Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Humarey Bakht Ki Raikha Bhi Meer Aisi Thi
Ye Haath Chomey Gai, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey
Jo Rutt Bhi Aai Khizaa.n K Safeer Aisi Thi
Wo Merey Pao.n Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey
Jo Mangta Usey Deti Ameer Aisi Thi
Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Thee.n
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi
Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Um’r Na Urti Aseer Aisi Thi
Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam
Judaiyo.n Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi
Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata
Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi
Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e Raah Diya
Teri Firagh Dili Merey Veer Aisi Thi
Kabhi Na Chahney Walo.n Ka Khoo.n Baha Manga
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi___!!
________________________________
Hum Tasleem Kartey Hain
Hum Tasleem Kartey Hain
Humain Fursat Nahi Milti
Magar___!!
Ye Bhi Zara Socho
Tumhain Jab Yaad Kartey Hain
Zamana Bhool Jatey Hain_____!!
________________________________
Dua To Janey Kon Si Thi
Dua to janay kon si thi
Zehen mein nahin
Dua to janay kon si thi
Bas itna yaad hai
Ke do hatheliyan mili huyi thi
Jin mein ek meri thi
Aur ik tumhari____!!
________________________________
Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon
Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon
Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon
Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon
Vasaal-o-hijar apne yaksaa’n* hain, woh manzar hai chahat mein
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon
Abhi tere siwaa duniyaa bhi hai maujood is dil main
Main khud ko kiss tarah tere baraabar dekh sakti hoon____!!
________________________________
Sahaab Tha Ke Sitaara Guraiz Paa Hee Laga
Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga______!!
________________________________
Teri Khushbu Ka Pata Karti Hai
Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsan hawa karti hai
Shab ki tanhai main ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai
Dil ko us rah pe chalna hi nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne main raha karti hai
Us ne dekha hi nahin warna ye ankh
Dil ka ehwal kaha karti hai
Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
Ret par nam likha karti hai
Sham parte hi kisi shakhs ki yad
Kucha-e-jan main sada karti hai
Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karti hai
Dukh hua karta hai kuch aur bayan
Bat kuch aur hua karti hai
Abr barse to inayat us ki
Shakh to sirf dua karti hai
Masla jab bhi utha chiragon ka
Faisala sirf hawa karti hai____!!
________________________________
Ik Shakhs Ko Sochti Rahi Main
Ik shakhss ko sochti rahi main
Phir aayina dekhne lagi main
Us ki tarah apna naam le ker
Khud ko bhi lagi neyi neyi main
Tu mere bina reh na saka to
Kab tere baghair jee saki main
Aati rahe ab bhi kahin se awaz
Ab to tere pass agayi main
Daaman tha tera ke mera maatha
Jo daagh bhi they mittaa chuki main___!!
________________________________
Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jaye Ga
Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
Masla phul ka hai phul kidhar jayega
Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega____!!
________________________________
Dastaras Se Apni Baahir Ho Gaye
Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye
Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye
Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai
Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye
Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye
Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye
Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham
Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye______!!
________________________________
Teri Khushbu Ka pata Karti Hai
Teri khushbu ka pataa karti hai
Mujh pay ehsaan hawa karti hai
Shab ki tanhai mei ab to aksar
Guftagu tujh say raha karti hai
Dil ko us raah pay chalna hee nahi
Jo mujhay tujh say juda karti hai
Zindagi meri thee lekin ab to
Teray kehnay mei raha karti hai
Us nay dekha he nahi warna yeh aankh
Dil ka ehwaal kaha karti hai
Shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad
Koocha e jaan mei sadaa karti hai____!!
________________________________
Toti Hai Meri Neend Magar Tum Ko Is Say Kaya
Toti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajty rahein hawaoon say dar tum ko es sy kya
Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya
Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya
Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouu
Tum nay to daal di hai sapar, tum ko es sy kya
Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
Tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya_____!!
________________________________
Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun
Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hun
Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hun
Ye Tou Hai Ke Mera Wehem Hai !
Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hun
Jaisay Ke Kubhi Na Tha Taarruf
Yun Miltay Howay Jhijak Rahi Hun
Pehchaan! Mein Teri Roshni Hun
Aur Teri Palak Palak Rahi Hun
Kia Chain Mila Hai ——-Sir Jo Iske
Shaanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hun
Pathar Pe Khili, Ke Chasham Gul Mein
Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hun
Jugnuu Kaheen Thak Ke Gir Chuka Hai
Jangal Mein Kahan Bhatak Rahi Hun
Gurrya Meri Soch Ki Chhanni Kia
Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hun
Ik Umar Howi Khud Se Lartay
Andar Se Tamaam Thak Rahi Hun
Rus Phir Se Jarron Mein Jaa Raha Hai
Mein Shak Pe Kab Se Pak Rahi Hun
Takhleeq-e-Jamaal-e-Fun Ka Lamha !
Kalyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hun_______!!
No comments:
Post a Comment