Shama Aur Shayar
Shayar
Dosh Mee Gutam Ba Shama-e-Manzil-e-Weeran-e-Khowesh
Gaisuay Tu Azpar-e-Parwana Dar Dashana Ae
Dar Jahan Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehrastam
Ne Naseeb-e-Mehfile, Ne Qismat-e-Kashana Ae
Madd Te Manind-e-Tou Man Hum Nafas Mee Soukhtam
Dar Tawaf-e-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae
Mee Tapad Sad Jalwa-e-Dar Jaan-e-Amal Far Sood-e-Mann
Bar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-e-Diwana Ae
Az Kuja Aen Aatish-e-Alam Faroz Andokhti
Kirmak-e-Be Maya Ra Souz-e-Kaleem Amoskhti___!!
Shama
Mujh Ko Mouj-e-Nafas Deti Hai Paigham-e-Ajal
Lab Issi Mouj-e-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera
Mein To Jalti Hun Ke Hai Muzmir Meri Fitrat Mein Souz
Tu Firouzan Hai Ke Parwanon Ko Ho Soda Tera
Girya Saman Main Ke Mere Dil Mein Hai Toofan-e-Ashak
Shabnam Afshan Tu Ke Bazm-e-Gul Mein Ho Charcha Tera
Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri Subah
Hai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera
Yun To Roshan Hai Magar Souz-e-Darun Rakhta Nahin
Shaola Hai Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehra Tera
Soch To Dil Mein, Laqab Saqi Ka Hai Zaiba Tujhe?
Anjuman Pyasi Hai Aur Pemana Be-Sehba Tera!
Aur Hai Tera Shua’ar, Aaeene-e-Millat Aur Hai
Zisht Ruyi Se Teri Aaeena Hai Ruswa Tera
Kaaba Pehlu Mein Hai Aur Soudai-e-Butkhana Hai
Kis Qadar Shourida Sar Hai Shauq-e-Be-Parwa Tera
Qais Paida Hon Teri Mehfil Mein, Ye Mumkin Nahin
Tang Hai Sehra Tera, Mehmil Hai Be-Laila Tera
Ae Dur-e-Tabinda, Ae Parwardah-e-Aghosh-e-Mouj!
Lazzat-e-Toofan Se Hai Na-Ashna Darya Tera
Ab Nawa Paira Hai Kya, Gulshan Huwa Barham Tera
Be-Mehel Tera Taranum, Naghma Be-Mousam Tera
Tha Jinhain Zauq-e-Tamasha, Woh To Rukhsat Ho Gye
Le Ke Ab Tu Wada-e-Didar-e-Aam Aya To Kya
Anjuman Se Woh Purane Shaola Aasham Uth Gye
Saqiya! Mehfil Mein Tu Aatish Bajaam Aaya To Kya
Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho Chukki
Phool Ko Baad-e-Bahari Ka Payam Aya To Kya
Akhir-e-Shab Deeb Ke Qabil Thi Bismil Ki Tarap
Subahdam Koi Agar Balaye Baam Aya To Kya
Bujh Gya Woh Shaola Jo Maqsood-e-Har Parwana Tha
Ab Koi Soudai-e-Souz-e-Tamam Aya To Kya
Phool Be-Parwa Hain, Tu Garam-e-Nawa Ho Ya Na Ho
Karwan Be-Hiss Hai, Awaz-e-Dra Ho Ya Na Ho
Shama-e-Mehfil Ho Ke Tu Jab Souz Se Khali Raha
Tere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe
Rishta-e-Ulfat Mein Jab In Ko Pero Sakta Tha Tu
Phir Preshan Kyun Teri Tasbeeh Ke Dane Rahe
Shauq-e-Beparwa Gya, Fikr-e-Falak Pema Gya
Teri Mehfil Main Na Diwane Na Farzane Rahe
Woh Jigar Souzi Nahin, Wo Shaola Ashaami Nahin
Faida Phir Kya Jo Gird-e-Shama Parwane Rahe
Khair, Tu Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga Kise
Ab Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe
Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Huwi Meena Usse
Kal Talak Gardish Mein Jis Saqi Ke Paimane Rahe
Aaj Hain Khamosh Woh Dasht-e-Junoon Parwar Jahan
Raqs Mein Laila Rahi, Laila Ke Diwane Rahe
Waye Nakami! Mataa-e-Karwan Jata Raha
Karwan Ke Dil Se Ehsas-e-Ziyan Jata Raha
Jin Ke Hangamon Se The Aabad Weerane Kabhi
Sheher Un Ke Mit Gaye Abadiyan Ban Ho Gaeen
Siwat-e-Touheed Qayam Jin Namazon Se Huwi
Woh Namazain Hund Mein Nazar-e-Barhman Ho Gaeen
Dehr Mein Aysh-e-Dawam Aaeen Ki Pabandi Se Ha
Mouj Ko Azadiyan Saman-e-Shewan Ho Gaeen
Khud Tajalli Ko Tamanna Jin Ke Nazaron Ki Thi
Woh Nigahain Na-Umeed-e-Noor-e-Ayman Ho Gayen
Urti Phirti Theen Hazaron Bulbulain Gulzar Mein
Dil Mein Kya Ayi Ke Paband-e-Nasheman Ho Gaeen
Wusaat-e-Gardoon Mein Thi Un Ki Tarap Nazara Souz
Bijliyan Aasuda-e-Damaan-e-Khirman Ho Gaeen
Didah-e-Khunbar Ho Minnat Kash-e-Gulzar Kyun
Ashak-e-Peham Se Nigahain Gul Ba Daman Ho Gaeen
Sham-e-Gham Lekin Khabar Detai Hai Subah-e-Eid Ki
Zulmat-e-Shab Mein Nazar Ayi Kiran Umeed Ki
Muzda Ae Paimana Bardaar-e-Khumistan-e-Hijaz!
Baad Muddat Ke Tere Rindon Ko Phir Aaya Hai Hosh
Naqad-e-Khuddari Bahaye Badah-e-Aghyar Thi
Phir Dukan Teri Hai Labraiz-e-Sadaye Nau Nosh
Tootne Ko Hai Talism-e-Mah Seemayaan-e-Hind
Phir Sulema Ko Nazar Deti Hai Pegham-e-Kharosh
Phir Ye Ghogha Hai Ke La Saqi Sharab-e-Khana Saaz
Dil Ke Hangame Mai-e-Maghrib Ne Kar Dale Khamosh
Naghma Paira Ho Ke Ye Hangam-e-Khamoshi Nahin
Hai Sehar Ka Asman Khursheed Se Meena Badosh
Dar Gham-e-Deegar Basouz-o-Deegran Rahum Basouz
Guftmat Roshan Hadisay Gar Touwani Daar Gosh!
Keh Gye Hain Shayari Juzweest Az Peghambari
Haan Suna De Mehfil-e-Millat Ko Pegham-e-Sarosh
Ankh Ko Baidar Kar De Wadaa-e-Deedar Se
Zinda Kar De Dil Ko Souz-e-Jouhar-e-Guftar Se
Rahzan-e-Himmat Huwa Zauq-e-Tan Asani Tera
Beher Tha Sehra Mein Tu, Gulshan Mein Misl-e-Joo Huwa
Apni Asliyat Pe Qayam Tha To Jamiat Bhi Thi
Chor Kar Gul Ko Preshan Karwaan-e-Boo Huwa
Zindagi Qatre Ki Sikhlati Hai Asrar-e-Hayat
Ye Kabhi Gohar, Kabhi Ansu Huwa
Phir Kahin Se Iss Ko Paida Kar, Bari Doulat Hai Ye
Zindagi Kaisi Jo Dil Begana-e-Pehlu Huwa
Aabru Baqi Teri Millat Ki Jamiat Se Thi
Jab Ye Jamiat Gyi, Dunya Mein Ruswa Tu Huwa
Fard Qayam Rabt-e-Millat Se Hai, Tanha Kuch Nahin
Mouj Hai Darya Mein Aur Bairun-e-Darya Kuch Nahin
Parda-e-Dil Mein Mohabbat Ko Abhi Mastoor Rakh
Yani Apni Mai Ko Ruswa Soorat-e-Meena Na Kar
Khema-Zan Ho Wadi-e-Seena Mein Manind-e-Kaleem
Shaola-e-Tehqeeq Ko Gharatgar-e-Kashana Kar
Shama Ko Bhi Ho Zara Maloom Anjam-e-Sitam
Sarf-e-Tameer-e-Sehar Khakstar-e-Parwana Kar
Tu Agar Khuddar Hai, Minnat Kash-e-Saqi Na Ho
Ayn Darya Mein Habab Aasa Nigoon Pema Na Kar
Kaifiat Baqi Purane Koh-o-Sehra Mein Nahin
Hai Junoon Tera Naya, Paida Naya Weerana Kar
Khak Mein Tujh Ko Muqaddar Ne Milya Hai Agar
To Asa Uftaad Se Paida Misal-e-Dana Kar
Haan, Issi Shakh-e-Kuhan Par Phir Bana Le Ashiyan
Ahl-e-Gulshan Ko Shaheed-e-Naghma-e-Mastana Kar
Iss Chaman Mein Pairwe Bulbul Ho Ya Talmeez-e-Gul
Ya Sarapa Nala Ban Ja Ya Nawa Paida Na Kar
Kyun Chaman Mein Be-Sada Misl-e-Ram-e-Shabnam Hai Tu
Lab Kusha Ho Ja, Surood-e-Barbat-e-Alam Hai Tu
Ashna Apni Haqiqat Se Ho Ae Dehqan Zara
Dana Tu, Khaiti Bhi Tu, Baran Bhi Tu, Hasil Bhi Tu
Aah, Kis Ki Justujoo Aawara Rakhti Hai Tujhe
Rah Tu, Rahru Bhi Tu, Rahbar Bhi Tu, Manzil Bhi Tu
Kanpta Hai Dil Tera Andesha-e-Toofan Se Kya
Na-Khuda Tu, Beher Tu, Kashti Bhi Tu, Sahil Bhi Tu
Dekh Aa Kar Kaucha-e-Chaak-e-Greban Mein Kabhi
Qais Tu, Laila Bhi Tu, Sehra Bhi Tu, Mehmil Bhi Tu
Waye Nadani Ke Tu Mouhtaj-e-Saqi Ho Gya
Mai Bhi Tu, Meena Bhi Tu, Saqi Bhi Tu, Mehfil Bhi Tu
Shaola Ban Kar Phoonk De Khashak-e-Ghair Allah Ko
Khof-e-Batil Kya Ke Hai Gharatgar-e-Batil Bhi Tu
Be-Khabar! Tu Jouhar-e-Aaeena-e-Ayyam Hai
Tu Zamane Mein Khuda Ka Akhri Pegham Hai
Apni Asliyat Se Ho Agah Ae Ghafil Ke Tu
Qatra Hai, Lekin Misal-e-Behr Be-Payan Bhi Hai
Kyun Giraftar-e-Tilism-e-Haich Maqdari Hai Tu
Dekh To Poushida Tujh Mein Shoukat-e-Toofan Bhi Hai
Seena Hai Tera Amen Uss Ke Payam-e-Naaz Ka
Jo Nazam-e-Dehr Mein Paida Bhi Hai, Pinhan Bhi Hai
Haft Kishor Jis Se Ho Taskheer Be-Taigh-o-Tafnang
Tu Agar Samjhe To Tere Paas Woh Saman Bhi Hai
Ab Talak Shahid Hai Jis Par Koh-e-Faran Ka Sukoot
Ae Taghafil Paisha! Tujh Ko Yaad Woh Paiman Bhi Hai?
Tu Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qinaat Kar Gya
Warna Gulshan Mein Alaj-e-Tangi-e-Damaan Bhi Hai
Dil Ki Kaifiat Hai Paida Parda-e-Taqreer Mein
Kiswat-e-Meena Mein Mai Mastoor Bhi, Uryan Bhi Hai
Phoonk Dala Hai Meri Aatish-Nawayi Ne Mujhe
Aur Meri Zindagaani Ka Yehi Samaan Bhi Hai
Raaz Iss Aatish Nawai Ka Mere Seene Mein Dekh
Jalwa-e-Taqdeer Mere Dil Ke Aaeene Mein Dekh!
Aasman Ho Ga Sehar Ke Noor Se Aaeena Posh
Aur Zulmat Raat Ki Seemab Pa Ho Jaye Gi
Iss Qadar Ho Gi Tarannum Aafreen Baad-e-Bahar
Nukhat-e-Khawabeeda Ghunche Ki Nawa Ho Jaye Gi
Aa Milain Ge Seena Chakaan-e-Chaman Se Seena Chaak
Bazm-e-Gul Ki Hum-Nafas Baad-e-Saba Ho Jaye Gi
Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-o-Saaz
Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi
Dekh Lo Ge Sitwat-e-Raftar-e-Darya Ka Ma’al
Mouj-e-Muztar Hi Isse Zanjeer Pa Ho Jaye Gi
Phir Dilon Ko Yaad Aa Jaye Ga Paigham-e-Sujood
Phir Jabeen Khak-e-Haram Se Aashna Ho Jaye Gi
Nala-e-Sayyad Se Hon Ge Nawa Saman-e-Tayoor
Khoon-e-Gulcheen Se Kali Rangeen Qaba Ho Jaye Gi
Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahin
Mehw-e-Hairat Hun Ke Dunya Kya Se Kya Ho Jaye Gi
Shab Gurezan Ho Gi Akhir Jalwa-e-Khursheed Se
Ye Chaman Maamoor Ho Ga Naghma-e-Touheed Se________!!
Read More..
No comments:
Post a Comment