"Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun"
"Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun"
"Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun"
"Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun"
"Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun"
"Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun"
_______________________________________
Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
"Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha"
"Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha"
"Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha"
"Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha"
_______________________________________
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyon Bujh Gaya Awaragi
"Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyon Bujh Gaya Awaragi
Is Dasht Main Ik Shahar Tha Wo Kya Hua Awaragi"
"Kal Shab Mujhe Be-Shakl Ki Awaz Ne Chaonka Diya
Main Ne Kaha Tu Kaun Jai Us Ne Kaha Awaragi"
"Ik Tu K Sadiyon Se Mere Hamrah Bhi Hamraz Bhi
Ik Main K Tere Naam Se Na Ashna Awaragi"
"Ye Dard Ki Tanhaiyan Ye Dasht Ka Viran Safar
Ham Log To Ukta Gaye Apni Suna Awaragi"
"Ik Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Ghum Ka Sabab
Sehra Ki Bhegi Rait Par Main Ne Likha Awaragi"
"Le Ab To Dasht-E-Shab Ki Sari Wusa'atein Sone Lagiiin
Ab Jagna Hoga Hamain Kab Tak Bata Awaragi"
"Kal Rat Tanha Chand Ko Dekha Tha Main Ne Khwab Main
'Mohsin' Mujhe Raas Aye Gi Shayad Sada Awaragi"
_______________________________________
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
"In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
Jachati Hai Bala Ki Verani"
"Akas Dar Akas Dasti Rehti Hai
Be Sada Ayino Ki Herani"
"Saray Chehro Kay Rang Phekay Hein
Sari Ankhain Ujhar Lagti Hain"
"Saray Din Ahato Ki Ginti Mein
Sari Ratain Paharh Lagti Hein"
"Bujhti Jati Hein Yaad Ki Shamain
Apni Palko Se Anson Ki Nagain"
"Totatay Hein Tu Dil Nahi Chunta
Jese Shakho Se Zard Ro Patay"
"Totatay Hein Koi Nahi Sunta
Tu Kaha Hai Kaha Nahi Hai Tu?"
"Bhol Ja Yaad Kiyn Nahi Ata?
Hum Se Kaya Pochna Mizaj E Hayat?"
"Hum Tu Bus Ek Dareda Daman Hein
Bhar Kay Khasatar E Diyar E Wafa"
"Lay Kay Sadio Ki Baas Phirte Hein
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein"
"Hum Akele Udas PHirte Hein
Ab Ye Sochain Tu Ankh Bhar Aye"
"In Akele Ujar Rasto Mein
Tu Bhi Shayed Kahin Nazar Aye"
_______________________________________
Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse
"Kab Talak Shab K Andhere Mein Sehra Ko Tarse
Wo Musafir Jo Bhare Shehar Mein Ghar Ko Tarse"
"Ankh Thehray Hoye Pani Se Bhi Kaktrati Hai
Dil Wo Rehro Kay Samandar Kay Safar Ko Tarsay"
"Mujh Ko Us Qahat Kay Mousam Se Bacha Ya Rab Sukhan
Jab Koi Ahl E Hunar Arz E Hunar Ko Tarsay"
"Ab Kay Is Toor Muslat Howa Andhera Her So
Hijar Ki Raat Mere Dida Tar Ko Tarsay"
"Umar Itni Tu Ata Ker Mere Fun Ko Khaliq
Mera Dushman Mere Marne Ki Khabar Ko Tarsay"
"Usko Pa Ker Bhi Usay Dhond Rahi Hein Ankhain
Jese Pani Mein Koi Seep Gohar Ko Tarsay"
"Na Shanasai Kay Mousam Ka Asar Tu Dekho
Ayina Khal O Khad E Ayina Ko Tarse"
"Aik Dunia Hai Kay Basti Hai Teri Ankhon Mein
Wo Tu Hum Thay Jo Teri Aik Nazar Ko Tarsay"
"Shor E Sar Sar Mein Jo Sar Sabaz Rahi Hai Mohsin
Mousam E Gul Mein Wohi Shakh Samar Ko Tarsay"
_______________________________________
Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
"Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki"
"Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki"
"Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki"
"Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki"
"Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki"
_______________________________________
Jab Se Us Ne Shahar Ko Chora Hr Rasta Sunsan Hua
"Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
Apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua"
"Mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
Pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua"
"Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua"
"Youn bhi kam amez tha 'Mohsin' wo is shahar k logon main
Lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua"
_______________________________________
KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
"KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA"
"TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH'SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA"
"MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA"
"MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA"
_______________________________________
Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
"Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
"Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo"
"Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhtay Chalo"
"Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhtay Chalo"
"“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhtay Chalo"
_______________________________________
Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
"Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila"
"Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila"
"Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila"
"Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila"
"Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila"
"Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila"
_______________________________________
Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
"Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain
Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain"
"Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh ?
Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain"
"Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se
Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain"
"Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain ?
Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain"
"Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula
Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain"
"Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil ?
Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain"
"Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se “Mohsin”
Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hai"
_______________________________________
Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko
"Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Osko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay Osko"
"Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se
Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay Osko"
"Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay Osko"
"Wo Ashk Tha Ose Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay Osko"
"Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay Osko"
"Kisi Ki Aankh Se “Mohsin” Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay Osko"
_______________________________________
Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain"
"Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain"
"Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain"
"Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain"
"Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain"
"Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain"
"Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain'
_______________________________________
Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
"Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha"
"Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha"
"Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha"
"Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha"
"Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein "Mohsin"
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha"
_______________________________________
Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
"Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian"
"Un Per Tou Farz Hain Mere Harfon Ke Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian"
"Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian"
"Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian"
"Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian"
"Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian"
"Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian"
_______________________________________
Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
"Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski"
"Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski"
"Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski"
"Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski"
"Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski"
_______________________________________Apne Aap Sey Phirtey Hain Beganey Kyon
"Apne aap se phirtey hain beganey kyon
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon"
"Hum ne kab maani thi baat zamaney ki
Aaj hamari baat zamana maaney kyon"
"Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai
Us ko achey lagte hain veeraney kyon"
"Sachi baat se ghabraney ki aadat kya
Jhootey logon se apne yaraaney kyon"
"Halwat mein jo aankh milatey darta ho
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon"
"Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon"
_______________________________________
Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
"Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Umer Bhar Apna Ghar Tanha Dekhta Raha"
"Kaheen Na Kaheen Tou Badal Hee Jaatay Hain Silsilay
Magar Mein Jahan Gaya Sehra Dekhta Raha"
"Jaanay Kiun Katraatay Hain Loog Mujhe Milne Se
Kal Shab Dair Talak Aaina Dekhta Raha"
"Paani Maangtay Maangtay Mere Hont Pathar Ho Gaye
Wo Shakhs Mashkeezah Lye Khada Dekhta Raha"
"Be-Gunaah Tha Phir Bhi Sir Jhukaaye Howay
Sitamgar Ki Sitam Ki Intehaa Dekhta Raha"
"Umer Bhar Mohabbat Ka Kuch Yun Sila Raha
Mein Ose Aur Wo Duniya Dekhta Raha"
"Kahuunga Khuda Se Yom-e-Hisaab Ko “Mohsin”
Ke Zamaana Meri Barbaadi Ka Tamaasha Dekhta Raha"
_______________________________________
Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
"Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
"Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal
"Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya
"Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi
"Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin
Abhi Kya Kahain Abhi Kya Sunayen
"Abhi kya kahen abhi kya sunayen
"Kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
"Use kis hawa ne bujha diya
"Sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
"Use dast-e-mauj-e-firaq ne
"Kabhi gul khilenge to puchna"
"Kabhi be-sabab kabhi bekhalal
"Kise kis ne kaise ganwa diya
"Chasm-e-dushman ke khauf se pocho
"Sham-e-tanhai gham na kar k tera
"Chand se keh do, be dharak utre
"Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
"Kyun jalate ho jhonpri apni?
"Hum hain humzaad, raat ke Mohsin
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
"Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
"Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
"Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
"Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
"Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
"Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
"Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
"Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
"Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
"Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
"“Mohsin” Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa ?
Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
"Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
"Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha"
"Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha"
"Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha"
"Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha"
"Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha"
_______________________________________
Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog
"Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog?
Naik Nigahon, Sache Jazbon Ki Saugaaton Waalay Loog"
"Pyaas Ke Sehraaon Mein Dhoop Pehen Kar Paltay Banjaaro
Palkon Oat Talaash Karo, Bojhal Barsaaton Waalay Loog"
"Waqt Ki Urrti Dhool Mein Apne Naqsh Ganwae Phirte Hain
Rim Jhim Subhon, Roshan Shaamon,Resham Raaton Waalay Loog"
"Aik Bhikaarun Dhoond Rahi Thi Raat Ko Jhoote Chehron Mein
Ujle Lafzon, Sachi Baaton Ki Khairaaton Waalay Loog"
"Aane Waali Rog Ruton Ka Pursa Dain Har Larki Ko
Shehnaai Ka Dard Samajh Lein Gar Baaraton Waalay Loog"
"Pathar Kootne Waalon Ko Bhi Sheeshe Jaisi Saans Milay
“Mohsin” Roz Duaaen Maangain Zakhmi Haathon Waalay Loog"
_______________________________________Abhi Kya Kahain Abhi Kya Sunayen
"Abhi kya kahen abhi kya sunayen
K sar-e-fasil-e-sukut-e-jan"
"Kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
Wo jo harf jarf charag tha"
"Use kis hawa ne bujha diya
Kabhi lab hilenge to puchna"
"Sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
Wo jo nikahaton ka hujum tha"
"Use dast-e-mauj-e-firaq ne
Tah-e-khak kab se mila diya"
"Kabhi gul khilenge to puchna"
"Abhi kya kahen abhi kya sunayen
Youn hi khwahishon k fishar main"
"Kabhi be-sabab kabhi bekhalal
Kahan kaun kis se bichar gaya"
"Kise kis ne kaise ganwa diya
Kabhi phir milenge to puchna"
_______________________________________
Itna khali tou ghar nahi, hum hain
Itna khali tou ghar nahi, hum hain
"Itna khali tou ghar nahi, hum hain
Hum nahi hain magar nahi, hum hain"
"Chasm-e-dushman ke khauf se pocho
Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain"
"Sham-e-tanhai gham na kar k tera
Koi bhi humsafar nahi, hum hain"
"Chand se keh do, be dharak utre
Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain"
"Woh jo sab se hain be khaber, tum ho
Jin ko apni khaber nahi, hum hain"
"Kyun jalate ho jhonpri apni?
Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain"
"Hum hain humzaad, raat ke Mohsin
Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain"
_______________________________________
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
"Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak"
"Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak"
"Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak"
"Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak"
"Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak"
_______________________________________
Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
"Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere Hee Khayaalon Mein Sadaa Deta Hai"
"Wo Mera Kon Hai Maloom Nahi Hai Laikin
Jub Bhi Milta Hai Tou Pehluu Mein Jagaa Deta Hai"
"Mein Jo Andar Se Kubhi Toot Ke Bikhruun
Wo Mujh Ko Thaamnay Ke Lye Haath Barha Deta Hai"
"Mein Jo Tanha Kubhi Chupkay Se Bhi Rona Chaahun
Tou Dil Ke Darwaazay Ki Zanjeer Hila Deta Hai"
"Os Ki Qurbat Mein Hai Kia Baat Na Jaanay “Mohsin”
Ek Lamhay Ke Lye Sadyon Ko Bhula Deta Hai"
_______________________________________
So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
"So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
"So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon"
"Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon"
"Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon"
"Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon"
"Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon"
"Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon"
"Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon"
"Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon"
"Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon"
"Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon"
"“Mohsin” Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa ?
Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon"
_______________________________________
Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
"Shamil Mera Dushman Saf-e-Yaraan Mein Rahega
Yeh Teer Bhi Paywast-e-Rag-e-Jaan Mein Rahega"
"Ek Rasm-e-Januu Apne Muqaddar Mein Rahegi
"Ek Rasm-e-Januu Apne Muqaddar Mein Rahegi
Ek Chaak Sadaa Apne Girebaan Mein Rahega"
"Ek Ashk Hai Aankhon Mein So Chamkega Kahaan Tak?
Yeh Chaand Zad-e-Shaam-e-Ghareebaan Mein Rahega"
"Main TUjh Se Bechar kar Bhi Kahaan Tujh Se Juda Hoon
Tu Khawaab Sifat Deeda-e-Giryaan Mein Rahega"
"Rangon Ki Koi Rut Teri Khushbu Nahi Laaie
Yeh Daagh Bhi Damaan-e-Baharaan Mein Rahega"
"Ab Kay Bhi Guzar Jaaenge Sab Wasl Kay Lamhe
Masroof Koi Wada-o-Paymaan Mein Rahega"
"Main Harf-e-Januu Keh Na Sakoonga, Jo Kahoon Bhi
"Main Harf-e-Januu Keh Na Sakoonga, Jo Kahoon Bhi
Ek Raaz Ki Soorart Dil Imkaan Mein Rahega"
"“Mohsin” Main Hawadis Ki Hawaaon Mein Ghera Hoon
Kiya Naqsh-e-Qadam Dasht-o-Bayabaan Mein Rahega "
_______________________________________
_______________________________________
Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
"Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye
Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye"
"Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni
Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye"
"Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye"
"Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
"Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye"
"Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye"
"Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye"
"Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye"
"Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye"
_______________________________________
_______________________________________
Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
"Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo"
"Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo"
"Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo"
"Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo"
_______________________________________
Chalo Mohsin Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhtay Hain
Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
"Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
_______________________________________
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
"Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
_______________________________________
Chalo Mohsin Mohabbat Ki Nayi Bunyaad Rakhtay Hain
"Chalo Mohsin mohabbat ki NAyi bunyaad rakhtay hain
Khud paband rehtay hain, usay azad rakhtay hain"
"Hamaray khoon main Rab ne yehi taseer rakhi hai
Burai bhool jatay hain achai yaad rakhtay hain"
"Mohabat main kaheen hum se gustakhi Na ho JAe
Ham apna hAr qadam us k qadam k baad rakhtay hain"
_______________________________________
Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
"Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do"
"Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do"
"Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do"
"Chaand Badal Main Acha Lagta Hai
Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do"
"Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do"
"Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do"
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
"Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa"
"Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
"Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa"
"Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
"Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa"
"Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa"
"Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa"
No comments:
Post a Comment