Suno Mohabbat To Khush Gumaan Hai
"Tumhari Anghistri K Naag Mein
Meri Muhabbat Chamak Rahi Hai
Agar Kabi Ye Gumaan Guzray
K Main Tumhain Bhulnay Laga Hon
To Is Nageenay Ko Daikh Laina
Meri Nigahoon Ki Jagmagahat
Tumhari Ankhoon Say Ye Kahe Ge"
"Sunoo Mohabbat Khush Gumaan Hai"
"Agar Kohi Bughz-e-Dil Ka Mara
Nazar Say Toota Howa Sitara
Tumhare Seenay Main Waswason K
Kaseelay Khanjar Utarta Ho
K Wo Jo Dil Phaink-o-Bewafa Hai
K Wo Sab Par Fareeqta Hai
K Wo jo Pardes Ja Basa Hai
Tmhain Bhanwar Beech Chor Dega
Wafa K Sab Qaul Tor Dega
Tou Is Se Pehle K Ro Paro Tum
To IS Pehlay K Jal Bujho Tum
Tou Is Se Pehle K Ye Kaho Tum
Wo Ehad-o-Paiman Sab Ghalat Thay
Wafa K Unwan Sab Ghalat Thay
Sehar K Imkan sab Ghalat Thay
Tum Apni Inghst-e-Dilruba Par
Gulab Chehra Jhuka K Kehna"
"SUNO WO SACH MAIN BEWAFA HAI?"
Tumhara Rota Sawal Sun Kar
Ye Shokh Rang Muskura Pare Ga
Mohabbato'n K Safeer Ban K
Ye Surkh Nagg Aur Haseen Anghothi
Meri Numaindagi Karen Ge
Tumhare Chehre Se Cher Charh Kartay
Tumhari Aankhon K Rung Parhtay
Tumhare Baalo'n Pay Hath Phiartay
Tumhare Gaalo'n Ko Thapthapa K
Haseen Anghistri Kahay Gi
"SUNO MOHABBAT KHUSH GUMAAN HAI"
________________________________
Ab Kia Kahoon K Tujh Say Muhabat Nahi Rahi
"Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi
Teri Talab mein Pehli Si Shidat Nahi Rahi"
"Ya To Teri Wafaon ka Musam Guzar gaya
Ya ye ke Tujh ko Meri Zaroorat Nahi Rahi"
"Us ko bhi Wada kar ke bholane ka Shouq Hai
Hum ko bhi Intzaar ki Adat Nahi Rahi"
"Un ko Ae Dost Fursat-e-Purish Mili to Kia
Ab hum ko Arz Haal ki Hasrat Nahi Rahi"
________________________________
Keh Gayi Ek Haseena Yeh Raat Mere Khwaab Me Aa Kr
"Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe"
"Aaina-e-Dil Me Tasveer Rahati Hai Teri Hi E-HumNasheen
Jo Sochti Hoon Khat Likhne ki, Gazal Likh Jaati Hoon Tujhpe"
"Aankhen Khulte Hi Kahin Bhool Na Jana Mujhko E-Sanam
Main Wo Saawan Ki Baarish Hoon, Jo Barsoongi Sirf Tujhpe"
"Jo Aa Gai Saamne Kabhi, To Kaise Pahachanega Tu Mujh ko
Isliye Badan Ki Khusbu Apni, Chode Ja Rahi Hoon Tujhpe"
"Apne Seene se Lagaaye Rakhna, Aankhon me Basaye Rakhna
Na Todna Kabhi Dil Mera, Bas Itna Ehasaan Tu Karna Mujhpe"
"Aaj Khwaabon Me Aayi Hoon, Kal Zindgi Me Bhi Aaungi
Main Hoon Sirf Teri, Dil-o-Jaan Jo Luta Baithi Hoon Tujhpe"
"Aaj Ja Rahi Hoon Sirf Izhaar Karke, Ikraar Ke Intzaar Me
Kal Raat Phir Aa Kar Mohabbat Apni, Bikhraaungi Main Tujhpe"
"Keh Gayi ek Haseena Yeh, Raat Mere Khwaab Me Aakar
Karti Hoon Mohabbat Tujhse, Aur Sirf Marti Hoon Tujhpe"
________________________________
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
"Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye"
"Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye"
"Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye"
"Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye"
"Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye"
________________________________
Chori Se Woh Chupke Se Aankhon Mein Samaaya Hai
"Chori Se Woh Chupke Se, Aankhon Mein Samaaya Hai
Khwabon Mein Bhi Aa Aa Kar, Neendon Ko Churaya Hai"
"Aangan Mein Yeh Khushbu Ka, Jhonka Sa Jo Aaya Hai
Woh Aane Hi Wala Hai, Mausam Ne Bataya Hai"
"Tasveer Bani Baithi, Suntii Hi Chali Jaoon
Us Shokh Ki Baaton Ne, Jaadoo Sa Jagaya Hai"
"Khamosh They Ham Phir Bhi, Kuchh Shor Huaa Aisaa
Dil Mein Tiri Yaadon Ne Ik Hashr Uthaya Hai"
"Lo Aaj Isharon Mein Woh Keh Hi Gaya Aakhir
‘Main Ne Bhi Tujhe Apne Sapnon Mein Sajaaya Hai"
"Raston Ko Gulon Se To Sab Log Sajaate Hen
Hum Ne Teri Raahon Mein Dil Apna Bichhaaya Hai"
________________________________
Aaya Tha Ghar Sanvaranay Ehasaan Kr Gayaa
"Aaya tha ghar saNvaarane ehasaan kar gayaa
Barbaadiyon kaa aur bhii saamaan kar gayaa"
"Ab tak rahii us kii yaad merii zindagii ke saath
Do char pal kii mujh se jo pahachaan kar gayaa"
"AaNkhon ne jis ke shauq men raaten sajaaiy thiin
Khvaabon ke anjuman vahii viraan kar gayaa"
"Jhonkaa nasiim-e-subah kaa aayaa to thaa magar
Gul_shan kii har kalii ko pareshaan kar gayaa"
________________________________
Hazaron Bar Kehte Hain Hmein Tum Say Mohabbat Hai
"Hazaron bar kehte hen hamen tum se mohabbat ha
Sar e bazar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
"Kabhi jin ki ghani chaon men dono beth jatey they
Wo sab ashjar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
"Mein jab bhi pochta hon apney barey men khayal un ka
To wo har bar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
"Baharai'n jab chaman ki mehfilon men muskurati hen
Gul_O_Gulzar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
"Hamara raz e ulfat aashkara ho gaya kese
K ab aghyar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
"Sar_E_Mehfil jo apna hal e dil kehtey nahi
Pas_e_Diwar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha"
________________________________
Mere Humsafar Teri Nazar Hain Meri Umar Bhar Ki Yeh Dolatain
"Mere hamsafar teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain
Mere shair meri sadaqatain meri dharkanain meri chahatain"
"Tujhay jazb karlon lahu main main ke firaq ka na rahe khatar
Teri dharkanon main utar don main yeh khwab khwab rifaqatain"
"Yeh ridaye jaan tujhay sonp don ke na dhoop tujhko kari lage
Tujhay dukh na dain mere jeete ji sar e dasht gham ke tamazatain"
"Meri subah teri sada se ho meri shaam teri zia se ho
Yehi tarz pursish e dil rakhain teri khushbuon ki sifaratain"
"Koi aisi bazm e bahar ho main jahan yaqeen dila sakon
K tera hi naam hai fasl e gul ke tujhi se hain ye karamatain"
"Tera qarz hain mere roz o shab mere paas apna to kuch nahen
Meri rooh meri mata e fan meri saans teri amanatain"
________________________________
Musafir To Bicharty Hein Rafaqat Kab Badalti Hai
"Musafir to bicharty hein,rafaqat kab badalti hay
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hay"
"Tum hee ko chahtey hein,tum hee say pyar karty hein
Ye hee barsoon say adat hay aur adat kab badalti hay"
"Tumhein jo yaad rakha hay ye hee apni ibadat hay
Jo pathar pay likhi jay, ibarat kab badalti hay"
"Kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hay
Yehi kanoon-e-fitrat hay aur fitrat kab badalti hay"
"Jo dil pay naqash kar jay aur aankon mein simat aye
Alaamat hay ye chahat ki aur chahat kab badalti hay"
"Usay chaha,usy pooja,ye hee toqeer hay apni
Humein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hay"
________________________________
Meri Mohabbat Ki Itni Si Kehani Hai
"Meri Mohabbat Ki Itni Si Kehani Hai
Tuti Hui Kashti Aur Ruka Hua Pani Hai"
"Ik Gulab Jo Unki Kitab Main Dum Tord Chuka
Aur Unko Yad He Nahi Yeh Kis Ki Nishani Hai"
________________________________
Hazaron Dukh Parein Sehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti
"Hazaron Dukh Parein Sehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti
Hai Tum Say Bus Yehi Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Tera Mere Har Khat Ko Parhna Aur Ro Dena
Mera Har Baar Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Saktii"
"Kiya Tha Hum Nay Campus Ki Nadi PAy Ik Haseen Wada
Bhale Humko Paray Marna,Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Jahan Main Jab Talak PancChi Chehakte Urtay Phirtay Hain
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Puranay Ehad Ko Jab Zinda Krnay Ka Khayal Aaye
Mujhe Bas Itna Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Woh Tera Hijr Ki Shab Phone Rakhe Say Zara Pehlay
Bohat Rotay Huye Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Agar Hum Hasraton Ki Qabr Mein Hi Dafan Ho Jayein
To Yeh Qutbon Pay Likh Dena, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Puraanay Raabton Ko Phir Naye Wade Ki Khwaish Hai
Zara Ik Baar To Kehna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
"Gaye Lamhaat Fursat K Kahan Say Dhoond Kr Laoon
Wo Pehron Haath Pay Likhna, Mohabbat Mar Nahi Sakti"
________________________________
"Ghar Maum Ka Pehleh To Banaaya Nahin Jata
Bann Jaaye To Suraj Sey Bachaaya Nahin Jata"
"Marzi Hai Samundar Ki Dubbo De Ya Bachaa Ley
Takkat Pe Koi Hukamm Chalaaya Nahin Jata"
"Mein Apney Gareeban Mein Agar Dekhoon To Mujh Sey
Ilzaam Kissi Par Bhi Lagaaya Nahin Jata"
"Mill Jaaye Agar Peissa To Uthaa Letey Hein Pull Bhi
Insaane Gira Hum Sey Uthaaya Nahin Jata"
"Sachayi Ko Yeh Jhoot Bhala Keissey Mitaaye
Phoonkon Sey To Khursheed Bhujaaya Nahin Jata"
"Abb Baat Nahin Aahoon Ki Cheekhon Ki Hai ae Dost
Abb Mujh Sey Mera Dard Chupaaya Nahin Jata"
________________________________
Read More..
No comments:
Post a Comment