Pages - Menu

Pages

Pages

Monday, 3 February 2014

Kabhi Youn Bhi A Meri Ankh Mein K Meri Nazar Ko Bhi Khabar Na Ho















Kabhi Youn Bhi A Meri Ankh Mein K Meri Nazar Ko Bhi Khabar Na Ho

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho

Vo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
Tujhe bhulane ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

Mere baazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khvaab hai chandni
Na uthe sitaron ki paalaki, abhi aahaton kaa guzar na ho

Ye Gazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chandni
Na bujhe kharabe kii roshani, kabhi becharaag ye ghar na ho

Vo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
Vo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na ho

Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se donon qubul hain
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki havaa na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum ke
Yun hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apnaa safar na ho

Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aa
Tujhe dhadkanon mein basaa lun main ke bichadne ka kabhi darr na ho____!!

No comments:

Post a Comment