Pages - Menu

Pages

Pages

Wednesday 5 February 2014

Abbas Tabish Poetry




















Meri Tanhayi Barhatey Hain Chaley Jatey Hain

Meri tanhai barhate hain chale jate hain
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai
Aap aate hain rulate hain chale jate hain

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan
Aap to aag lagate hain chale jate hain

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain___!!
_____________________________

Pani Aankh Mein Bhar Kr Laya Ja Sakta Hai

Pani ankh mein bhar ker laya jasakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat
Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien
Is chashmey mein zeher milaya jasakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao
Esa zakham to dil per khaya jasakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish
Is mein apna aap chupaya jasakta hai_____!!
_____________________________

Ye Un Dino Ka Zikar Hai Ik Badsha Tha

Ye Un Dino Ka Zikar Hai Ik Badsha Tha
Jis Ki Nazar Main Zindgi Karna Gunah Tha

Shoq E Marjat Ki Waha Urth Rahi Tha Khak
Kashti Jali Hoi Thi Kinara Sayah Tha

Main Us K Sath Phirta Tha Kasre Qaseem Main
Is Doti Ka Ik Kabotar Gawa Tha

Betha Tha Is Pay Chand Kisi Cheel Ki Taraha
Kitna Land Shahar Main Nakhle Gunah Tha

Totay Paro Ka Taj Meri Yadgar Hai
At Kaj Kala Main Bhi Kabhi Kaj Kala Tha

Ahlay Hunar Ko Meri Raror Thi Jin Dino
Takiya Faqeer Ka Meri Ama Jaga Main Tha____!!
_____________________________

Ye Baran Saal Pahlay Ki Kahani Hai

Ye Baran Saal Pahlay Ki Kahani Hai
K Jab Sarso Ki Gandal Tha Badan Mera
Hawa Muj Ko Khilati Thi
Mujay Charkhay Ki Khokhar Se Hi Gahri Nind Ati Thi
Dahan Main Sheer Madar Ki Mahak K Akhri Din Thay
Jawani Jhil Milati Thi
Meri Ankhon Meray Hatho Meray Pero Main Bosay Thay
Meri Maan Muskurati Thi
Ye Baran Saal Pahlay Ki Kahani Hai
Main Apnay Ap Main Rahta Tha Jese Phol Main Khushbu
Mujay Ik Naam Ghar Ki Trah Mitha Tha Ab Bhi Hai
Is Ki Shakrain Chub Main
Kahani Lo Barati Thi
Ye Baran Saal Pahlay Ki Kahani Hai
Main Hatho Se Gira Harfe Dua Ban Kar
Magar Boso Bhari Shafqat Tasali Dhond Lati Thi
Na Main Sardo Ki Gandal Tha
Na Muj Ko Nind Ati Thi
Ajab C Bay Sbasi Thi
Phir Ik Din Bay Gari Muj Ko Meray Ghar Se Nikal I
K Jesay Ankh Se Anso Nikal Ker Phir Nahi Ata
Tujay To Sab Khabar Ho Gi
Mujay Malk Juno Miras Main Day Ker Koi Wapas Plat Aya
Wahan Ki Jagti Ratain
Ser Khama Utarti Nind Ki Khatain
Wo Daftar Main Paray Pather Kleb Se Phot Ti Batain
Na Main Sardo Ki Gandal Tha
Na Ab Charkhay Ki Khokhar Thi K Muj Ko Nind A Jati
Pari Muj Ko Dra Jati
Ye Bara Roz Pahalay Ki Kahani Hai
Mujay Gari Ne Station Pay La Phaynka
To Mera Shahar Hi Gum Tha
Meri Pahchan He Gum Thi
Meray Dukh Se Bhara Tanga Gaya Jab Raylay Bazar Ki Janib
Mera Ghar Bhi Meray Bachpan Ki Sorat
Gard Guzran Main Kahin Gum Tha
Phir Ik Shahtot Ki Chao Se Pocha Apnay Baray Main
Kisi Saya Kay Nakshay Ki Sorat Khul Gaya Muj Per
Na Is Main Mera Bachpan Tha
Na Meray Khana Zado Ki Nishani Thi
Phir Ik Dokan Pay Lat Ki Hoi Tasveer Se Pocha
Tujay To Sub Khabar Hogi
Yayan Abbas Tabish Naam Ka Aik Shakas Rahata Tha
Kahan Hai Wo
Na Ba Sarso Ki Gandal
Na Wo Charkhay Ki Khokhar
Magar Ab Band Darwazay Pay Dundlay Naam Ki Takhti
Meray Gar Ki Nishani Hai
Ye Meray Aaj K Din Ki Kahani Hai_____!!
_____________________________

Ye Ajab Sayete Rukhsat Hai K Dar Lagta Hai

Ye Ajab Sayete Rukhsat Hai K Dar Lagta Hai
Shahar Ka Shahar Mujay Rakhtay Safar Lagta Hai

Hum Ko Dil Ney Nahi Halat Ne Nazdik Kiya
Dhoop Main Dor Se Her Shakhs Shajar Lagata Hai

Jis Pay Chaltay Hoye Socha Tha K Lout Aon Ga
Ab Wo Rasta Bhi Mujay Shahary Badr Lagta Hai

Muj Se To Dil Bhi Muhabat Main Nahi Kharch Hoya
Tum To Kehtay Thay K Is Kam Main Gar Lagta Hai

Waqat Lafzo Se Banai Hoi Chadar Jesa
Orh Leta Hun To Sub Khawab Hunar Lagta Hai

Aik Mudat Se Meri Maan Nahi Soi Tabish
Maine Ik Bar Kaha Tha Mujay Dar Lagta Hai_______!!
_____________________________

Yar K Ghum Ko Ajab Nakash Giri Ati Hai

Yar K Ghum Ko Ajab Nakash Giri Ati Hai
Por Por Ankh Ni Manid Phari Ati Hai

Bay Taluq Na Hamain Jan K Hum Jantain Hain
Kitna Kuch Jaan K Ye Bay Khabri Ati Hai

Is Qadar Gundna Perti Hai Laho Se Mati
Hath Ghul Jatain Hain To Koza Giri Ati Hai

Kitna Rakhtay Hai Wo Is Shahary Khamosha Ka Khayal
Roz Ik Nao Gulabo Se Bhari Ati Hai

Zindgi Kese Bus Ho Gai K Hum Ko Tabish
Sabar Ata Hai Na Ashfta Sari Ati Hai_______!!
_____________________________

Wo Bholta Hai Na Dil Main Utarta Hai Mujay

Wo Bholta Hai Na Dil Main Utarta Hai Mujay
Hamaisha Mar Muhabat Ki Marta Hai Mujay

Main Us Ka Lamha Mujod Hun Magar Wo Shakhas
Fazol Waqat Smaj Ker Guzarta Hai Mujay

Bazahar Aysa Nahi Pairh Is Hawayli Ka
Hawa Chalay To Buhat Phol Marta Hai Mujay

Main Is K Hath Main Jata Hon Malo Zer Ki Trah
Wo Rooz Qarz Smaj Ker Utarta Hai Mujay_____!!
_____________________________

Tere Gumnam Ager Naam Kmanay Lag Jayen

Tere Gumnam Ager Naam Kmanay Lag Jayen
Sharf O Shewa Tasleem Thikanay Lag Jayen

Jis Trah Noor Se Payda Hain Jahane Ishiya
Ik Nazar Dal Ker Hum Bhi Nazar Anay Lag Jayen

Ye Bhi Mumkin Hai Koi Roknay Wala He Na Ho
Ye Bhi Mumkin Hai Yaha Muj Ko Zamanay Lag Jayen

Dekh Ay Husney Frawan Ye Bhi Mumkin Hai
Mera Del Tak Na Lagay Tere Khazanay Lag Jayen

Jin K Honay Se Hai Mashrot Hamara Hona
Apnay Honay Ka Na Ahsas Dilanay Lag Jayen

To Muhabat Ki Gharz Lamha Mojood Main Rakh
Tere Zimay Na Mere Dard Poranay Lag Jayen

Ye Muhabat Na Kahen Rad E Amal Ban Jayen
Hum Tere Bad Na Koi Zulm Dhanay Lag Jayen

Kar E Duniya Bhi Ajab Hai K Meray Ghar Walay
Din Niklatay He Meri Khabar Manany Lag Jayen

Pass He Doob Rahi Hai Koi Kashti Tabish
Khod Nahi Bachti Ager Is Ko Bachanay Lg Jayen____!!
_____________________________

Shiksta Khawab O Shiksta Pa Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna

Shiksta Khawab O Shiksta Pa Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna
Main Akhri Jang Lar Raha Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna

Hoyen Pegham Day Gai Hain K Muj Ko Driya Bula Raha Hai
Main Baat Sari Smjh Gaya Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna

Na Janay Kofay Ki Kaya Khabar Ho Na Janay Kis Dasht Main Basar Ho
Main Phir Madinay Se Ja Raha Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna

Mujay Aziz Zany Man! Muhabat Ko Koi B Tajurba Nahi
Main Is Safar Main Naya Naya Hon Mujay Doan Main Yad Rakhna

Mujay Ab Kisi Se Bhali Ki Koi Tawqa Nahi Hai Tabish
Main Adt Tan Sub Se Kah Raha Mujay Doyan Main Yad Rakhna____!!

No comments:

Post a Comment