Marney Say Bhi Pehly Mar Gaye They
Marney se bhi pehle mar gaye they
Jeeney se kuch aese dar gaye they
Rastey mein jahan talak diye they
Saarey mere hamsafar gaye they
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n
Aur khawb mere bikhar gaye they
Jab tak na khila tha us ka waada
Mausam mere be’samar gaye they
Ab tak wohhi nasha e paziraayi
Kya jaaniye hum kidhar gaye they___!!
_____________________________
Ab Aur Jeney Ki Soorat Nazar Nahin Aati
Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati
Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati
Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati
Hayaat mein ab koi aesa morr nahin
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati
Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati
Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati____!!
_____________________________
Aaney Wali Ruton K Anchal Mein
Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya hogi
Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi
Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi
Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki umeed kya hogi
Chand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naweed kya hogi
Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi_______!!
_____________________________
Nanhi Larki
Nanhi larki
Sahil ke itne nazdeek
Rait se apna ghar na bana
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi
Aur phir un ki yaad mein tu
Saari umar udaas rahe gi_______!!
_____________________________
Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????
Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai
Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai
Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per
Kon Ye Haar Sa Pirota Hai
Raat Ke Bekaraan Andheray Mein
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai_______!!
_____________________________
Gaye Baras K Eid Ka Din Kaya Acha Tha
Gaye baras ki eid ka din kya acha tha
Chaand ko dekh ke uskaa chehra dekha tha
Fazaa mein cactus ke lehjey ki nermahat thi
Mausam apne rang mein faiz ka missraah tha
Dua ke be-awaz, ulohi lamhon mein
Woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Haath utha ker jab Aankhoon hi aankhon mein
Us ne mujh ko apne Rab se mangaa tha
Phir mere chehre ko haathon mein le ker
Kitney pyar se mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
Kaya woh apni chat per aj akela tha?
Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
Chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?
_____________________________
Khuli Aankhon Mein Sapna Khankta Hai
Khuli aankhon mein sapna jhaankta hai
Woh soya hai ke kuch kuch jaagta hai
Tere chahat ke bheegey junglon mein
Mera tan man mor ban kar nachta hai
Mujhe har kefiyat mein kyon na samjhey
Woh mere sab hawaaley jaanta hai
Main uss ki dastrass main hoon magar woh
Mujhe meri razaa se mangta hai
Kissi ke dheyaan main dooba hua dil
Bahaaney se mujhe bhi taalta hai
Sarrak ko chorr kar chalna parega
Ke mere ghar ka kacchaa rasta hai___!!
_____________________________
Abr-E-Bahaar Ney
Abr-e-bahaar ne
Phool ka chehra
Apney banafshi hath mein le ker
Aesey chooma
Phool ke sarey dukh
Khushbu ban kar beh nikle_____!!
_____________________________
Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-E-Hawa Raat Ke Saath
Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath
Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?
Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath
Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath
Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa
Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath
Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath_______!!
_____________________________
Hoon To Khafa Us Sey
Hoon To Khafa Us Sey
Per Janay Phir B Kiyun?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai
Haqeeqat Se Hoon Dhoor
Ye Mujh Ko Hai Pata
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai
Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai
Tu MERA Tha
Tu MERA Hai
Tu MERA Rahay Ga
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai______!!
Read More..
No comments:
Post a Comment