Tasveer-E-Dard
Nahin Minnatkash-e-Taab-e-Shaneedan Dastan Meri
Khamoshi Guftugu Hai, Be-Zubani Hai Zuban Meri
Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein
Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri
Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne
Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri
Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon Ne
Chaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri
Tapak Ae Shama Ansu Ban Ke Parwane Ki Ankhon Se
Sarapa Darun Hun, Hasrat Bhari Hai Dastan Meri
Elahi ! Phir Maza Kiya Hai Yahan Dunya Mein Rehne Ka
Hayat-e-Javidan Meri! Na Marg-e-Naghaan Meri !
Mera Rona Nahi, Rona Hai Ye Sare Gulistan Ka
Woh Gul Hon Main, Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri
“Dareen Hasrat Sra Umarist Afsoon-e-Jaras Daram
Za-Faiz-e-Dil Tapeedan Ha Kharosh-e-Be Nafas Daram”
Riyadh-e-Dehr Mein Na-Ashnaye Bazm-e-Ishrat Hon
Khushi Roti Hai Jis Ko, Main Woh Mehroom-e-Mussarat Hun
Meri Bigri Huwi Taqdeer Ko Roti Hai Goyai
Main Harf-e-Zair-e-Lab, Sharminda’ay Gosh-e-Sama’at Hun
Preshan Hun Main Musht-e-Khaak, Lekin Kuch Nahin Khulta
Sikandar Hun Ke Aaeena Hun Ya Gard-e-Kadoorat Hun
Ye Sub Kuch Hai Magar Hasti Meri Maqsad Hai Qudrat Ka
Sarapa Noor Ho Jis Ki Haqiqat, Main Woh Zulmat Hun
Khazeena Hun, Chupaya Mujh Ko Musht-e-Khak-e-Sehra Ne
Kisi Ko Kya Khabar Hai Main Kahan Hun Kis Ki Doulat Hun!
Nazar Meri Nahin Mamnoon-e-Sair-e-Arsa-e-Hasti
Main Woh Chotti Si Dunya Hon Ke Ap Apni Walayat Hon
Na Sehba Hun Na Saqi Hon, Na Masti Hon Na Pemana
Main Iss Mai Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun
Mujhe Raaz-e-Do Alam Dil Ka Aaeena Dikhata Hai
Wohi Kehta Hun Jo Kuch Samne Aankhon Ke Ata Hai
Atta Aesa Byan Mujh Ko Huwa Rangeen Byabanon Mein
Ke Baam-e-Arsh Ke Taa’ir Hain Mere Hum Zubanon Mein
Asar Ye Bhi Hai Ek Mere Junoon-e-Fitna Saman Ka
Mera Aeena’ay Dil Hai Qaza Ke Raaz Danon Mein
Rulata Hai Tera Nazara Ae Hinduston! Mujh Ko
Ke Ibrat Khaiz Hai Tera Fasana Sub Fasanon Mein
Diya Rona Mujhe Aesa Ke Sub Kuch De Diya Goya
Likha Kalk-e-Azal Ne Mujh Ko Tere Noha Khawanon Mein
Nishan-e-Barg-e-Gul Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen !
Teri Qismat Se Razm Arayan Hain Baghbanon Mein
Chupa Kar Asteen Mein Bijliyan Rakhi Hain Gardoon Ne
Anadil Bagh Ke Ghafil Na Baithen Ashiyon Mein
Sun Ae Ghafil Sada Meri, Ye Aesi Cheez Hai Jis Ko
Wazifa Jaan Kar Perhte Hain Taair Bostanon Mein
Watan Ki Fikar Kar Nadan! Musibat Ane Wali Hai
Teri Barbadiyon Ke Mashware Hain Asmanon Mein
Zara Dekh Uss Ko Jo Kuch Ho Raha Hai, Hone Wala Hai
Dhara Kya Hai Bhala Ehd-e-Kuhan Ki Dastnon Mein
Ye Khamoshi Kahan Tak? Lazzat-e-Faryad Paida Kar
Zameen Par Tu Ho Aur Teri Sada Ho Asmanon Mein
Na Samjho Ge To Mit Jao Ge Ae Hindustanon Walo !
Tumhari Dastan Tak Bhi Na Ho Gi Daston Mein
Ye Aaeen-e-Qudrat Hai, Yehi Asloob-e-Fitrat Hai
Jo Hai Rah-e-Amal Mein Gaamzan, Mehboob-e-Fitrat Hai
Hawaida Aaj Apne Zakhm-e-Pinhan Kar Ke Chorun Ga
Lahoo Ro Ro Ke Mehfil Ko Gulistan Kar Ke Chorun Ga
Jalana Hai Mujhe Har Shama-e-Dil Ko Souz-e-Pinhan Se
Teri Tareek Raaton Mein Charaghan Kar Ke Chorun Ga
Magar Ghunchon Ki Soorat Hon Dil-e-Dard Ashna Paida
Chaman Mein Musht-e-Khak Apni Preshan Kar Ke Chorun Ga
Parona Aik Hi Tasbeeh Mein In Bikhare Danon Ko
Jo Muskhil Hai, To Iss Mushkil Ki Asan Kar Ke Chorun Ga
Mujhe Ae Hum Nasheen Rehne De Shughal-e-Seena Kawi Mein
Ke Main Dagh-e-Mohabbat Ko Numayan Kar Ke Chorun Ga
Dikha Doon Ga Jahan Ko Jo Meri Ankhon Ne Dekha Hai
Tujhe Bhi Soorat-e-Aaeena Hairan Kar Ke Chorun Ga
Jo Hai Pardon Mein Pinhan, Chashm-e-Beena Dekh Leti Hai
Zamane Ki Tabiyat Ka Taqaza Dekh Leti Hai
Kiya Riffat Ki Lazzat Se Na Dil Ko Ashna Tu Ne
Guzri Umer Pasti Mein Misal-e-Naqsh-e-Pa Tu Ne
Raha Dil Basta-e-Mehfil, Magar Apni Nigahon Ko
Kiya Bairoon-e-Mehfil Se Na Hairat Ashna Tu Ne
Fida Karta Raha Dil Ko Haseenon Ki Ada’on Par
Magar Dekhi Na Iss Aaeene Mein Apni Ada Tu Ne
Taassub Chorh Nadan! Dehr Ke Aaeena Khane Mein
Ye Tasveerain Hain Teri Jin Ko Samjha Hai Bura Tu Ne
Sarapa Nala-e-Baidad-e-Souz-e-Zindagi Ho Ja
Sapand Aasa Girah Mein Bandh Rakhi Hai Sada Tu Ne
Safa’ay Dil Ko Kiya Araish-e-Rang-e-Taaluq Se
Kaf-e-Aaeena Par Baandhi Hai O Nadan Hina Tu Ne
Zameen Kya, Asman Bhi Teri Kaj Beeni Pe Rota Hai
Ghazab Hai Satar-e-Quran Ko Chalipa Kar Diya Tu Ne !
Zuban Se Gar Kiya Touheed Ka Dawa To Kya Hasil !
Banya Hai Butt-e-Pindar Ko Apna Khuda Tu Ne
Kunwain Mein Tu Ne Yousaf Ko Jo Dekha Bhi To Kya Dejha
Are Ghafil! Jo Mutliq Tha Muqayyad Kar Diya Tu Ne
Hawas Bala’ay Manbar Hai Tujhe Rangeen Byani Ki
Nasihat Bhi Teri Soorat Hai, Ek Afsana Khawani Ki
Dikha Woh Husn-e-Alam Souz Apni Chashme-Purnam Ko
Jo Tarpata Hai Parwane Ko, Rulata Hai Shabnam Ko
Nira Nazara Hi Ae Bu-Al-Hos Maqsad Nahin Iss Ka
Banaya Hai Kissi Ne Kuch Samajh Kar Chashme-e-Adam Ko
Agar Dekha Bhi Uss Ne Sare Alam Ko To Kya Dekha
Nazar Ayi Na Kuch Apni Haqiqat Jaam Se Jam Ko
Shajar Hai Firqa Arayi, Taassuf Hai Samar Iss Ka
Ye Woh Phal Hai Ke Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ko
Na Utha Jazba-e-Khursheed Se Ek Barg-e-Gul Tak Bhi
Ye Riffat Ki Tamana Hai Ke Le Urti Hai Shabnam Ko
Phira Karte Nahi Majrooh-e-Ulfat Fikar-e-Darman Mein
Ye Zakhami Aap Kar Lete Hain Paida Apne Marham Ko
Mohabbat Ke Sharar Se Dil Sarapa Noor Hota Hai
Zara Se Beej Se Paida Riyaaz-e-Toor Hota Hai
Dawa Har Dukh Ki Hai Majrooh-e-Taegh-e-Arzoo Rehna
Elaj-e-Zakham Hai Azad-e-Ehsaan-e-Rafoo Rehna
Sharab-e-Bekhudi Se Ta Falak Parwaz Ha Meri
Shikast-e-Rang Se Sikha Hai Main Ne Ban Ke Boo Rehna
Thame Kya Dida’ay Giryan Watan Ki Noha Khawani Mein
Ibadat Chashm-e-Shayar Ki Hai Har Dam Ba-Wazoo Rehna
Banayen Kya Samajh Kar Shakh-e-Gul Par Ashiyan Apna
Chaman Mein Aah! Kya Rehna Jo Ho Be Abroo Rehna
Jo Tu Samjhe To Azadi Hai Poshida Mohabat Mein
Ghulami Hai Aseer-e-Imtiaz-e-Mawatu Rehna
Ye Astagna Hai, Pani Mein Nigun Rakhta Hai Saghar Ko
Tujhe Bhi Chahye Misl-e-Habab-e-Aabju Rehna
Na Reh Apnon Se Beparwa, Issi Mein Khair Hai Teri
Agar Manzoor Hai Dunya Mein Ao Begana Khor! Rehna
Sharab-e-Rooh Parwar Hai Mohabbat Nu-e-Insan Ki
Shikaya Iss Ne Mujh Ko Mast Bejaam-o-Saboo Rehna
Mohabbat Hi Se Payi Hai Shafa Bimaar Qoumon Ne
Kiya Hai Apne Bakht-e-Khufta Ko Baidar Qoumon Ne
Byaban-e-Mohabbat Dasht-e-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai
Ye Wairana Qafas Bhi, Ashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai
Mohabbat Hi Woh Manzil Hai Ke Manzil Bhi Hai, Sehra Bhi
Jaras Bhi, Karwan Bhi, Rahbar Bhi, Rahzan Bhi Hai
Marz Kehte Hain Sub Iss Ko, Ye Hai Lekin Marz Aesa
Chupa Jis Mein Ilaj-e-Gardish-e-Charakh-e-Kuhan Bhi Hai
Jalana Dil Ka Hai Goya Sarapa Noor Ho Jana
Ye Parwana Jo Souzan Ho To Shama-e-Anjuman Bhi Hai
Wohi Ek Husn Hai, Lekin Nazar Ata Hai Har Shay Mein
Ye Sheerin Bhi Hai Goya, Bestoon Bhi, Kohkan Bhi Hai
Ujaarha Hai Tameez-e-Millat-o-Aaeen Ne Qoumon Ko
Mere Ahl-e-Watan Ke Dil Mein Kuch Fikar-e-Watan Bhi Hai?
Sakoot Aamoz Tool-e-Dastan-e-Dard Hai Warna
Zuban Bhi Hai Humare Munh Mein Aur Taab-e-Sukhan Bhi Hai
Nameegar Deed Ko The Rishta’ay Ma’ani Raha Kardam
Hikayat-e-Bood Be Payan, Bakhamoshi Ada Kardam_____!!
Read More..
No comments:
Post a Comment