahi
Ehl-E-Sarwat Jaise Dete Hain Gharibon Ko Zakat
Sahir-E-Muut Ne Tujh Ko Diya Barg-E-Hasheesh
Aur Tu Ae Bekhabar Samjha Isse Shakh-E-Nabat
Nasal, Qoumiat, Kalisa, Saltanat, Tehzeeb, Rang
Khawajgi Ne Khoob Chun Chun Ke Banaye Muskirat
Kat Mara Nadan Khiyali Deota’on Ke Liye
Sukr Ki Lazzat Mein Tu Lutwa Gya Naqd-E-Hayat
Makr Ki Chalon Se Bazi Le Gya Sarmayadar
Intaha’ay Sadgi Se Kha Gya Mazdoor Maat
Uth Ke Ab Bazm-E-Jahan Ka Aur Hi Andaz Hai
Mashriq-O-Maghrib Mein Tere Dour Ka Aghaz Hai
Himat-E-Aali To Darya Bhi Nahin Karti Qabool
Ghuncha Saan Ghafil Tere Daman Mein Shabnam Kab Talak
Naghma’ay Baidari-E-Jamhoor Hai Saman-E-Aysh
Qissa’ay Khawab Awar-E-Iskandar-O-Jim Kab Talak
Aftab-E-Taza Paida Batan-E-Geeti Se Huwa
Asman! Doobe Huay Taron Ka Matam Kab Talak
Torh Dalain Fitrat-E-Insan Ne Zanjeerain Tamam
Doori Jannat Se Roti Chasm-E-Adam Kab Talak
Baghban-E-Chara Farma Se Ye Kehti Hai Bahar
Zakhm-E-Gul Ke Waste Tadbeer-E-Marham Kab Talak!
Karmak-E-Nadan! Tawaf-E-Shama Se Azad Ho
Apni Fitrat Ke Tajalli Zaar Mein Abad Ho
Dunya-E-Islam
Kya Sunata Hai Mujhe Turk-O-Arabki Dastan
Mujh Se Kuch Pinhan Nahin Islamiyon Ka Souz-O-Saaz
Le Gye Taslees Ke Farzand Meeras-E-Khalil (A.S.)
Khisht-E-Bunyad-E-Kalisa Ban Gyi Khak-E-Hijaz
Ho Gyi Ruswa Zamane Mein Kulah-E-Lala Rang
Jo Sarapa Naz The, Hain Aaj Majboor-E-Niaz
Le Raha Hai Mai Faroshaan-E-Farangistan Se Paras
Woh Mai’ay Sarkash Hararat Jis Ki Hai Meena Gudaz
Hikmat-E-Maghrib Se Millat Ki Ye Kaifiyat Huwi
Tukre Tukre Jis Tarah Sone Ko Kar Deta Hai Gaaz
Ho Gya Manind-E-Aab Arzaan Musalman Ka Lahoo
Muztarib Hai Tu Ke Tera Dil Nahin Dana’ay Raaz
Guft Rumi “Har Banaye Kuhna Ka Badaan Kunand”
Mee Nadani “Awal Aan Bunyad Ra Weeran Kunand”
Mulk Haathon Se Gya Millat Ki Aankhain Khul Gayin
Haq Tera Chashme Atta Kar Dast Ghafil Dar Nagar
Moumiyai Ki Gadai Se To Behter Hai Shikast
Moor-e-Be Par! Hajatay Paish-e-Sulimanay Mabar
Rabt-o-Zabt-e-Millat-e-Baiza Hai Mashriq Ki Nijaat
Asia Wale Hain Iss Nukte Se Ab Tak Be-Khabar
Phir Siasat Chorh Kar Dakhil Hisar-e-Deen Mein Ho
Mulk-o-Doulat Hai Faqat Hifz-e-Haram Ka Ek Samar
Aik Hon Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye
Neel Ke Sahil Se Le Kar Ta Bakhak-e-Kashghar
Jo Kare Ga Imtiaz-e-Rang-o-Khoon, Mit Jaye Ga
Turk-e-Khargahi Ho Ya Araabi Wala Guhar
Nasal Agar Muslim Ki Mazhab Par Muqadam Ho Gyi
Urh Gya Dunya Se Tu Manind-E-Khak-E-Reh Guzar
Ta Khilafat Ki Bina Dunya Mein Ho Phir Ustawar
La Kahin Se Dhoond Kar Aslaaf Ka Qalb-O-Jigar
Ae Ke Nashna See Khafi Ra Az Jali Hushyar Bash
Ae Giraftar-E-Abubakr (R.A.)-O-Ali (R.A.) Hushyar Bash
Ishq Ko Faryad Lazim Thi So Woh Bhi Ho Chuki
Ab Zara Dil Thaam Kar Faryad Ki Taseer Dekh
Tu Ne Dekha Satwat-E-Raftar-E-Darya Ka Urooj
Mouj-E-Muztar Kis Tarah Banti Hai Ab Zanjeer Dekh
Aam Huriyat Ka Jo Dekha Tha Khawab Islam Ne
Ae Musalman Aaj Tu Uss Khawab Ki Tabeer Dekh
Apni Khakstar Samundar Ko Hai Saman-E-Wujood
Mar Ke Phir Hota Hai Ye Jahan-E-Peer, Dekh
Khol Kar Ankhain Mere Ayna-E-Guftar Mein
Ane Wale Dour Ki Dhundli Si Ek Tasveer Dekh
Azmudah Fitna Hai Ek Aur Bhi Gardoon Ke Pas
Samne Taqdeer Ke Ruswayi-E-Tadbeer Dekh
Muslim Asti Seena Ra Az Arzoo Abad Dar
Har Zaman Paish-E-Nazar ‘La Yukhalif Ul Meead’ Dar_____!!
Read More..
No comments:
Post a Comment