Ilm-O-Ishq
Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan
Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!
Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat
Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!
Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen
Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!
Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam
Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab_______!!
La Ilaha Illallah
Khudi Ka Sirr-e-Nihan La Ilaha Illallah
Khudi Hai Taeg, Fasan La Ilaha Illallah
Ye Dour Apne Baraheem Ki Talash Mein Hai
Sanam Kudah Hai Jahan, La Ilaha Illallah
Kiya Hai Tu Ne Mataa-e-Ghuroor Ka Soda
Faraib Sood-o-Zayan, La Ilaha Illallah
Ye Maal-o-Doulat-e-Dunya, Ye Rishta-o-Pewand
Butan-e-Weham-o-Guman, La Ilaha Illallah
Khird Huwi Hai Zaman-o-Makan Ki Zunnari
Na Hai Zaman Na Makan, La Ilaha Illallah
Ye Naghma Fasl-e-Gul-o-Lala Ka Nahin Paband
Bahar Ho Ke Khazan, La Ilaha Illallah
Agarche But Hain Jamat Ki Astinon Mein
Mujhe Hai Hukm-e-Azan, La Ilaha Illallah_________!!
March 1907
Zamana Aya Hai Behijabi Ka, Aam Didar-e-Yar Ho Ga
Sakoot Tha Parda Dar Jis Ka, Woh Raaz Ab Ashkar Ho Ga
Guzar Gya Ab Woh Dor Saqi Ke Chup Ke Peete The Peene Wale
Bane Ga Sara Jahan Maikhana, Har Koi Bada Khwar Ho Ga
Kabhi Jo Awara’ay Junoon The, Woh Bastiyon Mein Phir Aa Basain Ge
Barhna Payi Wohi Rahe Gi, Magar Naya Khar Zaar Ho Ga
Suna Diya Gosh-e-Muntazir Ko Hijaz Ki Khamshi Ne Akhir
Jo Ehad Sehraiyon Se Bandha Gya Tha, Phir Ustawar Ho Ga
Nikl Ke Sehra Se Jis Ne Roma Ki Saltanat Ko Ulat Diya Tha
Suna Hai Ye Qudsiyon Se Main Ne, Woh Sher Phir Hoshyar Ho Ga
Kiya Mera Tazkara Jo Saqi Ne Badah Khawaron Ki Anjuman Mein
To Peer-e-Maikhana Sun Ke Kehne Laga Ke Munh Phat Hai, Khuwar Ho Ga
Diyar-e-Maghrib Ke Rehne Walo ! Khuda Ki Basti Dukan Nahin Hai
Khara Jise Tum Samajh Rahe Ho, Woh Ab Zr-e-Kam Ayaar Ho Ga
Tumhari Tehzeeb Apne Khanjar Se Ap Hi Khudkushi Kare Gi
Jo Shakh-e-Nazuk Pe Ashiyana Bane Ga, Na Paidar Ho Ga
Safina’ay Barg-e-Gul Bana Le Ga Qafla Moor-e-Natawan Ka
Hazar Moujon Ki Ho Kashakash Magar Ye Darya Se Paar Ho Ga
Chaman Mein Lala Dikhata Phirta Hai Dagh Apna Kali Kali Ko
Ye Janta Hai Ke Iss Dikhawe Se Dil Jalon Mein Shumar Ho Ga
Jo Aik Tha Ae Nigah Tu Ne Hazar Kar Ke Humain Dikhaya
Yehi Agar Kaifiyat Hai Teri To Phir Kise Itibaar Ho Ga
Kaha Jo Qumri Se Main Ne Ek Din, Yahan Ke Azad Pa Ba Gil Hain
To Ghunche Kehne Lage, Humare Chaman Ka Ye Raazdaar Ho Ga
Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare
Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga
Ye Rasm-e-Bazm-e-Fana Hai Ae Dil! Gunah Hai Junbish-e-Nazar Bhi
Rahe Gi Kya Abru Humari Jo Tu Yahan Be-Qarar Ho Ga
Mein Zulmat-e-Shab Mein Le Ke Niklun Ga Apne Darmandah Karwan Ko
Sharar Fishan Ho Gi Aah Meri, Nafas Mera Shaola Bar Ho Ga
Nahin Hai Ghair Az Namood Kuch Bhi Jo Maddaa Teri Zindagi Ka
Tu Ek Nafas Mein Jahan Se Mitna Tujhe Misl-e-Sharaar Ho Ga
Na Pooch Iqbal Ka Thikana, Abhi Wohi Kaifiyat Hai Uss Ki
Kahin Sar-e-Rah Guzar Baitha Sitam Kash-e-Intizar Ho Ga_____!!
Mard-E-Musalman
Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman
Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan
Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan
Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman
Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan____!!
Muslim
Har Nafas Iqbal Tera Aah Mein Mastoor Hai
Seena’ay Sozaan Tera Faryad Se Maamoor Hai
Naghama’ay Umeed Teri Barbat-e-Dil Mein Nahin
Hum Samajhte Hain Ye Laila Tere Mahmil Mein Nahin
Gosh Awaz-e-Surood-e-Rafta Ka Joya (Talash) Tera
Aur Dil Hungama’ay Hazir Se Be Parwa Tera
Qissa’ay Gul Hum Nawayan-e-Chaman Sunte Nahin
Ahl-e-Mehfil Tera Pegham-e-Kuhan Sunte Nahin
Ae Dara’ay Karwan-e-Khufta Pa! Khamosh Reh
Hai Bohat Yaas Afreen Teri Sada Khamosh Reh
Zinda Phir Woh Mehfil-e-Dairina Ho Sakti Nahin
Shama Se Roshan Shab-e-Dosheena Ho Sakti Nahin
Hum Nasheen! Muslim Hun Mein, Touheed Ka Hamil Hun Main
Iss Sadaqat Par Azal Se Shahid-e-Adil Hun Main
Nabz-e-Moujudat Main Paida Hararat Iss Se Hai
Aur Muslim Ke Takhiyyul Main Jasarat Iss Se Hai
Haq Ne Alam Iss Sadaqat Ke Liye Paida Kiya
Aur Mujhe Is Ski Hifazat Ke Liye Paida Kiya
Dehr Mein Gharat Gar-e-Batil Prasti Main Huwa
Haq To Ye Hai Hafiz-e-Namoos-e-Hasti Main Huwa
Meri Hasti Pairhan Uryani-e-Alam Ki Hai
Mere Mit Jane Se Ruswayi Bani Adam Ki Hai
Qismat-e-Alam Ka Muslim Koukab-e-Tabinda Hai
Jis Ki Tabani Se Afsoon-e-Sehar Sharminda Hai
Ashkara Hain Meri Ankhon Pe Asrar-e-Hayat
Keh Nahi Sakte Mujhe Naumeed-e-Paikaar-e-Hayat
Kab Dra Sakta Hai Gham Ka Arzi Manzar Mujhe
Hai Bharosa Apni Millat Ke Muqaddar Par Mujhe
Yaas Ke Unsar Se Hai Azad Mera Rozgaar
Fateh-e-Kamil Ki Khabar Deta Hai Josh-e-Karzaar
Haan Ye Sach Hai Chashme Bar Ehd-e-Kuhan Rehta Hun Main
Ahl-e-Mehfil Se Purani Dastan Kehta Hun Mein
Yad-e-Ehd-e-Rafta Meri Khak Ko Ikseer Hai
Mera Mazi Mere Istaqbal Ki Tafseer Hai
Samne Rakhta Hun Uss Dour-e-Nishat Afza Ko Main
Dekhta Hun Dosh Ke Aaeene Mein Farda Ko Main_____!!
Tariq Ki Dua
Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande
Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai
Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya
Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Rayi
Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko
Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi
Shahadat Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin
Na Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi
Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se
Qaba Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se
Kiya Tu Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta
Khabar Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein
Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko
Woh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein
Kushad-e-Dar-e-Dil Samajhte Hain Iss Ko
Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein
Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De
Woh Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein
Aza’im Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De
Nigah-e-Musalman Ko Talwar Kar De_______!!
Read More..
No comments:
Post a Comment