Kaha Saray Gharon Main Konsa Ghar Sab Se Aala Hai
Kaha, Saray Gharon Main Konsa Ghar Sab Se Aala Hai
Jawab Aaya Ke Ehl-E-Bait Ka Ghar Sab Se Aala Hai
Kaha, Pakeezgi Main Koi Parda Jo Misali Ho
Kaha, Bint-E-Nabi Ke Sirr Ki Chaadar Sab Se Aala Hai
Kaha, Mairaaj Sirr Katnay Ki Jangon Main Koi Dekhi
Jawab Aaya Jo Sajday Main Kataa Sirr Sab Se Aala Hai
Kaha, Itni Safain Ek Simt, Chand Afraad Ek Jaanib
Kaha, Tadaad Main Jo Kam Hai Lashkar Sab Se Aala Hai
Kaha, Qurbaanion Main Sab Se Arfaa Hai Adad Koi
To Ek Pal Main Jawaab Aya Bahattar (72) Sab Se Aala Hai
Kaha, Sajday Main Ek Sirr Ek Taraf, Ek Simt Ek Lashkar
Kaha Iss Jung Ka Yehi To Manzar Sab Se Aala Hai___!!
____________________________
Faasley Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Saamne Betha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha
Woh Ke Khusboo Ki Tarah! Pehhla Tha Mere Chaar Soo
Mai Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chu! Sakta Na Tha
Aks Tho Mojood Tha Par Aks Tanhaee Ke The
Aainaa Tho Tha Magar Use Mai Tera Chehra Na Tha
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alaida Kar Diye
Aaj Mai Roya Tho Mere Saath Woh Roya Na Tha
Yaad Kar Ke Aur Bhi Takleef Hoti Hai Adeem
Bhool Jaane Ke Siwa Ab Koi Aur Chara Na Tha___!!
____________________________
Faisla Ye To Karo Waqt-E-Safar Sey Pehle
Faisla Ye To Karo Waqt-e-Safar Se Pehle
Aao Ge Shaam Se Pehle Keh Sehar Se Pehle
Husn Taqseem Kia Jaye Kidher Se Pehle
Her Taraf Se Ye Sadaa Aaee Idher Se Pehle
Teray Qadmo’n K Nishaan Hain Meri Chahat Pe Faqat
Koi Guzra Na Tha Iss Raah’guzar Se Pehle
Mujh Pe Ilzaam-e-Wafa Theek Per Ay Wajh-e-Wafa
Kis Nay Dekha Tha Muhabbat Ki Nazar Se Pehle
Husn Maujood To Tha Apne Sarapay Main Adeem
Husn Maloom Na Tha Husn-e-Nazar Se Pehle
Uss Ki Surat Bhi To Ek Subha Ki Surat Hai Adeem
Dekh Li Hum Ne Sehar Waqt-e-Sehar Se Pehle_______!!
____________________________
Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Main
Ab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Main
Her Tarah Ka Husn Dekha Uss Ke Khad-O-Khaal Main
Chal Rahi Hai Ye Zameen Zandaa'n Ki Chakki Ki Tarah
Piss Rahay Hain Log Kia Kia Iss Ke Maah-O-Saal Main
Misl-E-Maahi Waqt Ke Haathon Se Phisli To Buhat
Phans Gai Aaker Jawani Jhurrion Ke Jaal Main
Inteha'on Per Rahay Hum Darmiaan Thehray Nahi
Aasmaan Ki Auj Per Ya Gir Gaye Pataal Main
Ye Bhi Kia Insaaf Hai Ay Munsif-E-Wasl-O-Firaaq
Uss Ki Aadhi Bhi Jhalak Dekhi Na Pooray Saal Main
Ibtida Se Hashr Tak Sab Teen Pinj'ron Main Hain Qaid
Koi Maazi, Koi Mustaqbil Main, Koi Haal Main
Teen Sau PainsaTh (365) Dareechay Waqf Sooraj Ke Leay
Chaand Ki Khatir Bani Baara'dari Her Saal Main
Mainay Socha Tha Kisi Ko Main Dhoka Doon Adeem
Shakl Apni He Nazar Aai Sabhi Ashkaal Main_______!!
____________________________
Kat Hi Gai Judai Bhi Yeh Kab Hua K Mar Gaye
Kat Hi Gai Judai Bhi Ye Kab Huwa Key Mar Gae
Tere Bhi Din Guzar Gae Mere Bhi Din guzar Gae
To Bhi Kuch Aur Aur Hey Hum Bhi Kuch Aur Aur Hen
Jane Wo To Kidhar Gaya Jane Wo Hum Kidhar Gae
Rahon Men Hi Mile They Hum Rahen Naseeb Bun gain
To bhi Na Apne Ghar Gaya hum Bhi Na Apne Ghar Gae
Wo Bhi Gubar-e-Khaaq Tha Hum Bhi Gubar-e-Khaaq They
Wo Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gae
Koi Kinar-e-Aab Betha Jo Hua Hey Sarungo'n
Kashti Kidher Chali Gae Jane Kidhar Bahnwar gae
Tere Liye Chale They hum Tere Liye Teher Gae
To ney Kaha to Jee Uthey To Ney Kaha To Mar Gae
Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Men Tere Firaaq Key Jitne Zakham They Bhar gae
Barish-e-Wisl Wo Huwi Sara Gubaar Dhul Gaya
Wo Bhi Nikhar Nikhar Gaya hum Bhi Nikhar Nikhar Gae
Itney Qareeb Ho Gae Itney Raqeeb Ho Gae
Wo Bhi "Adeem" Dar Gaya hum Bhi "Adeem" Dar Gae____!!
____________________________
Khaak Per Jab Bikher Gaye Aansu
Khaak Per Jab Bikher Gaye Aansu
Ye Laga Jese Merr Gaye Aansu
Aaj Palko'n Ki Baar Phaand Gaye
Aaj Hadd Se Guzar Gaye Aansu
Aasmaan Bhar Gaya Sitaron Se
Gham Ki Jholi Main Bhar Gaye Aansu
Dil Ki Gathri Main Baandh Rakhay Thay
Janay Kese Bikher Gaye Aansu
Apne Gham Ki Kasafatain Theen Buhat
Uss Ke Gham Se Nikhar Gaye Aansu
Aaj To Gham Buhat Zyada Hai
Aaj Janay Kidher Gaye Aansu
Zabt Se Ehed Baandh Rakha Tha
Aur Phir Bhi Bikher Gaye Aansu
Sail-E-Darya To Kuch Nahi Tha Adeem
Apne Toofa'n Se Darr Gaye Aansu
Dil Kara To Buhat Kia Tha Adeem
Waqt-E-Rukhsat Bikher Gaye Aansu_______!!
____________________________
Darya Se Koh'saar Se Pehle Ki Baat Hai
Darya Se Koh'saar Se Pehle Ki Baat Hai
Insaan Her Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai
Nafrat Se Aur Pyar Se Pehle Ki Baat Hai
Ye Tujh Pe Aitbaar Se Pehle Ki Baat Hai
Jumbish Thi Aankh Main Bhi Badan Main Bhi Rooh Thi
Ye Baat Intezaar Se Pehle Ki Baat Hai
Dil Meray Ikhtiaar Main Hota To Tha Magar
Ye Teray Ikhtiaar Se Pehle Ki Baat Hai
Jab Dil Pe n Eel Ban Ke Dikhi Theen Na Khuahishain
Ye Tujh Sitam Shuaar Se Pehle Ki Baat Hai
Kuch Saar'baan Thay Aur Jaras Ki Sadaa Bhi Thi
Ye Baad-e-Reigzaar Se Pehle Ki Baat Hai
Ek Kaarwaan Aur Aik Tha Mehmil Bhi Darmiaan
Ye Raah Ke Ghubaar Se Pehle Ki Baat Hai
Wo Aah-E-Dil'shagaaf Adeem Aur Wo Tarap
Ye Dard Ke Khumaar Se Pehle Ki Baat Hai
Ek Dard Tha Kisi Ki Nishani Dia Hua
Lekin Ye Teray Pyaar Se Pehle Ki Baat Hai
Ek Aashiaan Tha Uss Main Parinday Bhi Thay Adeem
Ye Mausam-e-Bahaar Se Pehle Ki Baat Hai _____!!
Read More..
No comments:
Post a Comment