Pages - Menu

Pages

Pages

Thursday 6 February 2014

Abid Ali Abid Poetry




















Dil Hai Aaina-E-Hairat Say Do-Chaar Aaj Ki Raat

Dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat

Aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
Diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat

Aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir
Is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat

Main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii
Main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat

Jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe
Mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat

Dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain
Mujh se ankhain na lara aaj kii raat

Mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa Abid
Jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj ki raat___!!
____________________________

Kaash Tum Nay Mujhey Hansaya Hota 

Kaash tum nay mujhey hansaya hotta
Kaash tum nay mujhey rulaya hotta

Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta

Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain

Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee

Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata

Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey

Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta

Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee

Kaash k hal-e-dil batata tumhain
Kaash k dil ka ghum batata tumhain

Kaash k apni jaaaan say bhee chahta
Kaash tumbin saan bhee lay na pata

Aay kaash yeeh saab ghum na hottay
Aay kaash na tum hottay na hum hotta_____!!
____________________________

Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota

Ab To Kisi Bhi Baat Pay, Aitbaar Nahi Hota
Hote Hain Bass Samjhote Dilon Ke, Koi Pyar Nahi Hota

Kitna Bhi Samjha Leinn Hum, Iss Dil-e-Nadaan Ko
Ek Qatra Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota

Dil Mein Liye Hasrat Kisi Ki Ye Umar Guzar Jaati Hai
Ke Taqdeer Pay Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota

Lagte Hain Jo Pal Suhane, Wo Hain Mere Bas Khaabon Ke
Haqeeqat Mein Kabhi Khushi Ka, Deedar Nahi Hota

Dhal Jaate Hain Ye Ashk, Ek Aur Gham Ki Raah Liye
Inn Honthon Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota____!!
____________________________

Chaand Sitaaron Say Kaya Pochoun Kab Din Mere Phirate Hain


ChaaNd sitaaro.n se kyaa puchhuu.N kab din mere phirate hai.n
Wo to bechaare Khud hai.n bhikaarii Dere Dere phirate hai.n

Jin galiyo.n me.n ham ne sukh kii sej pe raate.n kaaTii thii.n
Un galiyo.n me.n vyaakul hokar saa.Njh savere phirate hai.n

Ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii me.n jokhim hai
Chaaro.n khuu.NT baguule ban kar ghor andhere phirate hai.n

Jin ke shaam-badan saaye me.n meraa man sustaayaa thaa
Ab tak aa.Nkho.n ke aage vo baal ghanere phirate hai.n

Ko_ii hame.n bhii ye samajhaa do un par dil kyo.n riijh gayaa
Tiikhii chitavan baa.Nkii chhab vaale bahutere phirate hai.n

Is nagarii me.n baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
Panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hai.n

Log to daaman sii lete hai.n jaise ho jii lete hai.n
'Abid' ham diivaane hai.n jo baal bikhere phirate hain_____!!


1 comment:

  1. Very good points you wrote here..Great stuff...I think you've made some truly interesting points.Keep up the good work.
    Urdu Word اعتبار Meaning in English

    ReplyDelete