Pages - Menu

Pages

Pages

Saturday, 8 February 2014

Iblees Ki Majlis E Shuara




















Iblees Ki Majlis-e-Shura
1936

Ye Anasir Ka Purana Khail, Ye Dunya-e-Doon
Sakinan-e-Arsh-e-Azam Ki Tamanaon Ka Khoon!

Uss Ki Barbadi Pe Aaj Aamada Hai Woh Kaarsaaz
Jis Ne Uss Ka Nam Rakha Tha Jahan-e-Kaaf-o-Noon

Mein Ne Dikhlaya Farangi Ko Mulukiyat Ka Khawab
Mein Ne Tora Masjid-o-Dair-o-Kalisa Ka Fusoon


Mein Ne Nadaron Ko Sikhlaya Sabaq Taqdeer Ka
Mein Ne Muneim Ko Diya Sarmayadari Ka Junoon

Kon Kar Sakta Hai Uss Ki Aatish Soozan Ko Sard
Jis Ke Hungamon Mein Ho Iblees Ka Souz-e-Daroon

Jis Ki Shakhain Hon Humari Aabiyari Se Buland
Kon Kar Sakta Hai Uss Nakhl-e-Kuhan Ko Ser Nigoon___!!

Pehla Musheer 

Iss Mein Kya Shak Hai Ke Muhkam Hai Ye Ibleesi Nizam
Pukhta Tar Iss Se Huwe Khuay Ghulami Mein Aawam

Hai Azal Se In Gharibon Ke Muqaddar Mein Sujood
In Ki Fitrat Ka Taqaza Hai Namaz-e-Be Qayam

Arzoo Awwal To Paida Ho Nahin Sakti Kahin
Ho Kahin Paida To Mer Jati Hai Ya Rehti Hai Kham

Ye Humari Saee-e-Peham Ki Karamat Hai Ke Aaj
Sufi-o-Mullah Mukuliyat Ke Bande Hain Tamam

Taba-e-Mashriq Ke Liye Mouzoon Yehi Afyoon Thi
Warna 'Qawwali' Se Kuch Kam Tar Nahin 'Ilm E Kalam'

Hai Tawaf-e-Hajj Ka Hungama Agar Baqi To Kya
Kund Ho Kar Reh Gyi Momin Ki Taeg-e-Be Nayam

Kis Ki Naumeedi Pe Hujjat Hai Ye Farman-e-Jadeed
'Hai Jihad Iss Dour Mein Mard-e-Musalman Par Haram___!!

Dusra Musheer

Khair Hai Sultani Jumhoor Ka Ghogha Ke Sherr
Tu Jahan Ke Taza Fitnon Se Nahin Hai Ba-khabar__!!

Pehla Musheer

Hun, Magar Meri Jahan Beeni Batati Hai Mujhe
Jo Mulukiyat Ka Ek Parda Ho, Kya Uss Se Khatar!

Hum Ne Khud Shahi Ko Pehnaya Hai Jumhoori Libas
Jab Zara Aadam Huwa Hai Khud Shanas-o-Khud Nigar

Karobar-e-Sheher Yari Ki Haqiqat Aur Hai
Ye Wujood-e-Meer-o-Sultan Par Nahin Hai Munhasar

Majlis-e-Millat Ho Ya Parvaiz Ka Darbar Ho
Hai Woh Sultan, Ghair Ki Khaiti Pe Ho Jis Ki Nazar

Tu Ne Kya Dekha Nahin Maghrib Ka Jumhoori Nizam
Chehra Roshan, Androon Changaiz Se Tareek Tar___!!

Teesra Masheer

Rooh-e-Sultani Rahe Baqi To Phir Kya Iztarab
Hai Magar Kya Uss Yahoodi Ki Shararat Ka Jawab?

Woh Kaleem Be-Tajalli, Woh Maseeh Be-Saleeb
Neest Peghambar Wa Lekin Dar Baghal Darad Kitab

Kya Bataun Kya Hai Kafir Ki Nigah-e-Parda Souz
Mashriq-o-Maghrib Ki Qaumon Ke Liye Roz-e-Hisab

Iss Se Barh Kar Aur Kya Ho Ga Tabiat Ka Fasad
Torh Di Bandon Ne Aaqaon Ke Khaimon Ki Tanab!

Chotha Musheer

Torh Uss Ka Rumatul Kubra Ke Aewanon Mein Dekh
Aal-e-Ceaser Ko Dikhaya Hum Ne Phir Ceaser Ka Khawab

Kon Behar-e-Rome Ki Moujon Se Hai Lipta Huwa
'Gah Balad Choon Sanobar' Gah Nalad Choon Rabab___!!

Teesra Musheer

Mein To Uss Ki Aaqabat Beeni Ka Kuch Qael Nahin
Jis Ne Afrangi Siasat Ko Kiya Yun Behijab___!!

Panchwan Musheer
(Iblees Ko Mukhatib Kar Ke)

Ae Tere Souz-e-Nafas Se Kaar-e-Aalam Ustawar!
Tu Ne Jab Chaha, Kiya Har Pardagi Ko Ashikaar

Aab-o-Gill Teri Hararat Se Jahan-e-Souz-o-Saaz
Abla-e-Jannat Teri Taleem Se Danaye Kaar

Tujh Se Barh Kar Fitrat-e-Aadam Ka Woh Mehram Nahin
Sada Dil Bandon Mein Jo Mashoor Hai Parwardigar

Kaam Tha Jin Ka Fakat Taqdees-o-Tasbeeh-o-Tawaf
Teri Gairat Se Abad Tak Sar Nigun-o-Sharamsaar

Garcha Hain Tere Mureed Afrang Ke Sahir Tamam
Ab Mujhe In Ki Farasat Par Nahin Hai Atibar

We Yahoodi Fitna Gar, Woh Rooh-e-Mazdak Ka Barooz
Har Kaba Hone Ko Hai Iss Ke Janoon Se Tar Tar

Zagh-e-Dashti Ho Raha Hai Humsar-e-Shaheen-o-Chargh
Kitni Sura’at Se Badalta Hai Mazaaj-e-Rozgar

Cha Gyi Ashufta Ho Kar Wusat-e-Aflaak Par
Jis Ko Nadani Se Hum Samajhe The Ek Musht-e-Ghubar

Fitna-e-Farda Ki Haibat Ka Ye Alam Hai Ke Aaj
Kanpte Hain Kohsar-o-Murghzar-o-Ju’ay bar

Mere Aaqa! Vo Jahan Zair-o-Zabar Hone Ko Hai
Jis Jahan Ka Hai Fakat Teri Sayadat Par Madar___

Iblees (Apne Musheeron Se)

Hai Mere Dast-e-Tasarruf Mein Jahan-e-Rang O Bu
Kya Zameen, Kya Mehar O Mah, Kya Asaman-e-Tu Ba Tu

Dekh Lain Ge Apni Ankhon Se Tamasha Gharb-o-Sharak
Main Ne Jab Garma Diya Aqwam-e-Europe Ka Lahoo

Kya Imamane Siasat, Kya Kaleesa Ka Shayookh
Sub Ko Diwana Bana Sakti Hai Meri Aik Hoo

Kargah Sheesha  Jo Nadan Samjhta Hai Usse
Tor Kar Dekhe To Iss Tehzeeb Ke Jam-o-Saboo!

Dast-e-Fitrat Ne Kiya Hai Jin Girebanon Ko Chaak
Mazdaki Mantaq Ki Souzan Se Nahin Hote Rafoo

Kab Dara Sakte Hain Mujh Ko Ishtaraki Koocha Gard
Ye Preshan Rozgar, Ashufta Maghz, Ashufta Mu

Hai Agar Mujh Ko Khatar Koi To Uss Ummat Se Hai
Jis Ki Khatstar Mein Hai Ab Tak Shirar-e-Arzu

Khal Khal Iss Qaum Mein Ab Tak Nazar Ate Hain Vo
Karte Hain Ashak-E-Sehargahi Se Jo Zalim Wazoo

Janta Hai, Jis Pe Roshan Batin-e-Ayyam Hai
Mazdkiat Fitna-e-Farda Nahin, Islam Hai!

Janta Hun Main Ye Ummat Hamal-e-Quran Nahin
Hai Wohi Sarmayadari Banda-e-Momin Ka Deen

Janta Hun Main Ke Mashriq Ki Andheri Raat Mein
Be Yad-e-Baiza Hai Peeran-e-Haram Ki Asteen

Asre-e-Hazir Ke Taqazaon Se Hai Lekin Ye Khof
Ho Na Jaye Ashakara Shara-e-Peghambar Kahin

Alhazar! Aaeen-e-Peghambar Se Sou Bar Alhazar
Hafiz-e-Namoos-e-Zan, Mard Azma, Mard-e-Afreen

Mout Ka Pegham Har Nu-e-Ghulami Ke Liye
Ne Koi Faghfoor-o-Khaqaan, Ne Fareeq-e-Reh Nasheen

Karta Hai Doulat Ko Har Aaludgi Se Pak Saaf
Munemon Ko Maal-o-Doulat Ka Banata Hai Ameen

Iss Se Barh Kar Aur Kya Fikar-o-Amal Ka Inqilaab
Padshahon Ki Nahin, Allah Ki Hai Ye Zameen!

Chasme Alam Se Rahe Poshida Ye Aaeen To Khoob
Ye Ghanimat Hai Ke Khud Momin Hai Mehroom-e-Yaqeen

Hai Ye Behter Elahiyat Mein Uljha Rahe
Ye Kitab Ullah Ki Taweelat Mein Uljha Rahe

Tor Dalain Jis Ki Takbeerain Talism-e-Shash Jihat
Ho Na Roshan Uss Khuda Andaish Ki Tareek Raat

Ibne Mariam Mar Gya Ya Zinda Javaid Hai
Hain Sifat-e-Zaat-e-Haq, Haq Se Judda Ya Ayn Zaat?

Ane Wale Se Maseeh-e-Nasiri Maqsood Hai
Ye Mujaddid, Jis Mein Hon Farzand-e-Mariam Ke Sifat?

Hai Wohi Shair-o-Tasawwuf Iss Ke Haq Mein Khoob Tar
Jo Chupa De Iss Ki Ankhon Se Tamasha-e-Hayat

Hain Kalam Ullah Ke Alfaz Hadis Ya Qadeem
Ummat Marhoom Ke Hai Kis Aqeede Mein Nijat?

Kya Musalman Ke Liye Kafi Nahin Iss Dour Mein
Ye Elahiyat Ke Tarshay Huwe Laat- O-Manaat?

Tum Isse Begana Rakho Alam-e-Kirdar Se
Ta Bisat-e-Zindagi Mein Iss Ke Sub Muhre Hon Maat

Khair Issi Mein Hai, Qayamat Tak Rahe Momin Ghulam
Chor Kar Auron Ki Khatir Ye Jahan-e-Be-Sabat

Har Nafas Darta Hun Iss Ummat Ki Baidari Se Mein
Hai Haqiqat Jis Ke Deen Ki Ahtisaab-e-Kainat

Mast Rakho Zikar-o-Fikar-e-Subhgahi Mein Isse
Pukhta Tar Kar Do Mazaaj-e-Khanqahi Mein Isse________!!

Read More..

No comments:

Post a Comment