Pages - Menu

Pages

Pages

Friday, 7 February 2014

Best Poetry Of Adeem Hashmi


















Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya

Gham Ke Her Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Ker Gaya
Wo Mera Mohsin Mujhe Pathar Se Heera Ker Gaya

Ghoorta Tha Main Faza Main To Sajee Theen Mehfilain
Mera Aankhon Ka Jhapakna Mujh Ko Tanha Ker Gaya

Her Taraf Urnay Laga Tareek Saayon Ka Ghubaar
Shaam Ka Jhonka Chamakta Sheher Maila Ker Gaya

Chaat Li Kirno'n Ne Meray Jism Ki Saari Mithaas
Main Samander Tha Wo Suraj Mujh Ko Sehra Ker Gaya

Aik Lamhay Main Bharay Bazaar Soonay Ho Gaye
Aik Chehra Sab Puranay Zakhm Taaza Ker Gaya

Main Usi Ke Raabtay Main Jis Tarha Malboos Tha
Yuun Wo Daaman Kheech Ker Mujh Ko Bareh'na Ker Gaya

Raat Bhar Hum Roshni Ki Aas Main Jaagay Adeem
Aur Din Aaya To Aankhon Main Andhera Ker Gaya____!!
____________________________

Isay Paana Tha Uss Ko Khona Tha

Isay Paana Tha Uss Ko Khona Tha
Ye Bhi Hona Tha Wo Bhi Hona Tha

Kitni Dair Aur Uss Ko Rona Tha
Wo Jo Hona Tha, Wo To Hona Tha

Shaayad Iss Waastay Mili Aankhen
Bojh Kuch Aansu'on Ka Dhona Tha

Shab-E-Mehtaab, Aaftaab-E-Shaam
Aik Chandi Thi Aik Sona Tha

Kia Ghazab Ker Lia Hai Aankhon Ne
Mujhe To Tujh Se Chhup Ke Rona Tha

Hum Ne Moti Samajh Leay Thay Adeem
Warna Daaman Kisay Bhigona Tha _______!!
____________________________

Jab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Main

Jab Usay Chaha To Chaha Her Tarah Ke Haal Main
Her Tarah Ka Husn Dekha Uss Ke Khad-O-Khaal Main

Chal Rahi Hai Ye Zameen Zandaa'n Ki Chakki Ki Tarah
Piss Rahay Hain Log Kia Kia Iss Ke Maah-O-Saal Main

Misl-E-Maahi Waqt Ke Haathon Se Phisli To Buhat
Phans Gai Aaker Jawani Jhurrion Ke Jaal Main

Inteha'on Per Rahay Hum Darmiaan Thehray Nahi
Aasmaan Ki Auj Per Ya Gir Gaye Pataal Main

Ye Bhi Kia Insaaf Hai Ay Munsif-E-Wasl-O-Firaaq
Uss Ki Aadhi Bhi Jhalak Dekhi Na Pooray Saal Main

Ibtida Se Hashr Tak Sab Teen Pinj'ron Main Hain Qaid
Koi Maazi, Koi Mustaqbil Main, Koi Haal Main

Teen Sau PainsaTh (365) Dareechay Waqf Sooraj Ke Leay
Chaand Ki Khatir Bani Baara'dari Her Saal Main

Mainay Socha Tha Kisi Ko Main Dhoka Doon Adeem
Shakl Apni He Nazar Aai Sabhi Ashkaal Main____!!
____________________________

Koi Pathar Koi Gohar Kion Hai

Koi Pathar Koi Gohar Kion Hai
Farq Logon Main Iss Qadar Kion Hai

Tuu Mila Hai To Ye Khayaal Aaya
Zindagi Itni Mukhtasar Kion Hai

Jab Tujhe Laut Ker Nahi Aana
Muntzair Meri Chashm-E-Terr Kion Hai

Uss Ki Aankhain Kaheen Sadaf To Nahi
Uss Ka Her Ashk He Gohar Kion Hai

Raat Pehle He Kion Nahi Dhalti
Teergi Shab Ki Ta sahar Kion Hai

Ye Bhi Kesa Azaab De Daala
Hai Muhabbat To Is Qadar Kion Hai

Tuu Nahi Hai to Roz-O-Shab Kese
Shaam Kion Agai Sahar Kion Hai

Kion Rawana Hai Her Ghari Dunya
Zindagi Mustaqil Safar Kion Hai

Main To Ek Mustaqil Musafir Hoon
Tuu Bhala Mera Hamsafar Kion Hai

Tujh ko Milna Nahi Kisi Se Adeem
Phir Bichhernay Ka Tujh Ko Darr Kion Hai_____!!
____________________________

Kyun Udaas Hain Shajar Ay Adeem Hashmi

Kyun udaas hain shajar, aye Adeem Hashmi?
Kon le gaya samar, aye Adeem Hashmi?

Taish, aur is qadar?! aye Adeem Hashmi?
Kuch Khuda ka khauf kar! aye Adeem Hashmi

Jab woh jaa chuka kahin, jab woh aayega nahin
Kyun khula hua hai dar?! aye Adeem Hashmi

Teri sab musaaften, kis ke kaam aayengi?
Kya hua woh hamsafar, aye Adeem Hashmi?

Jis ko chor hi diya, us ka zikr kya Adeem?
Aur koii baat kar! aye Adeem Hashmi________!!
____________________________

Pehle To Dil Wafa Se Bhi Agay Nikal Gaya

Pehle To Dil Wafa Se Bhi Agay Nikal Gaya
Phir Dil Iss Inteha Se Bhi Agay Nikal Gaya

Awaz De Ker Uss Ko Bulaon Main Kis Tarah
Wo To Hadd-E-Sada Se Bhi Agay Nikal Gaya

Nikli Hai Rooh Noor Ki Raftaar Se Bhi Taiz
Pal Main Koi Khala Se Bhi Agay Nikal Gaya

Kion Dar'ba'dar Ura'ay Phiray Khaak Ko Hawa
Abb To Badan Fanaa Se Bhi Agay Nikal Gaya

Ik Teer Tha Kamaan-E-Takhayyul Main Dair Se
Nikla To Wo Khuda Se Bhi Agay Nikal Gaya

Saansain Adeem Aakhri Lamhay Main Dhoondta
Main Koocha-E-Hawa Se Bhi Agay Nikal Gaya

Tuu Le Ker Aa Gaya Hai Dawa Kis Leay Adeem
Bemaar To Dawa Se Bhi Agay Nikal Gaya___!!
____________________________

Rakht-E-Safar Yunhi To Na Bekaar Le Chalo

Rakht-E-Safar Yunhi To Na Bekaar Le Chalo
Rasta Hai Dhoop Ka, Koi Dewaar Le Chalo

Taaqat Nahi Zubaan Main To Likh Loon Dil Ki Baat
Koi To Saath Soorat-E-Izhaar Le Chalo

Dekhoon To Badal Ke Wo Bhala Kesa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi Uss Ke Saamnay Ek Baar Le Chalo

Kab Tak Nadi Ki Teh Main Utaaro Ge Kashtiaan
Abb Ke To Haath Main Koi Patwaar Le Chalo

Parti Hain Dil Pe Gham Ki Ager Silwatain To Kia
Chehray Pe To Khushi Ke Kuch Aasaar Le Chalo

Jitney Bhanwar Kaho Ge Pehen Loonga Jism Per
Ek Baar To Nadi Ke Mujhe Paar Le Chalo

Kuch Bhi Nahi Ager To Hatheli Pe Jaan Sahi
Tohfa Koi To Uss Ke Leay Yaar Le Chalo

Jungle Main Aye Ga Koi Gaahak Kahan Adeem
Bikna Hai Ger To Saath Khareedaar Le Chalo
____________________________

Saray Jahan Ko Adeem Waqif-E-Haal Kar Diya

Saray jahan ko Adeem. Waqif-e-haal kardiya
Tohfa zara sa tha, magar us ne uchaal kar dia

Uski nazar ko daad do jis ne ye haal kardiya
Mera kamal kuch nahi us ne kamal kardiya

Ik nigah ka asar zarf ba zarf mukhtalif
Isko nidhaal kardiya, Usko nihaal kardiya

Ye toa hua hatheliyaan gunbad-e-surkh ban gaiin
Hathon ki oat ne magar rakha sambhal kar diaaa

Koi toa iski qadar kar, koi toa us ko ajar day
Us ne Adeem tujhko dil, kitno ko taal kar diya

Baat sukhan ki chal pari, us ne Adeem maan li
Main ne firaaq kaat kar usko Wisaal kardiya_____!!

Read More..

No comments:

Post a Comment