Pages - Menu

Pages

Pages

Wednesday 17 July 2013

Mohabbat Poetry In Urdu













Mohabbat Paani Paani Hai Meri Paani Ki Basti Hai

"Mohabbat Paani Paani Hai Meri Paani Ki Basti Hai
Samandar Paar Krnay K Liye Kaghaz Ki Kashti Hai"

"Dilon Ki Khanaa Veerani Ka Youn Matam Nahi Krtay
Jahan Badal Nahi Hotey Wahan Rehmat Barasti Hai"

"Mohabbat K Khreedaran Miyaan Upar Say Aate Hain

Mohabbat Zindigi Day Kr Agar Mil Jaye Sasti Hai"
________________________________

Kisi Say Ab Etni Mohabbat Bhi Nahi Rakhni Hai

"Kisi Say AbEtni Mohabbat Bhi Nahi Rakhni Hai
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai"

J"is Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai"

"Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai"
________________________________

Zindagi Apni Hans K Basar Krna

"Suno! Zindagi Apni Hans 
K Basar Kerna 

Nafrato’n k Raasty Py 
Na Safar Kerna" 

"Suno! Wafa Na Ho Tou 
Mohabbat Adhuuri Hy 

Mohabbat K Safar Main 
Wafa Ki Fikar Kerna" 

"Suno! Zamana Jitna Bhi 
Ho Humdard Tumhara 

Zamany Ko Na 
Shareek-e-Safar Kerna" 

"Suno! Mohabbat Har Kisi 
Ka Muqaddar Nahi Hoti 

Milay Jo Mohabbat Tou 
Us ki Qadar Kerna"
________________________________

Faqt Pehluu Badalny Sy

"Faqt Pehluu Badalny Sy 
Rafaqat Kam Nhi Hoti" 

"Mgr Phir Bhi Na Milne Ki 
Aziyat Kam Nho Hoti" 

"Jahan Koi Bichar Jaye 
Wahin Per Uski Manzil Hy" 

"Kisi k Saath Chalny Sy 
Musafat Kam Nhi Hoti" 

"Humare Dushmano Me 
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn" 

"So Hum Jis Haal Main Bhi Hon 
Mohabbat KamNahi Hoti"
________________________________

Kaheen Ik Masoom Nazuk Si Larki

"Kaheen ik masoom nazuk si ladki 
Bohat khobsoort mager sanwali si" 

"Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker 
Kabhi neend main muskurati tu ho gi" 

"Usi neend main karwaten badel ker 
Serhaanay se takiyay girati tu ho gi" 

"Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker 
Usay man he man main lubhatay tu hongay" 

"Kaii saaz seenay ki khamoshion main 
Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay" 

"Woh besakhta dheemay dheemay suron main 
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi" 

"Mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi 
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi" 

"Qalam haath se choot jata tu ho ga 
Mager qalam phir say uthati tu ho gi" 

"Mera naam apni kitabon per likh ker 
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi" 

"Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi 
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga" 

"Kahiin k kahiin paoon pertay tu hongay 
Zameen pe dupata larakta tu ho ga" 

"Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi 
Kabhi raat ko din banati tu ho gi" 

"Kahheen ik masoom nazuk si ladki 
Bohat khoobsorat mager sanwali si"
________________________________

Mohabbat Humse Na Hogi

"Mohabbat Humse Na Hogi" 

"Suna hy Is Mohabt mE Bohat 
Nuksan hota hai 

Mehakta Jhoomta Jevan 
Ghamo k Naam hota hai" 

"Suna hai Chain Kho kr Wo Sehr 
Say Sham Rota hai 

Mohabbat Jo b krta hai Bohat 
Bdnaam hota hai" 

"Mohabbat Humse na hogi"

"Suna hai Is Mohabbat mE Kahin 
Bhi Dil nahi lgta 

Bina Uski Nigahon main Koi Mosam 
Nahi Jachta" 

"Khfa Jis se Mohabbat ho Wo Jevan 
Bhr nahi Hansta 

Bohat Anmol hai Jo Dil 
Ujjar kar Phir nahi basta" 

"Mohabbat Humse na ho gi"
________________________________

Zindagi Rukh Badal Gayi Hoti

"Zindagi rukh badal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"

"Zindagi ko galey laga leta
Har tamana pighal gayi hoti"

"Kash tu mujh ko mil gayi hoti
Khawab palkon pe mein sajaa leta"

"Tujh ko seeney se mein laga leta
Apne dil mein tujhe basaa leta"

"Meri kismat badal gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"

"Aahh nikle gi hont si loon ga
Jis tarah ho sake ga jee lon ga"

"Zeher bhi hanste hanste pee loon ga
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti"

"Kash tu mujh ko mil gayi hoti
Ab tere gham ko dil mein paloon ga"

"Haan judai ka zakham kha loon ga
Maut ko bhi galey laga loon ga"

"Maut bhi aa ke tall gayi hoti
Kash tu mujh ko mil gayi hoti"
________________________________

Dekha Palat K Us Nay K Hasrat Usay Bhi Thi

"Dekha palat k us ne k hasrat usay bhi thi
Hum jis pe mitt gae thay mohabbat usay bhi thi"

"Chupp ho gya tha dekh kar wo bhi idhr udhar
Dunya se meri tarha shikayat usay bhi thi

"Ye soch kar andhere galay se laga liye
Raaton ko jaagne ki aadat usay bhi thi"

"Wo ro dia tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din khula k meri zaroorat usay bhi thi"
________________________________

Mana Ke Tu Qatil Hai

"Mana Ke Tu Qatil Hai
Phir Bhi Rahat-E-Dil Hai"

"Zeher Ki Nadi Hai Tu
Phir Bhi Keemti Hai Tu"

"Jin Ke Hosle Kam Ho
Tera Saath Kya Denge"

"Zindagi Idhar To Aaa
Hum Tujhe Guzarenge"
________________________________

Kaha Us Nay Bharosa Dil Pr Etna Nahi Krtey

"Kaha usne bharosa dil par itna nae karte
Kaha mein ne k mohabat mein kabhi socha nae karte"

"Kaha usne bohat khush rang dunya k nazare hain
Kaha mein ne k jab tum ho tu kch dehka nae karte"

"Kaha usne mein tum se dur hun lekin tmara hun
Kaha mein ne k sapne dil ko behlaya nae karte"

"Kaha usne tmari chahat mein ruswayan hongi
Kaha mein ne shorat se gabraya nae karte"

"Kaha usne samjh jao samjh jao ae mere paga
Kaha mein ne k dewaney ko samjhaya nae karte"
________________________________

Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din

"Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din
Tumhare Dil Main UtrUnGa, Muhabbat Ki Sada Ban Kar"


"Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Bhetho U Khuda Ban Kar"


"Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chaand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zaya Ban Kar"


"Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tere Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye MehkeGa Heena Ban Ker"


"Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kese Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Taras Aaye Ga Kabhi Socho 'Mohsin' Ban Ker"
________________________________

Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay

"Teri Aankhon Man Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hay
Jisay Deewar Samjha Hai Woh Rasta Ho Bhi Sakta Hay"

"Zamana Ghour Say Dekhay Jisay Is Na-Khuda Samjha
Woh Is K Haath Ka Pathar Tarasha Ho Bhi Sakta Hay"

"Nazar Say Door Reh Kar Bhi Kisi Ki Soch Main Rehna
Kisi K Pass Rehnay Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hay"

"Woh Apni Sard Mehri Se Mujhey Had Main To Rakhta Hay
Mera Had Se Guzarnay Ka Irada Ho Bhi Sakta Ha"

"Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kon Si Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailay Mein Akela Ho Bhi Sakta Hay"

"Ye Seedhi Raah Par Chalna Kahan Se Seekh Aaye Ho
Ye Raasta Dosti Ka Hai Ye Terha Ho Bhi Sakta Hay"

"Mein Apnay Jism-o-Jaan Ko Sath Rehtay Daikh Kar Samjha
Nibhana Ho Jisay Mushkil Wo Rishta Ho Bhi Sakta Hay"

"Uchalta Thokrain Khata Huwa Paani Ka Aik Dhaara
Teray Dil Tak Pohnchnay Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hay"

"Nikal Kar Band Kamrey Se Zara Bazaar Main Aao
Ager Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hay"
________________________________

Haatheli Pr Jisay Likhti Mitati Ho

"Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai"

"Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai"

"Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai"

"Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai"

"Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai"

"Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai"
________________________________

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

"Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho"

"Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho"

"Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho"

"Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho"

"Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho"

"Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho"

"Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho"

"Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho"
________________________________

Sath Roti Thi Mery Sath Hasa Krti Thi

"Sath roti thi mery,sath hasa karti thi
Wo larki jo mery dil mein basa karti thi"

"Meri chahat ki talabgar is darja thi k wo
Musalay pe namazun mein dua karti thi"

"Ik lamhy ka bicharna bhi gira tha usko
Rotay huy mujhko khud sy juda karti thi"

"Mery dil mein raha karti thi dharkan ki tarah
Aur saaye ki tarah sath chala karti thi"

"Rog dil ko laga bethi anjany mein
Meri aaghosh mein marny ki dua karti thi"

"Baat kismat ki hai FARAZ Juda hogaye hum 
Warna wo tou mujhe taqdeer kaha karti thi"
________________________________

Tujy Dekhti Hein Ankhien To Yeh Bolti Hein Ankhen

"Tujy dekhti hen ankhien to yah bolti hen ankhen
Too jo kash Ashk hooti too kuch aur batt hoti"

"Tujy har khushi mein apni meri ankh dhondti ha
Yeh jo sab sey chup key roti to kuch aur bat hoti"

"Tujy samney bethata to yah ankh na jhapakti
Tujy takty taktey sOti too kuch aur bat hoti"

"Tary girtey ansoo ko jo mein hath sey metata
Phir to rotey rotey hansti to kuch aur bat hoti"

"Meri ankh jab bhi khulti teri deed ko tarasti
Bina ansoo key roti too kuch aur bat hoti"

"Mary dil ki har yah dharkan tujy yad ab b krti
Tarey naam sey dharakti to kuch aur bat hoti"

"Mary bahty ansoo ney tujy har dua mein manga
Bas dua qobol hoti too kuch aur baat hotii"

"Tera Youn bechar k jana mary hath ko chura kar
Too jo jatey jatey rukti to kuch aur bat hoti"

"Mujey eshq ney rulaya tujy eshq ney hansaya
Kabhi to bhi youn tarapti to kuch aur bat hoti"

"Thi Mohsin ki tamana k yah sans chaltey chaltey
Tarey bazuon pa rukti to kuch aur bat hooti"
________________________________

3 comments: